Shirk Kia hay?? Last ROund, Task Submitted!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!


Assalam o ALaikum
2nd Round may Apna article share kar rhi hun!







Main jo sar-basajda hua kabhi, to zameen se aane laggi ye sada

Taira dil to hay sanam aashna, tujhye kia milega nimaz may”
(Allama Iqbal)

Shirk Ki tareef, Shirk kia hay?:


إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَنْ يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَنْ يَشَاءُ ۚ وَمَنْ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدِ افْتَرَىٰ إِثْمًا عَظِيمًا

“Bilashuba ALLAH tala ye baat maaf nhi fermata k ALLAH k saath kisi ko shareek thehraya jaaye aur is k siwa baqi sab batain jis k liye chahey maaf kar daita hay(Al-Nisa:48)


Is aayat se Shirk k bare may ye wazea hota hay k ye kabeera gunaho may se wo gunah hay jiski maafi nhi hay, shirk ALLAH ki sakht narazgi ka sabab hay jis ke liye ALLAH tala kabhi maaf nhi farmaate, Ab sawal ye hay k Shirk kia hay?
Shirk ki mukhtalif soortain kia hain, kia tauheed ka sirf zuban se iqrar kar laina, ya arkan-e-islam ko ada karna kaafi hay? Kia shirk sirf button(idols) ko poojna hay? Shirk ki asal haqeeqat aur mukhtalif soortoon par Quran-o-hadith ki roshni may aik nazar daalte hain:

Shirk: Agar (lughwi) yaani aam zuban may bole jaane waale lafz ki haysiyat se nazar daali jaaye to iska matlab hay “HISSA DAARI”, Shirakat”(partnership), brabar ka ya thori ya ziada nisbat ka hisse daar hona.
Shariyat ki istalah may Shirk ka matlab hay k ALLAH tala k brabar ya ALLAH k saath kisi nisbat may kisi dusre ko hisse daar thehrana, ALLAH ka shareek manna , ALLAH k brabar Tasleem karna .ALLAH ki zaat , Siffat , Ibadat may kisi aur ko shamil karna Shirk hay.

Shirk toheed ki zid(opposite) hay. Tmam Ambiah karam (A.S)ne apni taleemat may tauheed k aqeede ki mushtarika taur pe tableegh farmaayi hay jis k mutabiq ALLAH wahid hay:
Apni zaat may

Apni siffat may

Ibadaat may


1. ALLAH AIk hay (zaat may wohdaniyat)
2. ALLAH hayyu(hamesha zinda rehne waala) wa Qayyum(qaym rehne wala), ghaib ka ilm janne waala, Raaziq, dilon ka haal jaane waala ,niyaton se waqif,……….(siffat may wohdaniyat)
3. Aur La ilaha Illalahu(nhi koi ibadat k laiq siwaye ALLAH k) ibadat may wohdaniyat .

Yaani ye siffat sirf ALLAH hi ki hain, ALLAH apni zaat may yakta hay, ALLAH ko kisi ne nhi janna(paida kiya) aur na hi ALLAH ne kisi ko janna(NOTE!ALLAH ne Makhluqat ko takhleeq kiya hay, aur ALLAH kisi kaam k karne k liye sirf bolte hain “KUN” “ho ja” aur wo ho jata hay)).YE siffat kisi aur main nhi hain.

ALLAH ka koi hamsar nhi, ALLAH jaisa koi nhi hay ye ALLAH ki wohdaniyat ka iqrar hay.
ALLAH jaisa kisi aur ko taswur karna, ya kisi ko ALLAH k saath kisi bhi qisam ka shareek(hisse daar) thehrana shirk hay.
Jaise k christians(aisayio) ka aqeeda hay k farishte ALLAH k baite (sons) hain. Hala k Quran paak may saaf saaf irshaad hay.


قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ - اللَّهُ الصَّمَدُ - لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ - وَلَمْ يَكُنْ لَّهُ كُفُواً أَحَد

“Keh wo ALLAH aik hay, ALLAH beniyaz hay, na is ne kisi ko jana, na use kisi ne jana aur na hi uska koi humsar hay”(surah-Ikhlas)

Shirk ki dusri soorat ye hay k ALLAH ki wohdaniyat maan laine k baad bhi ALLAH k btaye huye ehkamat par amal to zarur karna , par kisi aur ko us may shareek karna , Matlab Arkaan islaam (nimaz,roza,zakat,hajj) ko ALLAH k ilawa kisi aur ko dil may rekhte huye ya kisi aur k liye ada karna bhi shirk hay.

