Tm debate contest 2011/12 round 2

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Asslam o alaikum
How are u all hope fine.

Dosto mein tm debate contest k 2nd round k saath hazir hoon.

Is bar meine rules mein kuch cahnges ki hein hope aap sab ko pasand ayein.

Rules



  • Is mertaba fix points ka nazerya khatam ker diya gaya hei aur dono teams ko performance k mutabik points diye jain ge.

  • 1st round mein 12 points the mager is metaba total 25 points honge.

  • Man of the match ko 5 and also golden words member ko bhi 5 points diye jain ge.

  • Member k kisi bhi gheir ikhlaqi alfaz k istemal ki soorat mein us member ko pehle warn kiya jai ga aur dobara ghalat herkat ki soorat mein us member ko 2 weeks k liye contest se bahir ker diya jai ga, is k group mein se 1 point *-(minus) kiya jai ga.

  • Contestant Ke Out of Topic post ko bhi delete kya jaye ga Jis ki surat main un ke Group ke points bhi katey ja sakte hain.

  • Contestants ke ilawa baqi members Thread pe post nahi karenge aisa karne ki surat main unki post delete kar di jaye gi woh apni pasand ka izhaar Thanks ke button pe click kar ke kar sakte hain.

  • Capton ke Kisi waja se busy aur out of TM hone ki surat main Caption pe lazmi hai ke woh Thread pe ghaieb hone se pehle apne Kisi partner ko Wise Capton Ship ki command de kar jayega.



Teams

Super Star Group
1. Hansmukh (c) captain
2. Sweet Maha
3. Asma 24
4. Ssafi
5.S_Chiragh
6. Khushi


Bright Star Group
1. Aaraaf (c) captain
2. Faari
3. Hooria
4. ?????
5.Sabah
6. Mashriki Larka
BS k saath SHB nahi hein to un ko chahiye k wo apne liye 1 member razi karein ager aap ko debate k doran koi member mil jata hei to aap mujhe keh ker use usi waqt continue kara sakte hei, i mean wo debate mein any time shamil ho sakte hien.

Super Stars VS Bright Stars

Important for everyone:
( Friends mein janta hoon k bs k kafi members mere decision se nakhush the mager mujh pe yakeen karein meine is mein kisi ka k dhoka kerne ki koshish nahi kiya, aur jahan tak tm ka sawal hei to jab hum tm mein dakhil hote hein to hamein ye msg nazer aata hei.
Come as a gust Stay as a family.
Ye alfaz admins ne kisi soch ki bunyad pe banai hein aur her shakhs jab ye alfaz perhta hei to us k zehen mein 1 baat zaroor aati hogi.
mujh se poochein to mere zehen mein ye aata hei k jab hum tm aate hein to sab hamara khoob istiqbal kerte hein welcome kerte hein hamare sikhate hein,
Hum ko samjhte hien aur phir jab hum rach bas jain to hum 1 family ki terhan tm pe rehte hein 1 doosre k dukh derd mein shareek hote hein, and mere liye tm ka her member mera bhai aur behen hein, chahe moo bole hi sahi mager hum jab bhi tm mein ayein to 1 family ban jate hein, and family mein bhi jhagre hote rehte hein mager hum ko koi baat dil pe nahi lena chahiye, Mein sab contestants se dil se maafi mangta hoon.No more comments.)


Topic:

Aaj ka topic hei k Jesa k aap sab jante hien k aaj kal Cell phone use kerna kitna aam hei, to mera sawal ye hei k kya cell phones School, collages & Universities mein Allow kerna chahiye ya nahi? Is k nuksanaat zyada hein ya fawaid.

Bright Star's is topic k favor mein debate karein ge aur ye explain kerne ki koshish karein ge k cell phone's schools, colleges, & universities mein allow kerna chahiye.

Super Star's is topic k against debate karein ge aur ye explain kerne ki koshish karein ge k cell phone's schools, colleges, & universities mein allow nahi kerne chahiye.


Note:Is bar kisi bhi qism ki out of topic post ki soorat mein aap ka 1 point cut sakta hei, kisi qism ka thanks ya nice post waghera bhi nahi chale ga aap kisi member ko dad dena chahte hien to aap use pm ker k de dein.
Debate ki last date 12 january 2012 hei.


Bright Star favor le rahe hein isi liye wo start karein ge.

On your mark

Gets it


Go.

