shabaan o shab e baraat tahir ul qadri ki zubaani

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Bismillah hirrahmanir raheem

Islam mein shaban o shab e baraat ki fazeelat hadees ki roshni mein
Sheikh ul islaam doctor Tahir ul qadri ki zubaani
Assalam o alaikum kaise hain sab dost loug hum aap logon ko deen
ke eik moulana doctor tahir ul qadri ki zubani ahadees ki roshni mein
shab e baraat ki sachaiy haqeeqat aur fazeelat sunana dikhana samjhana

chahte hain 6 hisson mein ho kar lagh bhag eik ghante ka speach hai per isse
umeedan sab waziha ho jayega ke islam mein is raat ki haisiyat kya aur kitni hai
sab se badi aur khaas baat is speach mein jin kitabon ka zikr hota hai un kitabon
per taqreeban firqe wale loug ulmaa yaqeen rakhte hain

sahi muslim

muslim shareef

ibn e maaja

ibn e behiqqi

Go through the videos to gain the true and real knowledge in/of islam
http://www.youtube.com/watch?v=HAIaZhHalM0

http://www.youtube.com/watch?v=dkPIVAxa7Zo&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=Yu44_yQlFwo&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=-Meiafewn40&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=6xJZVrJLTAM&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=MEGrJZ5_mao&feature=related

ALLAH humein deen ki durust ilm o samajh ata farmaye aameen
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
MashAllah....
In kutub k hawalath agar sahin hon toh phir aksariat ko manne se kyun inkar hai?
Jo kitab itni motebar ho usme ek hadees sahi aur ek hadees ghalat kaise hosakti hai ya jab kitab k sahi hone me yakeen hai toh phir chand hadeeson ko zayeef ya jhoota kyunkar qarar diya jasakta hai..Ya to poori kitab ghalat ya toh poori kitab sahi..
Allah khair kare aur sach me sahi raah par qayam rakhe...Ameen..
Thora bhi larkharaye aur Emaan gaya...
 
Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India

sach keh rahi ho bahaar...ye bari uljhan wali bat hai ke banda kya kare na kare totally confuse ho ke reh jate hain...
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Ji haan aaj kal to bas us hi hadees pe loug yaqeen rakhte hain
jo unhein unke aqeede nahin hatata khair is speech se to
bade had tak wazahat ho jaati hai ALLAH waqai hum sab ko
deen ki sahi samajh o ilm ata farmaye aameen

---------- Post added at 11:09 PM ---------- Previous post was at 11:07 PM ----------

sach keh rahi ho bahaar...ye bari uljhan wali bat hai ke banda kya kare na kare totally confuse ho ke reh jate hain...

ji humein apna zehen istemaal mein laana chahiye ke nawal namaaz parhna tilawat karna
ibne maaja sahee muslim per yaqeen rakhte huwe raat ko afzal samajhna kahan se ghalat hai
sach kahein to hum bhi kabhi kabhi bohot hi confuse ho jaate hain us matter mein{(wacko)}
 
  • Like
Reactions: Amreen and ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Confuse hone ki baat nahi...kyun k agar apko kisi ne namaz parhne ya Allah ki ibadat karne ya Tilawat karne ki targheeb di hai toh kya ibadat me raat guzarna ghalat hai...waise bhi sawab hi to milega..Ye kaam koi ghair Allah hai ya ibaddat karna kisi bhi raat me mamnoo hai....?
Agar koi apko najayez kaam k liye raghib kare ya ghalat jo k ghair sharayi ahi toh ya mazhab k khilaf ya Allah k khilaf bhatkata hai toh shaitaniyat hai..Pahle to Rasool swww ki hazaron hadeesen hain is raat k baray me agar maan bhi liya jaye k nahi hai aur apko kisi ne nek amal par uksaya Khauf e Khuda ilaya toh kya ye Biddat hai?
Humne agar ek raat ibadat me guzari to kitne guanah se bach gaye,kitni gheebaton se kitni ghair sharaei sargarmiyon se amahfuz rahe..aur din Roze me guzara to kitne jhoot se mahfuz rahe..
Agar koi raah e haq ki taraf bulata hai Namaaz k liye pukarta hai aur ispar jab koi amal karta hai toh kya gunahgar hoga?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
well listen everyone . koi kisi ke firqe ko kuch nahi bolega ye thread laganey ki ijazat is lye di gai hai ke ye aik family forum hai jis pe sub ka barabar ka haq hai magar yahan kisi kism ki behas nahi honi chaye . sub apne apne comments de sakte hain koi kisi dosrey ke comments pe tanqeed nahi karega . hope aap log mujhe disheart nahi karenge Thanks :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