Surah Bani Israel may ALLAH tala farmaate hain:

وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعْبُدُوا إِلَّا إِيَّاهُ

Aur tumhaare rab ne ye faisla farma diya k tum is (ALLAH) k siwa kisi ki ibadat na karo (bani-israel:23)

ALLAH tala k siwa kisi aur ko madadgaar tasawur karna kisi aur k bare may ye yaqeen rakhna k koi(ghair ALLAH) hmari mushkilat ko aasan kar sakta hay ya hamain jaza-o-saza de sakta hay ya hamain nafa ya nuqsan pohancha sakta hay aur us se mannatain ya duayain maangna ye bhi shirk hay, ALLAH k siwa kisi se nhi maanga ja sakta AMbiah karam se bhi nhi:

ALLAH tala aise logon k bare may surah yaseen may irshad farmaate hain:


وَاتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ آلِهَةً لَعَلَّهُمْ يُنْصَرُونلَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَهُمْ وَهُمْ لَهُمْ جُنْدٌ مُحْضَرُونََ

“aur ALLAH k siwa dusron ko maa’bood bnate hain, tan k unki madad ki jaaye gi ,yaqeenan un may inki madad karne ki taqat hi nhi,ye (kufar-mushrakeen) un(button) k lashkar hon gaye jo ikathe dozagh may dakhil kiye jayain gaye(Surah-YAseen:74-75)

Kuch log to gumrahi may is had tak dhansey huye hain k wo qabron ki pooja karte hain ,,Un se mannatain maang kar unhe apne liye nafa-o-nuqsan ka bays tasawur karte hain, un se duayain maangte hain aur ye yaqeen rakhte hain k Qabar may jo hain wo unki baat sun sakte hain aur unki mushkil hal kar sakte hain aur agar unho ne inki pooja na ki to unhe kisi nuqsan ka andaisha hoga, un ki mushkilaat qabron ko sajda karne ya mannatain maangne se hal ho sakti hain,, aise log Qabron ko sajda karte hain hala k sajda ALLAH k siwa kisi k saamne karna jayz nhi aur yhi gumrahi aur shirk hay.
Surah AL-hajj may Shirk ki us soorat ko kuch is tara bayan kiya gya hay:


إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُ ۖ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لَا يَسْتَنْقِذُوهُ مِنْهُ ۚ ضَعُفَ الطَّالِبُ
وَالْمَطْلُوب
ُ
“Jinko tum khuda k siwa pukarte ho wo aik makhi bhi nhi bna sakte agarche is k liye sab jama ho jayain, aur agar in se makhi ko cheen liya jaaye to usse is se chura bhi nhi saktey ya talib-o-matloob bilkul gaye guzre hain”(AL_HAJJ: 73)


Shirk ki is soorat ko wazea karne k liye main aik Hindu ka sawal yahan sab k saamne rakhna chahungi us sawal se hi hmare liye shirk aur wohdaniyat ka ye concept clear ho jaayega,
Aik Hindu ne sawal poocha k “Hindu aur Muslim may kia farq hay ?” yhi na k MUSLIm ALLAH ko maante hain ALLAH ko sajda karte hain aur Hindu Button(idols) ko poojtey hain ,magar bohat se MUSLIM mizaron par ja kar Qabron ko sajda karte hain , To aap btayain Muslim aur hindu may kia farq rha?
Pooja to wo bhi butt(idol) ki hi kar rhe hain chahey BUT(idol) kharra(standed) ho ya Laita (lay)ho”.

Matlab Jo faut ho chukkey hain is dunya may nhi hain un se kisi nafa-o-nuqsan ki umeed may sajdey karna aur kuch maangna gunah-e-kabeera hay, shirk hay.

“Button se tujh ko umeedain ,khuda se naumeedi

Mujhey bata tuhi aur kafri kia hay?”

