Saadgi

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mEri sAdgi hE mEra jUrm hAi !!!​


Saadgi hi Mera Jurm hai
koi aur meri khata nahi.hai
Maine to Chaha tha sada usko
koi aur meri khata nahi hai

jane kaisi ab hawa chali hai
Rahi doston mai wafa nahi hai

Yahan jal gaya mera aashiyana
Abhi baadlon ko pata nahi hai

Tere darr par dastak de sakun
yeh haq to tumne diya nahi hai​
 
  • Like
Reactions: Asma Shah

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Bhale dinon ki baat hai
Bhali si aik shakal thi
Na ye k husn taam ho
Na dekhna main aam si

Na ye k wo chale to
Kehkashan si guzar lage
Magar wo saath ho to phir
Bhala bhala safar lage

Koi bhi rut ho, us ki
Fiza ka rang roop thi
Wo garmiyon ki chhaon thi
Wo sardiyon ki dhoop thi

Na muddaton juda rahe
Na saath subh-o-shaam ho
Na rishta-e-wafa pe zid
Na ye k izn-e-aam ho

Na aesi khush libasiyan
K saadgi gila kare
Na itni be-takallufi
K aaina haya kare

Na ikhtelat main wo rang
K bad-mazah hon khwahishen
Na is qadar supardagi
K zich karen nawazishen

Na aashiqui junoon ki
K zindagi azaab ho
Na is qadar kathor pan
K dosti kharaab ho

Kabhi to baat bhi kaafi
Kabhi sukoot bhi suKhan
Kabhi to kasht-e-zafraan
Kabhi udaasiyon ka ban

Suna hai aik umr hai
Mamlaat-e-dil ki bhi
Wisal-e-jaan fiza to kia
Firaaq-e-jaan gusal ki bhi

So aik roz kia howa
Wafa pe bahas chhirr gai
Main ishq ko amar kahoon
Woh meri zid se chirr gai

Main ishq ka aseer tha
Wo ishq ko qafas kahe
K tamam umr k saath ko
Bad-tar az hawas kahe

"Hijr shajar nahi hai k
Hamesha paa ba gul rahen
Na dhhor hain k rassiyaan
Galay main mustaqil rahen

Mohabbaton ki wusaten
Humare dast-o-pa main hain
Bus aik dar se nisbaten
Sajan bewafa main hain

MaiN koi painting nahi
K aik frame main rahoon
Wahi jo man ka meet hai
Usi k praim main rahoon

Tumhari soch jo bhi ho
Main is mizaaj ki nahi
Mujhe wafa se bair hai
Ye baat aaj ki nahi"


Na us ko mujh pe maan tha
Na mujh ko us pe zam tha
Jo ahad he koi na hoi
To kia gham-e-shakistagi

So apna apna raasta
Hansi khushi badal lia
Woh apni raah chal parri
Main apni raah chal dia

Bhali si aik shakal thi
Bhali si us ki dosti
Ab us ki yaad raat din
Nahi... Magar kabhi kabhi
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
pahle pahle un ko yooNhi dekhta rahta tha maiN
baat to koi nahiN thi dekhta rahta tha main
dekhte rahne se mere woh buhat masroor the
apne husn-e-dilbari se aap hi mas-hoor the
unko khush karne ki khaatir aah bhar leta tha maiN
gaahe gaahe apne dil par haath dhar leta tha main
baagh meN har roz taqreebann khainch aate the woh
ban sanwar kar mujh se daad-e-husn le jaate the woh
woh samajhte the ke unke roop par marta hooN maiN!
laalchi hoon iktisaab-e-roshni karta hooN maiN
mudda iss khail ka kya tha faqat ik dil lagi
un ko khush karne meN pinhaaN thi meri apni khushi
kar ke khush fahmi meN un ko mubtla hansta tha maiN
saadgi par un ki dil meN bar mala hansta tha maiN
ab magar tafreeh-o-khush waqti ki soorat aur hai
dil ki haalat aur hai rang-e-tabiyat aur hai
jab nazar aati nahiN gulzaar meN unki jhhalak
thokreN khaati hain sodaayi nigaaheN door tak
un ko diwaana bana kar mujh ko wahshat ho gayi
dil lagi ki thi magar sach much mohabbat ho gayi.....
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Bana ajnabi mera Humsafar...!

Aur nazar bacha k guzar geya...!

Main tha Raaston se bekhabar.!

Aur Usey Manzilon ka shao'or tha...!

Na theen aur koi b Ranjishain...!

Sirf Aadaton mein tazaad tha...!

K Usey pasand theen Shokhiyaan...!

