Sabz Gumbad ki jhalat deeda-e-tar se aage!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
sabz gumbad ki jhalak deeda-e-tar se aage
daikh sakti hay nazar had-e-nazar se aage
jis jaga shart hay bainayi k bal chalne ki
wo safar aur hay qadmon k safar se aage
wo na chahain to kahan naat likhi ja sakti hay
mudah-e-sarkar(PBUH) ki manzil hay hunar se aage
sahib-e-ishaq isse ishq ki dolat de dey
ik faqeer aur bhi hay kasa-e-sar se aage
Tabish is dar pe sab israr-e-azl khulte hain
meri hayrat ki rasayi hay khabar se aage!
 
Top