(ALLAMA IQBAL)
Hatta k Hazrat Muhammad(PBUH) se mannat maangna ya unki qabar ko sajda karna bhi shirk hay. ALLAH tala ne Prophet Muhammad(PBUH) ki itayat(pairwi, unki taleemat ko sach manna aura mal karna) ka hukam diya unki pairwi ki talqeen ki Unki zaat ko Tmam jahano k liye amli namuna bnaya jiski pairwi kar k hum kamyabi hasil kar sakte hain, magar wo bhi ALLAH ki zaat, siffat ya ibadat may shareek nhi hain unki ibadat ka hukam ALLAH ne nhi diya.

Aam insani aqal ka bhi taqaza hay k “ALLAH jo k hamari sheh rag se ziada nazdeek hay hmari niyaton ko jaanta hay hamari duayain hamare Labon tak aane se pehle sun laita hay to hum us ALLAH se maangne ki bajaaye un logo se maangna shuroo kar daite hain jo khud ALLAH ki makhlooq thay aur jo is dunya may hain hi nhi kia wo hamain sun sakte hain? hamare liye kuch kar sakte hain?agar wo kuch kar sakte agar un k ikhtyar may ALLAH jesi siffat hoti to bhla wo apne liye zindagi na khareed laite? Wo faut q hote? ,,kia ye shirk nhi hay? Kia ye ALLAH ki wohdaniyat se inkar nhi hay?

ALLAH tala ka irshaad hay k Shirk sab se barra zulm hay:

“Beshak shirk bohat barra zulm hay”: (surah AL-luqman)


Surah Al_Baqra may ALLAH tala irshaad farmaate hain:

وَإِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الرَّحْمَٰنُ الرَّحِيمُ

"Tumhara maabood aik hay, is(ALLAH) k ilawa koi maabood(ibadat k laiq) nhi,wo rehman-o-raheem hay"(surah Baqra :163)

Aam khayal ye kiya jaata hay k Shirk sirf ye hay k Pathar ki moortion ya ALLAH ki makhlooqat may se kisi ko sajda kiya jaaye,,magar shirk har wo cheez hay jis may Hum ALLAH ki zaat uski siffat ya ibadat may kisi ko hissa dara bna daite hain.

ALLAH k Siwa kisi aur ko Raziq samjhna ya manna bhi shirk hay:

Irhsad-rubani hay:


أَمَّنْ هَٰذَا الَّذِي يَرْزُقُكُمْ إِنْ أَمْسَكَ رِزْقَه

"Bhala wo kon hay jo rozi dey tumko, agar ALLAH apni rozi band kar dey"(Al-mulk:21)

Log chand dunywi zaruryat k hasul k liye dusro ki khushamad karte aur ALLAH k ehkamat ki khilaf warzi karte hain wo dusro ko apne liye rizq ka hakim samajh kar unhe sajda bhi karte hain ya un se kisi khauf k sabab aise kaam karte hain jo ALLAH ko napasand hain aise logo ko ALLAH par yaqeen nhi rehta aur dusro se nafa-nuqsan ya khauf ka ziada yaqeen ho jata hay aur yehi shirk hay.


Shirk ki aik aur soorat Nafs Parasti bhi hay : aaj k Dor ka sab se ziada phaila hua shirk nafs parasti hay, Jo insan ALLAH k ehkamat k muqable may apni khwahihshat ko tarjee de kar aise kaam karta hay jo aqeeda toheed k munafi hain, wo shirk k murtakib hota hay.

Hatta k Hazrat Muhammad(PBUH) se mannat maangna ya unki qabar ko sajda karna bhi shirk hay. ALLAH tala ne Prophet Muhammad(PBUH) ki itayat(pairwi, unki taleemat ko sach manna aura mal karna) ka hukam diya unki pairwi ki talqeen ki Unki zaat ko Tmam jahano k liye amli namuna bnaya jiski pairwi kar k hum kamyabi hasil kar sakte hain, magar wo bhi ALLAH ki zaat, siffat ya ibadat may shareek nhi hain unki ibadat ka hukam ALLAH ne nhi diya.