 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb!
first: hum member k talash mei hain baki tub tuk we 5 guys are enough to continoue the topic.
NOW COMMING TO THE TOPIC:
Jaise k hume topic de gaye hain k kya cell phones School, collages & Universities mein Allow kerne chahiye ya nai? and we have to talk in favor of it tu shoro mai kerna chahungi.
Cell phones k aajkal k usage kitna sufficient and important hain I think everyone knows about it and I dont have to mention it's usage rather I would only talk about, it should be allowed in school,collages and universities simply for safety sake, but in silence mode and should be dragged in to pocket during lecture of the class.
Kids ko mostly cell phones allow kerna sahi desicion nahi but when it comes about emergency and comming late from school then hum mei se mostly parents kahte hain k kash humare bache k paas ek cell phone hota atleast unse khabar tu liya jata k school se late kaise hue, kaha rah gaye and etc... tu tub hume eske zaroorat mahsoos huti hain so yeh ek helpful device hai jes se hume apno ki khaber rahti hain k kaha and kes haal mei hain, school and universities mei kafi bar kuch complication derpaish huti hai kabhi kabhi school or uni jaldi off hujate hain just due to some reasons classes off huti hain and aapko school phaunchte khaber hujati hain so atleast you dont have to wait out of school till afternoon k tub tuk koi gher se aker pick kare.so you can call at home and inform them to come and pick you early.
kuch schools and educational places mei cell phones allow nai ki jaate just because unhe lagta hain k students padhaye pe dehan nai rakenge and they'll disturb others too with their calls...
so ek student hune k lehaz se mai itna tu bata he sakti hu k students kabhi teachers k lecture dene k wakt apnay cell phones on nai rakte na he use kerte hain but actually thay bring to use it in lunch break or in off time of the class for emergency. ager students ko serf time pass kerne k lie phone school ya university mei laker baat kerne ho then I think that would be the worst place to use because kessi friend se awie baat kerne k lie aur bhi kafi free jagah and times hote hain bena yeh k school mei baat kare.ager kessi ko es baat ki pareshani hain tu.
so sabse zyada kids k lie yeh important hain k school mei cell phones saath mei rakhe because kids ko lekar kafi parents parehsan rahte hain even 1 min bhi late aye gher then tension bher jaate hain so parents and khud kids k lie yeh ek convenient feater hain jho apno ko hamisha connected rakte hain. and pata nai kub kia emergency aye and eske zaroorat padhe so for that reason, edducationl office should allow students for having cell phones with them.
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Walekum Assalam Waqas Bro, Kaafi acha topic chuna hai aapne..

To topic hai ke cell phones School, collages & Universities mein Allow kerna chahiye ya nahi? Is k nuksanaat zyada hein ya fawaid.

Sabah ne bohot achi tarah se ye topic ko samjhaya hai aur iske fawaed bayaan kiye hai..
Mai aapsab ko ye batadu ke har cheez ke do pehlu hote hai fawaed aur nuqsanaat, to laazmi hai isme bhi dono hai, lekin meri nazar me iske nuqsanaat zyada hai kyun ke..
Jaisa ke Sabah ne bataya hai ke hum jab bhi ghar se door hote hai ya koi aisa masla aajata hai to gharwale sonchte hai balke kehte hai ke kaash mere bete ya beti ke paas cell phone hota to pata lagjata ki wo kaha hai, is hadd tak ye baat bohot durust hai lekin agar Schools, Colleges me ise allow karna munasib nahi hai kyu ke isse bachon ke bigadne ke bohot chances hote hai..
Jab bhi lectures chalte hai to jo larke ya larki ko lecture attend karne ka mann nahi hota wo ya chupke se texting me buzy hojaate hai ya phir games me apne aap ko masroof karlete hai.
Free time per Cell phone use karna achi baat hai lekin isi ke zariye bohot nuqsanaat bhi hai jaise ki college canteen me baithe baithe dost aapas me sab ko texting ya calls karke ikatha hote hai aur lectures bunk karke koi movie ya kahi outing per nikal jaate hain.Aaj kal to ye ek Fashion, Trend bangaya hai ke jab bhi dekho larka ya larki apne mobile me masroof hota hai ya to texting, Calling ya phir Internet, Agar Cell Phone se koi Knowledge haasil karte hai to wo better hai lekin School Ya college Students Lectures hi sahi tarah se nahi sunte to kya khaak Cell phone se knowledge haasil karenge, Mai ye nahi keh raha ke saare ke saare ek jaise hote hai Haan thore bache hai jo iska shikaar bane hue hai...

Aur sab hi log ye daur se guzar chuke hai ya guzar rahe hai apni college/University life se to har kisi ko is baat ka andaaza hoga ke har bacha simple, innocent ya sober nahi hota thore bache shaitaniyan bhi karte hai jaise ke lecture chalte waqt wo tones bajaker saaron ko pareshan karte hai to iski wajah se class se baahir bhi nikala jaata hai unhe....

Ek to Cell phone ka istemaal karna itna aam hogaya hai aaj kal ki zindagi me ke wo zindagi ka ek ahem hissa hochuka hai, lekin ise istemaal bhi sahi dhang se kiya jaaye to behtar hoga, Aaj kal ke larke larkiyan to bus iska bohot ghalat istemaal kar rahe hai, mai kuch aise topics ko bhi baaher laana chahunga, jo ke behtar nahi hai lekin iska istemaal bhi karna zaroori hai..
several reasons, firstly not every student would remember to consistently place his or her phone on vibrate, as a result classes would be disrupted by the occasional ring tone. Causing disturbance to teachers and disruption to the Class.
Even if students remembered to place their phones on a vibrate Mode it must be observed that several models produce loud vibrations. If left on desks as later suggests such mobiles make very weird noise, and everybody can hear that sound again causing disruption to classes.
considering that the presence of a mobile phone allows the communication of a family emergency, this can easily achieved by Calling the school directly. This would create a delay of no more than a few minutes which is perfectly acceptable as the student in question is unlikely to be a member of the emergency services.
Therefore I maintain that though cell phones have the advantage of instant communication this is not a pressing need in the school environment and come with problems that fair outweigh the benefits.