biddat ka matlab ye nhi k koi aapko kisi naik kaam ki taraf bulaye ya mana karey

maire khayal se to biddat ka jo matlab wo ye k deen may kisi bhi baat ki kami ya izafa khud se kar daina jab k wo baat sirrey se thi hi nhi
i mean k khud se kisi bhi baat ko hadith qarar de daina ya farz bna daina ye biddat hay
matlab khud se koi baat mansoob kar daina jo kahi nhi gai ye biddat hogi

baqi ALLAH ki ibadat zikar ye sab kisi aik raat k liye makhsoos to nhi
anywayz ALLAH KNOWS the best
ALLAH tala hum sab ko seedha raasta dikhayey AAMEEN
 
yes siss but jis kutub se humne ref liye hain unhi kutub me kahin sahi ref to akhin ghalat ref kaise hosakta ahi..?
Yeah Allah know better
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
u r rite
but there is also another thing k jo log ehl-e-sunnat ko b follow karen aur us k saath saath doosre firqon ko b toh unhain aap munafiqat nai kahengi???? aur jo log har ek firqe, har ek mazhab k pairokaar hon unhain aap kis mazhab ya firqe main tasleem karengi????

Islam ki taleem, Nimaz, Arkaan-e-Islam ki targheeb dena beshak ek naik amal hai, JAZAKALLAH aur jo kisi ko accha raasta dikhate hain un ko ALLAH ajar b dete hain
aur rahi baat ahadis ki k koi b Hadith Ghalat bayan ki gai hai ya esa kuch b shubah hai aapko toh us k liye ALLAH taa'al ne apni behtreen Guide(QURAN) di hui hai insaan ko jisey khol k parha jaye aur ghaur se samjha jaye toh hamen almost har baat ka jawab milega, aur usi tarah Shab-e-Baraat ki b fazeelat bayaan hui hai
haan ye alag baat k Hadith main Hamare Pyare Rasool S.A.W ne isey tafseel aur mukammal tareeqe se samjhaya hai
ALLAH hum sab ko siraat-e-mustaqeem pe chalne ki tofeeq ata farmaye(Ameen)
Confuse hone ki baat nahi...kyun k agar apko kisi ne namaz parhne ya Allah ki ibadat karne ya Tilawat karne ki targheeb di hai toh kya ibadat me raat guzarna ghalat hai...waise bhi sawab hi to milega..Ye kaam koi ghair Allah hai ya ibaddat karna kisi bhi raat me mamnoo hai....?
Agar koi apko najayez kaam k liye raghib kare ya ghalat jo k ghair sharayi ahi toh ya mazhab k khilaf ya Allah k khilaf bhatkata hai toh shaitaniyat hai..Pahle to Rasool swww ki hazaron hadeesen hain is raat k baray me agar maan bhi liya jaye k nahi hai aur apko kisi ne nek amal par uksaya Khauf e Khuda ilaya toh kya ye Biddat hai?
Humne agar ek raat ibadat me guzari to kitne guanah se bach gaye,kitni gheebaton se kitni ghair sharaei sargarmiyon se amahfuz rahe..aur din Roze me guzara to kitne jhoot se mahfuz rahe..
Agar koi raah e haq ki taraf bulata hai Namaaz k liye pukarta hai aur ispar jab koi amal karta hai toh kya gunahgar hoga?
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
u r rite
but there is also another thing k jo log ehl-e-sunnat ko b follow karen aur us k saath saath doosre firqon ko b toh unhain aap munafiqat nai kahengi???? Aur jo log har ek firqe, har ek mazhab k pairokaar hon unhain aap kis mazhab ya firqe main tasleem karengi????