Uper ki tafseelat k mutabiq Shirk kia hay mukhtasir jayza laite hain:


1. ALLAH k siwa kisi k saamne jhukna(sajda karna) shirk hay.

2. Bazurgon ki qabron ko sajda karna shirk hay.

3. Hatta k Prophet Muhammad(PBUH), HAZARAT ALI(R.A), HAZRAT FATIMA(R.A) ya ambiah may se bhi kisi ki qabr ko sajda karna shirk hay.

4. Ye Yaqeen rakhna k jo log faut ho chukkey hain wo hmari duayain sun sakte hain ya hmari madad kar sakte hain shirk hay.

5. Ye yaqeen rakhna k ALLAH k siwa koi hamain nuqsan ya faida pohancha sakta hay shirk hay.

6. Ye yaqeen rakhna k ALLAH k siwa koi har cheez(zahir-o-batin) se waqif hay, shirk hay.

7. Ye yaqeen rakhna k ALLAH k siwa koi hamain hidayat ka rasta dikha sakta hay ya hmari rehnumayi kar sakta hay shirk hay.

8. ye Yaqeen rakhna k kisi zarurat k poora karne k liye ALLAH k saamne kisi ko waseela bnaya ja sakta hay jo ALLAH se hmare liye dua qabul karwaye, Shirk hay.

9. Ye yaqeen rakhna k koy ALLAH jitna ya ALLAH se ziada taqatwar hay shirk hay.

10. Ye yaqeen rakhna k ALLAH k siwa koi hamain jahanum ki aag se bcha sakta hay,shirk hay.

11. Kisi ko ALLAH k brabar darja daina shirk hay.

12. ALLAH ki siffat-e-kamila jaisa kisi aur ko samjhna shirk hay.

13. Ye yaqeen rakhna k ALLAH k siwa kisi may taqat hay jo moujza(miracle) kar sakkey, shirk hay.




!!!In tafseelat se hum khud andaza lga sakte hain k aaj k Daur may har jaga kisi na kisi soorat may shirk phaila hua hay!





“Aayie is baat par dil se eman rakhain aur iqrar karain k Beshak sirf ALLAH hi hay jo hamesha zinda rehne waala hay aur har cheez par Qadir hay, Tamam tareefon ka haqdaar, Tamam ibadatain sirf ALLAH k liye hain jo hamesha sunne wala aur sab janne wala hay”.

ALLAH tala hum sabko Momineen may shamil farmayain ,hamare iman may mazbuti ata farmayain, aur hamain gumrahi se bachayain AAMEEN SUM AAMEEN!

“Na hay koi taira,na hoga shareek

Teri zaat hay wahda lashareek


Chand Alfaaz Contest aur Contest ka aaghaz karne waalon k liye:

aise contests zarur regular basis pe hote rehne chahiye,, Muje yahan sab k articles parh k hamesha lagta tha k pta nhi kaise itni mehnat kar laite hain aur kidar se search kar k likhte hain ,,muj se to kabhi nhi ho sakta, but Saviou bhaya ne participate karne ko bola tab bhi muje shak tha k main nhi kar paungi kuch ,but hayrangi hui is baat ki k jab topic le k likhne bethi to sab khudbakhud aasan ho gya khud hi interest barha aur muje bohat ziada khushi hui ye dono round complete karte huye. Thanx to ALLAH n saviou bhaya jinki waja se ye pehla step liya maine ,,aise kisi bhi contest may pehli baar hissa liya aur bohat khushi hay k maine bhi yahan koi ache kaam may time lgaya :p
JAZAKALLAH brother n Sabah!
Sab Participants ki mehnat qabil-e-tareef hay TM ki kurio pe bohat fakhar hay muje especially Kirpa sis pe bohat proud feel hua she is an amazing girl MASHA'ALLAH:-bd ,,
aur hayrat ki aik aur baat k is contest may TM ki sab larkio ne hi participate kiya kisi larke ne ab tak nhi kiya:-?
TM k saare Mundey waile(farigh) /:) :p


