Soocha hai ab kar-e-masiha na karain gay

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Soocha hai ab kar-e-masiha na karain gay,
woh khoon bhi thookay ga tu parwa na karain gay.

is baar woh talkhi hai keh roothay bhi nahen hum,
ab keh woh laraee hai keh jhagra na karain gay.

Ya'an us kay saleqay keh hain aasaar tu kiya hum,
Is par bhi yeh kamra tah-o-bala na karain gay.

Aisa hai keh seenain main sulagtee hain khirashain,
Ab saans bhi hum lain gay tu acha na karain gay.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top