islam ki taleem, nimaz, arkaan-e-islam ki targheeb dena beshak ek naik amal hai, jazakallah aur jo kisi ko accha raasta dikhate hain un ko allah ajar b dete hain
aur rahi baat ahadis ki k koi b hadith ghalat bayan ki gai hai ya esa kuch b shubah hai aapko toh us k liye allah taa'al ne apni behtreen guide(quran) di hui hai insaan ko jisey khol k parha jaye aur ghaur se samjha jaye toh hamen almost har baat ka jawab milega, aur usi tarah shab-e-baraat ki b fazeelat bayaan hui hai

Haan ye alag baat k hadith main hamare pyare rasool s.a.w ne isey tafseel aur mukammal tareeqe se samjhaya hai
allah hum sab ko siraat-e-mustaqeem pe chalne ki tofeeq ata farmaye(ameen)

sum aameen
jazakallah​
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
u r rite
but there is also another thing k jo log ehl-e-sunnat ko b follow karen aur us k saath saath doosre firqon ko b toh unhain aap munafiqat nai kahengi???? aur jo log har ek firqe, har ek mazhab k pairokaar hon unhain aap kis mazhab ya firqe main tasleem karengi????

Islam ki taleem, Nimaz, Arkaan-e-Islam ki targheeb dena beshak ek naik amal hai, JAZAKALLAH aur jo kisi ko accha raasta dikhate hain un ko ALLAH ajar b dete hain
aur rahi baat ahadis ki k koi b Hadith Ghalat bayan ki gai hai ya esa kuch b shubah hai aapko toh us k liye ALLAH taa'al ne apni behtreen Guide(QURAN) di hui hai insaan ko jisey khol k parha jaye aur ghaur se samjha jaye toh hamen almost har baat ka jawab milega, aur usi tarah Shab-e-Baraat ki b fazeelat bayaan hui hai

haan ye alag baat k Hadith main Hamare Pyare Rasool S.A.W ne isey tafseel aur mukammal tareeqe se samjhaya hai
ALLAH hum sab ko siraat-e-mustaqeem pe chalne ki tofeeq ata farmaye(Ameen)

MashAllah............well said....Beshak humko Seedha rasta Allah k zarye hi milega...Ameen​
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
well listen everyone . koi kisi ke firqe ko kuch nahi bolega ye thread laganey ki ijazat is lye di gai hai ke ye aik family forum hai jis pe sub ka barabar ka haq hai magar yahan kisi kism ki behas nahi honi chaye . sub apne apne comments de sakte hain koi kisi dosrey ke comments pe tanqeed nahi karega . hope aap log mujhe disheart nahi karenge Thanks :)
Ji humein aapke jazbaat ki aur ehsasaat ki qadar hai insha'ALLAH koi kisi ke comments per
tanqeed nahin karega hum ne bhi thread lagaiy hai taake sab
wazeha ho jaye and yes we will never disheart you

---------- Post added at 04:16 AM ---------- Previous post was at 04:15 AM ----------

Confuse hone ki baat nahi...kyun k agar apko kisi ne namaz parhne ya Allah ki ibadat karne ya Tilawat karne ki targheeb di hai toh kya ibadat me raat guzarna ghalat hai...waise bhi sawab hi to milega..Ye kaam koi ghair Allah hai ya ibaddat karna kisi bhi raat me mamnoo hai....?
Agar koi apko najayez kaam k liye raghib kare ya ghalat jo k ghair sharayi ahi toh ya mazhab k khilaf ya Allah k khilaf bhatkata hai toh shaitaniyat hai..Pahle to Rasool swww ki hazaron hadeesen hain is raat k baray me agar maan bhi liya jaye k nahi hai aur apko kisi ne nek amal par uksaya Khauf e Khuda ilaya toh kya ye Biddat hai?
Humne agar ek raat ibadat me guzari to kitne guanah se bach gaye,kitni gheebaton se kitni ghair sharaei sargarmiyon se amahfuz rahe..aur din Roze me guzara to kitne jhoot se mahfuz rahe..
Agar koi raah e haq ki taraf bulata hai Namaaz k liye pukarta hai aur ispar jab koi amal karta hai toh kya gunahgar hoga?

