Sunnat Namaz Kay Masail

  • Work-from-home

Sprinkle

Newbie
Aug 14, 2009
63
73
0
36
Sunnat Namaz Kay Masail


Fajar

Fajar Kay Waqt Farz Say Pehle 2 rakat namaz sunnat hai hadees mein is ki bari takeed ae hai kabhi is ko na chorey agar kisi din dair hogae namaz ka waqt bilkul akhir hogaya to majburi mein 2 rakat farz parhley lekin jab suraj nikal ae or uncha hojae to Sunnat Ki 2 rakat bhi parhlein.

Masla :Fajar ki sunnatein beth kar nahi parh saktay bagair uzar kay kyun kay is ki kafi takeed ae hai dusri baat agar humari ankh thori pehle khol gai or socha kay abhi subha sadiq nahi hui or is khayal se tahjud parhne laga phir pata chala kay subha ka waqt to ho chuka tha to yeh rakatien is ki sunnat mein shamil nahi hongi fajar ki sunnato kay alag say niyat karni parti hai kay mein subha ki sunnatein ada karaha hon..
Zohar

Zohar Kay Waqt Pehle 4 Rakht Sunnat parhein phir 4 rakat farz phir 2 rakat sunnat zohar kay waqt yeh 6 rakatein bhi zaruri hain bilawaja chordene se gunah hota hai

Masla:Zohar Aur Jummay mein 4 rakat sunnat farz say pehle hain us mein 2 rakat mein "Atayiyat" Mein beth kar bholay say darood shareef parhliya to akhri raakat mein sajda Sahoo karna parega kyun kay 2 rakaton kay baad uthna zaruri hai

Asar

Asar kay waqt pehle 4 rakat sunnat parhen phir 4 rakat farz parhein lekin asar kay waqt sunnaton ki takeed itni nahi hai jo koi na parhe to gunnah koi nahi parhle to sawab bohat ziada

Masla: Asar ki sunnaton mein yeh ho sakta hai ap 4 rakat ki niyat karein or dusri rakat mein Chahein to "Atayiyat" mein beth kar darood sharef bhi parhlein or chahein to dua bhi parhlein or salam phere bagair uth jae or chahe to SANA say Shuru karein 3 rakat chahein to ALHUMDU say karein

Maghrib
Maghrib kay waqt pehle 3 rakat farz parhein phir 2 rakat sunnat parhein yeh sunnatein bhi zaruri hain in ki bhi takeed ae hai

Isha
Isha kay waqt pehle 4 sunnat parhein phir 4 rakat farz phir 2 rakat sunnat parhein farz kay baad jo 2 sunnatein hain in ki kafi takeed hai is hisab say isha ki 6 sunatein hui agar itni rakatein na parhe to pehle 4 rakat farz 2 rakt sunnat or 3 rakat witr parhe yeh zaruri hai

Masla: Asar ki tarah ISHA Mein ki farzo say pehle 4 rakat sunnat mein yehi kar sakte hain jese asar mein ikhtiyar hai ase hi isha ki farz namaz say pehle 4 sunnat parh skate hain

Jummah

Jummah kay din farz say pehle Ek SALAM say 4 rakat sunnat parhein or farz kay baad 4 Rakat Sunnat ek SALAM say parhein in ki bhi kafi takeed ae hai or phir 2 rakat sunnat

Masla. :Zohar Aur Jummay mein 4 rakat sunnat farz say pehle hain us mein 2 rakat mein "Attiyat" Mein beth kar bholay say darood shareef parhliya to akhri raakat mein sajda Sahoo karna parega kyun kay 2 rakaton kay baad uthna zaruri hai


Jo Sunnatein Reh Jae YA Fajar Ki Namaz Reh Jae :

  • Fajar Kay farz or sunnat dono chuth gae to zawal say pehle ada karein to farz kay sath sunnat bhi parhein or agar zawal ("zohar)kay baad ada karein to sirf farz ki qaza karein sunnat na parhein
  • Zohar Say pehle kay 4 rakat sunnat reh jaein to farz kay baad ada karein or farzo kay baad behtar yeh hai pehle 2 rakat sunnat ada karein phir 4 rakat sunnat jo reh gae hain wo ada kare lekin agar kisi nay farz kay baad 4 sunnat parhi or phir 2 sunnat parhi to is ki bhi sunnat ada hojaegein lekin behtar tarika yeh hai 2 sunnat phir 4 sunnat
 

Saqibcloud

Newbie
Jul 12, 2016
1
0
1
Oo bhai joo boo hoo jis nay bhi yeh sab likha hay kia usay nae pata nawafil bhi namaz kaa hissa hain. Agar aap nawafil koo namaz ka hisa nae mantay too aap namaz kii khilaf warzi kar rahain hain
 

debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
Yeh jo masael biyan kiya hai inkay saath References ki wazahat bhi kardain aur ho sakay tu concerned Ahadith bhi daal dain.
 
Top