sataish gar hay zahid is qad'r , jis baagh_e rizwaa.n ka

  • Work-from-home
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
sataish gar hay zahid is qad'r , jis baagh_e rizwaa.n ka
wo ik guldasta hay hum bekhudoo.n k taaq_e nisiyaa.n ka

baya.n kya kejeye, bedaad_ kawish hi mushgaa.n ka
k har ik qatra khoo.n dana hay tasbeh_e marjaa.n ka

na Aai sitwat_e qatil bhi mane' merey naloo.n ko
lya dantoo.n main jo tinka, howa resha naistaa.n ka

dikhaoo.n ga tamasha, di agar fursat zaamane ney
mera har daagh_e dill ik tukhm hay, sarv_e charaghaa.n ka

kiya aaina khane ka wo naqsha terey jalwe nay
karey jo per to_e khursheed_e alam, shabnamistaa.n ka

meri tameer sey muzmir hay ik sourat kharabi ki
hayola barq_e khirman ka hay, khoon_e garm dehqaa.n ka

uga hay ghar main har so sabza, weerani tamasha kar
madarab khodne per ghaas k hay merey darbaa.n ka

khamoshi main nihaa.n khoo.n gushta lakhoo.n Aarzoai,n hain
charagh_e murda hon main bezabaa.n gor_e ghareebaa.n ka

hanooz ik perav_e naqsh_e khayyal_e yaar baaqi hay
dill_e afsurda goya hujra hay Yousuf k zindaa.n ka

baghal main ghair ki aap aaj soe hain kahee.n warna
sabab kya khwaab main Aa kar tabassum hi pinhaa.n ka

nahi maloom kis kis ka laho paani howa ho ga
qayamat hay, sarishk Aaloda hona teri mushgaa.n ka

nazar main hay humari jada_e raah_e fana Ghalib
k ye sheraza hay alam k ajzaa_e pareshaa.n ka

__________________
 
Top