 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..
parh to pehle hi liya tha /:)
mashaAllah bht hi khobsurti se sab kuch bayaan kiya hai..
Allah talah apko aur saviou bro ko jazaye khair dein..AAMEEN...
About the last comments..Waile ki baat nahi hai..saari larkiyan waili beithi wi hein bas...hum sab parhaye mei busy hote hein :|
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ohohohoooooo g g parhayi sab samajhti hun,,,Cricket k wallpapers parhte ho aap,,commentary parhte ho ,,un pe aaye huye SMs parhte ho aur to aur safar k doran raaste may aane waale billboards bhi parh laite ho,,uff tauba inni parhaiyan ;)),,yhi na :p
n shukran :) {(popcorn)}
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
ohohohoooooo g g parhayi sab samajhti hun,,,Cricket k wallpapers parhte ho aap,,commentary parhte ho ,,un pe aaye huye SMs parhte ho aur to aur safar k doran raaste may aane waale billboards bhi parh laite ho,,uff tauba inni parhaiyan ;)),,yhi na :p
n shukran :) {(popcorn)}
haha...ab aisa bhi nahi hai..itna bara book worm bhi nahi hoon..infact hon hi nai ...
cricket to bas yeh asia cup ki waja se dekh liya tha /:) ...
abhi parhaye to kuch bhi nai ki hai :|
 
  • Like
Reactions: hoorain

Sara Cilli Milli

!*!Bulbul!*!
Super Star
Oct 21, 2010
13,389
6,751
513
disney land (-'')
Main jo sar-basajda hua kabhi, to zameen se aane laggi ye sada Taira dil to hay sanam aashna, tujhye kia milega nimaz may” bohat acha sahri likha hy :) or woh Hindu wala sawal bhi acha laga bst of luck :-bd
 
  • Like
Reactions: hoorain

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Wah Hoorain Asusual bohot zabardast likha hai u ne, aur bohot hi khulase ke saath is topic ko bayaan kiya hai.

Aur aapne ashaar bhi bohot sahi jagah per istemaal kiye hai bohot khoob...:):)

Shirk ke jo jaiyze aapn ebayaan kiye hai wo bohot hi behtareen hai keep up d good work , lagta hai ye round bhi u ka hi hai, lekin abi mai hu race me u ke piche:p:p Kidding siso..

ALL THE BEST Behna:):)
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
jazakallah kher kafi tafseel me likha hai u ne chutki
Main jo sar-basajda hua kabhi, to zameen se aane laggi ye sada Taira dil to hay sanam aashna, tujhye kia milega nimaz may” bohat acha sahri likha hy :) or woh Hindu wala sawal bhi acha laga bst of luck :-bd
BUHT ALLA.....

Buht Umda tareeky se ap ne apna task pora kiya hy.....

MASHA ALLAH
Bohat khooooob likha hoorey..... :x
JAZAKALLAH:) {(popcorn)}
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Wah Hoorain Asusual bohot zabardast likha hai u ne, aur bohot hi khulase ke saath is topic ko bayaan kiya hai.

Aur aapne ashaar bhi bohot sahi jagah per istemaal kiye hai bohot khoob...:):)

Shirk ke jo jaiyze aapn ebayaan kiye hai wo bohot hi behtareen hai keep up d good work , lagta hai ye round bhi u ka hi hai, lekin abi mai hu race me u ke piche:p:p Kidding siso..

ALL THE BEST Behna:):)
JAAZAKALLAH bro :)

g g ye to khushi ki baat hay aap bhi zarur koi topic pe likhain ,,ziada participants hissa lain ziada acha rhega :-bd {(popcorn)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
subhan Allah bohot hi umdagi ke sath mudallal aur tafseelan apne shirk ko bayan kiya hai aur aaj ke muashre me hone wale shirk par bhi wazahat ki hai aur kayi misalen bhi diye hain aur sath me ashar ka bhi acha istemal kiye hain

Allah apko jaza e khair de aur ham sab ko is shirk se mehfooz rakhe Aameen

rahi aapki rai ki baat to hame khushi hai pehle to ke aap ne isme hissa liya aur apne waqt ko deeni kaam me lagaye

aur iska asal shukr to hame Allah hi ka aada karna chahiye jisne ham jaise haqeer ko ye contest chalane ki sadat naseeb farmayi aur phir aap sab ka sath bhi diya Alhamdulillah :)
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jazakallah khair sisoo hoorian mashaallah bht umda article likha hy aap ne ..all the best dear
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top