RAT katti rahi ....
chand dhalta raha,
Aatish_E_hijar mein koi jalta raha,
ghar ki tanhayan dil ko dasti raheen,
koi bechain karwat badalta raha,
Aa_umeed ki shama roshan rahi,
ghar ki dehleez koi takta raha,
Rat bhar chandni gungunati rahi,
Rat bhar koi tanha sisakta raha,
Ashak palkon pe aa k bhikartay rahe,
Naam lab pe kissi ka larzata raha,
Aaj phir raat basar ho gai,
AJ phir koi khud se ulhajta raha.
chand dhalta raha,
Aatish_E_hijar mein koi jalta raha,
ghar ki tanhayan dil ko dasti raheen,
koi bechain karwat badalta raha,
Aa_umeed ki shama roshan rahi,
ghar ki dehleez koi takta raha,
Rat bhar chandni gungunati rahi,
Rat bhar koi tanha sisakta raha,
Ashak palkon pe aa k bhikartay rahe,
Naam lab pe kissi ka larzata raha,
Aaj phir raat basar ho gai,
AJ phir koi khud se ulhajta raha.