Aur Mujhey
"SAADGI"
pe Naaz tha. . . !!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Saadgi Achi Lagi


Jub se tere naam kar di
zindagi aachi lagi
tera gham,teri her
khushi aachi lagi
tera paiker
teri khusboo
tera lehja
teri muskan
dil ko teri
guftagoo ki
SAADI ACHI LAGI !!!
mera dekhnay pe,
tera shermana acha laga,
ungli main dupatta
ghumana acha laga,
terey gesoo`n ki kali ghatayein,
teri ulfat ki saari wafayein,
tera chehra,
teri saansain,
tera charcha,
teri baatein,
teri aahat,
teri chahat,
tera kajra,
tera gajra,
meri andhair zindagi main,
teri roshni achi lagi,
han sabhi andaz e husn main,
teri "SAADGI ACHI LAGI"
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
ترے عشق کي انتہا چاہتا ہوں
مري
سادگي
ديکھ کيا چاہتا ہوں
ستم ہو کہ ہو وعدہ بے حجابي
کوئي بات صبر آزما چاہتا ہوں
يہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو
کہ ميں آپ کا سامنا چاہتا ہوں
ذرا سا تو دل ہوں ، مگر شوخ اتنا
وہي لن تراني سنا چاہتا ہوں
کوئي دم کا مہماں ہوں اے اہل محفل
چراغ سحر ہوں ، بجھا چاہتا ہوں
بھري بزم ميں راز کي بات کہہ دي
بڑا بے ادب ہوں ، سزا چاہتا ہوں

Allama Muhammad Iqbal
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
******************



Aksar shab-e-Tanhai me, kuch dair pehlay neend sey
Guzri hui Dil-chuspia'n, Beetay huay Din Aaish key
Buntay hen Shama-e-Zindagi, Aur Daaltey hen Roshni
Meray Dil-e-Sud chaak per

Woh Bachpan aur wo
Saadgi, woh Rona woh Hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay, woh Dil-lagi woh Qehqahay
woh ishq woh ehd-e-wafa, woh wada or woh shukriya
woh lazzat-e-bazm-e-tarb, yaad aati hen ik aik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab, rehta shagufta tha so ab
Os k yeh abtar haal hai, ik sabza-e-pamaal hai
Ek phool kumlaya hua, sookha hua bikhra hua
Ronda para hai Khaak per


Yunhi shab-e-tanhai maiN, kuch dair pehlay neeNd say
Guzri hui na-kaamiyan, beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi, aur Daltay haiN roshni
Un HasratoN ki Qabr per

Jo aarzooaiN pehlay theeN, phir Gham say hasrat ban gaeiN
Gham dooston k faut ka, un ki jawaan mout ka
Lay daikh sheeshay maiN meray, un hasratoN ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say, jo qismat-e-nakaam say
Ya aish-e-Ghum anjaam say, marg-e-but-e-gulfaam say
Khud meray Ghum maiN mer gaeiN, kis tarha paaoN maiN hazeen
Qaaboo dil-e-baysabr per..

Jab aah un ahbab ko, maiN yaad ker uThta hooN jo
Yun mujh say pehlay uTh gaye, jis tarha taaier (birds) baaGh k
Ya jesay phool aur pattiyan, gir jaiN sun qabl khizaN
Aur Khushk reh jaye shajr


Os waqt tanhai meri, bun ker mujassam baykasi
Ker deti hai pesh-e-nazar, ho haq sa ik weeran ghar
Berbaad jis ko chor ka, sub rehnay walay chal basay
TooTay kiwaaR or khiRkiyaN, chat (ceiling) k Tapaknay k nishaN
Pernaalay haiN rozan nahiN, yeh hall haiN aaNgan nahiN
Perday nahiN, chilman nahiN, ik shama tak roshan nahiN
Meray siwa jiss main koi, jhaNkay na bhoolay say koi
Woh khana-e-shali hai dil, poochay na jis ko dev koi
Ujra hua weeran ghar

Aksar shab-e-tanhai maiN, kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspiaN, beetay huay din aish k
Bantay haiN shama-e-zindagi, aur Daltay haiN roshni
Meray dil-e-sud chaak per...



******************
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Kal dekha tha main ne bhoori ankhon ko
yun lagta tha jaisey sab kuch bhool gaya
unn aankhon ka dard hi itna gahra tha
hont ager cheh muskaye dil roya tha
Gahri bhoori aankhon wali wo ladki
jo kal geeli ret ke ooper baithi thi
aati jati lahrein gintey rahti thi
zulfein kuch bikhri thi uss ke chehre par
aanchal bhi kuch sar se uss ke dhalka tha
uss ke nazuk honton pe ek dheema sur
machal raha tha kaafi sa kuch kahney ko
unn bhoori aankhon ki gahri weerani
uss ke nayn se mere dil tak aayi hai
janey sham ke dhaltey waqt ke kis lamhey
uss ki Sadgi mere dil ko bhayi hai..!!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Sadgi-e-ishq hum se na pochiye
Kis tarah houay barbad
Ye hum se na pochiye

Ye dastan-e-hijr-o-vasl hai
Suno ge tu tarap jao ge
Kehta hon mai phir
Sitam rah-e-wafa hum se na pochiye

Jal jayen gi samaatain
Koh jayen gi baseeratain
Tehar jayen gi labon ki junbishain
Toot jayen gi qalam ki sub nookain
Ye jaza-e-sadgi hai
Hum se na pochiye


 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Yahan chahatoon ka sila nahi,

Yahan dosti ka maza nahi


Yahan janay kaisi hawa chali,

Rahi dostoon main wafa nahi

Yahan jal gaya maira aashiyan,

Abhi badloon ko pata nahi

Teray dar pay dastak dey sakoon,

Yeh haq to tu ne diya nahi


Main raahi hoon rah-e-umeed ka,

Mujhay manziloon ka pata nahi


Bay bus hoon jahaan main itna,

Jaisay maira koi KHUDA nahi


Mairi sadgi maira jurm hai

Koi or mairi khata nahi
 
Top