Hmmm u picked the correct point Thanks ofr the reply

---------- Post added at 04:19 AM ---------- Previous post was at 04:16 AM ----------

biddat ka matlab ye nhi k koi aapko kisi naik kaam ki taraf bulaye ya mana karey

maire khayal se to biddat ka jo matlab wo ye k deen may kisi bhi baat ki kami ya izafa khud se kar daina jab k wo baat sirrey se thi hi nhi
i mean k khud se kisi bhi baat ko hadith qarar de daina ya farz bna daina ye biddat hay
matlab khud se koi baat mansoob kar daina jo kahi nhi gai ye biddat hogi

baqi ALLAH ki ibadat zikar ye sab kisi aik raat k liye makhsoos to nhi
anywayz ALLAH KNOWS the best
ALLAH tala hum sab ko seedha raasta dikhayey AAMEEN
ji haan waqai biddat ka matlab yehi hai aap durust farmaye lekin agar mein na kahoon
ke yeh hadeeson mein se hai mein khud se agar raat bhar namazein parhoon din ko rouza
rakhoon to loug use bhi biddat keh dete hain???? koun keh sakta hai ke nafal namaz hi biddat hai??

aameen summ aameen

after all thanks ofr ur repliez

---------- Post added at 04:21 AM ---------- Previous post was at 04:19 AM ----------

u r rite
but there is also another thing k jo log ehl-e-sunnat ko b follow karen aur us k saath saath doosre firqon ko b toh unhain aap munafiqat nai kahengi???? aur jo log har ek firqe, har ek mazhab k pairokaar hon unhain aap kis mazhab ya firqe main tasleem karengi????

Islam ki taleem, Nimaz, Arkaan-e-Islam ki targheeb dena beshak ek naik amal hai, JAZAKALLAH aur jo kisi ko accha raasta dikhate hain un ko ALLAH ajar b dete hain
aur rahi baat ahadis ki k koi b Hadith Ghalat bayan ki gai hai ya esa kuch b shubah hai aapko toh us k liye ALLAH taa'al ne apni behtreen Guide(QURAN) di hui hai insaan ko jisey khol k parha jaye aur ghaur se samjha jaye toh hamen almost har baat ka jawab milega, aur usi tarah Shab-e-Baraat ki b fazeelat bayaan hui hai

Surely We revealed it on the grand night. And what will make you comprehend what the grand night is? The grand night is better than a thousand months. The angels and Gabriel descend in it by the permission of their Lord for every affair, Peace! it is till the break of the morning.
haan ye alag baat k Hadith main Hamare Pyare Rasool S.A.W ne isey tafseel aur mukammal tareeqe se samjhaya hai
ALLAH hum sab ko siraat-e-mustaqeem pe chalne ki tofeeq ata farmaye(Ameen)

JazaakALLAH khair aapke is comment se baat aur
bhi wazeha ho gaiy Bohot bohot shukria

---------- Post added at 04:22 AM ---------- Previous post was at 04:21 AM ----------

doston aap logon mein se agar kisi ne videos bhi dekhe hain to
plz uske mutabiq bhi repliez de to achha lagega thanks
 
mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI
shab e baraat or lyliatulqader main ferq hay nelli ap as ko as say na milain ager yeh shab e baraat hay islam main to kisi arb country main kioun nahin manaai jati .. quran o sunna per amal ki tufeeq dey or manghert bidaat say bichye ,
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمــن الرحيــم
assalam o alaikum

hum me se chund logaon aaj bhi aise hain jo itne saare dalaayel dene k bawajood bhi shaban ki 15th shab(yaani shab e baraat) k qaayel hain.halaanke iski daleel me jitni bhi aahadees naql ki jaati hain wo zayeef hain.maine aapki share kiye hue tahir ul qaadri k links dekhe unho ne jitni bhi baat kahi ksi se shaban ki 15th raat ki fazeelat zaahir nahi hoti.

waise ye video share karne ka jo tareeqa aapne iqtiyaar kia hai wo sahih nahi hai.agar aap ahle ilm hain aur daleel de sakte hain tab hi is maamle me aapko kuch kahna chahiye warna khamooshi hi baheter hai.agar aise dekha jaaye to main bhi yahan kayi videos share karsakta hon.

ab aayiye shaban ki 15th shab ki haqeeqat quran k aayine me dekhte hain.
chund ek hazrat daleel k taur par surah e duqqan ki aayath انا انزلنه في ليلة مباركة انا كنا منذرين yaqeenan humne ise babarkat raat me utaara hai beshak hum daraane wale hain.aur isi tarha isi surat ki aayat no4. فيها يفرق كل امر حكيم - امرامن عندنا انا كنا منذرين isi raat me har ek mazboot kaam ka faisla kia jaata hai- hamare paas se hukum hokar hum hi hain rasool banakar bhejne wale.

yahan babarkat raat se muraad lailatul qadr hai.na k shaban ki 15th raat jaisa k Allah taala farma raha hai surah e baqara aayat no.185 me"شهر رمضان الذي انزلا فيه القران ramazan hi wo mahina hai jisme quran naazil kia gaya.ab aayiye dekhte hain k wo raat kaunsi hai jisme quran naazil kia gaya aur isi raat Allah jabrayeel alahissalam ko bhejta hai taake wo hamare qismat k faisle kare.

انا انزلنه في ليلةالقدر- وما ادراك ما ليلةالقدر- ليلةالقدر خيرمن الف شهر- تنزل الملاكة والروح فيها باذن ربهم من كل امر- سلام هي حتى مطلع الفجر yaqeenan humne ise shab e qadr me naazil kia- tu kia samjha k shab e qadr kia hai-shab e qadr ek hazaar mahinaon se afzal hai-isme (har kaam) k sir anjaam dene ko apne rab k hukum se farishte aur rooh(jabrayeel alaihissalam) utarte hain-ye raat sarasar salamati ki hoti hai aur fajr k tulu hone tak rahti hai.

is surat me waazeh taur par ye bataya gaya hai k wo raat jisme quran naazil hua wo shab e qadr ki raat hai.aur isi raat tamam kaamaon k faisle kiye jaate hain aur yahi wo raat hai jo ek hazaar mahinaon se afzal hai.ab ye kahan ki aqalmandi hai k shabe qadr ki fazeelataon ko shaban ki 15 wi shab me fit karna.

jabke waazeh taur par Allah farma raha hai k maine quran ko ramazan k mahine me naazil kia.aur shab e qadr hi wo raat hai jisme saare qisamt k faisle kiye jaate hain aur isi ko ek hazaar mahinaon se afzal qarar dia gaya hai.

is liye mere bhai zara hum ghaur karen k quran ki itni waazeh aayaat hamare paas maujood hone par bhi hum apni hi be daleel bataon par atke hue hain.aur yahi hamare baahami ikhtelafaat ka faayeda shia aur qaadiyani aur islam dushman anasir uthaate hain.hame aisi cheezaon se Allah bachaaye rakhe aameen.
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
JAZAKALLAH khair bhai for ur clear explanation
asal main kal jab mene search ki shab-e-barat k baare main toh wahan yehi likha tha k shabe baraat aur shab-e-qadar dono same hain
magar ap ne isey tafseel main bayaan kar diya hai so i hope k aainda k liye esi koi confusion nai ho gi:)

Allahi baarik fee nelli.hume musalman hone k naate in biddataon ka qaatma karna hamare liye zaroori hai.chund log na maloomiat ki wajah se is cheez me mubtela rahte hain.Allah hum sabko quran o sahih aahadees par amal ki taufeeq ata farma aameen.
 
Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Thread Create karney ki ijazat jis waja se di gai thi woh ub pori ho chuki hai . kisi kism ki koi behas na ho is lye ub Thread close kar raha hon . Thanks :)
 
Status
Not open for further replies.
Top