Aksar College/University Life me hi dekha jaata hai ke Cell phone ke zariye se hi ek larka larki me mel jol barta hai aur wo dosti barhaane ki chakkar me apne mobile numbers exchange hote hai aur ishq mohabbat jaisi cheezon me mubtela hojaate hai, jiska result ham sab ke saamne hai. Aisi cheezon me parege to wo apni studies per puri tarah se concentrate nahi kar paate hai aur apne kaam kaaj per bhi dhyaan nahi dete hai aur unke marks me kami aayegi ya phir fail hojaenge.
Aur Kai baar aisa hota students ko koi important calls bhi aani hoti hai aur wo time per lecture start hojata hai to wo call ke liye baar baar apna mobile nikalenge aur check karte rahenge ki call miss to nahi hogai aur is chakkar me wo apne lectures per bhi dehaan nahi de paate.

 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Walekum Assalam Waqas Bro, Kaafi acha topic chuna hai aapne..

To topic hai ke cell phones School, collages & Universities mein Allow kerna chahiye ya nahi? Is k nuksanaat zyada hein ya fawaid.

Sabah ne bohot achi tarah se ye topic ko samjhaya hai aur iske fawaed bayaan kiye hai..
Mai aapsab ko ye batadu ke har cheez ke do pehlu hote hai fawaed aur nuqsanaat, to laazmi hai isme bhi dono hai, lekin meri nazar me iske nuqsanaat zyada hai kyun ke..
Jaisa ke Sabah ne bataya hai ke hum jab bhi ghar se door hote hai ya koi aisa masla aajata hai to gharwale sonchte hai balke kehte hai ke kaash mere bete ya beti ke paas cell phone hota to pata lagjata ki wo kaha hai, is hadd tak ye baat bohot durust hai lekin agar Schools, Colleges me ise allow karna munasib nahi hai kyu ke isse bachon ke bigadne ke bohot chances hote hai..
Jab bhi lectures chalte hai to jo larke ya larki ko lecture attend karne ka mann nahi hota wo ya chupke se texting me buzy hojaate hai ya phir games me apne aap ko masroof karlete hai.
Free time per Cell phone use karna achi baat hai lekin isi ke zariye bohot nuqsanaat bhi hai jaise ki college canteen me baithe baithe dost aapas me sab ko texting ya calls karke ikatha hote hai aur lectures bunk karke koi movie ya kahi outing per nikal jaate hain.Aaj kal to ye ek Fashion, Trend bangaya hai ke jab bhi dekho larka ya larki apne mobile me masroof hota hai ya to texting, Calling ya phir Internet, Agar Cell Phone se koi Knowledge haasil karte hai to wo better hai lekin School Ya college Students Lectures hi sahi tarah se nahi sunte to kya khaak Cell phone se knowledge haasil karenge, Mai ye nahi keh raha ke saare ke saare ek jaise hote hai Haan thore bache hai jo iska shikaar bane hue hai...

Aur sab hi log ye daur se guzar chuke hai ya guzar rahe hai apni college/University life se to har kisi ko is baat ka andaaza hoga ke har bacha simple, innocent ya sober nahi hota thore bache shaitaniyan bhi karte hai jaise ke lecture chalte waqt wo tones bajaker saaron ko pareshan karte hai to iski wajah se class se baahir bhi nikala jaata hai unhe....

Ek to Cell phone ka istemaal karna itna aam hogaya hai aaj kal ki zindagi me ke wo zindagi ka ek ahem hissa hochuka hai, lekin ise istemaal bhi sahi dhang se kiya jaaye to behtar hoga, Aaj kal ke larke larkiyan to bus iska bohot ghalat istemaal kar rahe hai, mai kuch aise topics ko bhi baaher laana chahunga, jo ke behtar nahi hai lekin iska istemaal bhi karna zaroori hai..
several reasons, firstly not every student would remember to consistently place his or her phone on vibrate, as a result classes would be disrupted by the occasional ring tone. Causing disturbance to teachers and disruption to the Class.
Even if students remembered to place their phones on a vibrate Mode it must be observed that several models produce loud vibrations. If left on desks as later suggests such mobiles make very weird noise, and everybody can hear that sound again causing disruption to classes.
considering that the presence of a mobile phone allows the communication of a family emergency, this can easily achieved by Calling the school directly. This would create a delay of no more than a few minutes which is perfectly acceptable as the student in question is unlikely to be a member of the emergency services.
Therefore I maintain that though cell phones have the advantage of instant communication this is not a pressing need in the school environment and come with problems that fair outweigh the benefits.

Aksar College/University Life me hi dekha jaata hai ke Cell phone ke zariye se hi ek larka larki me mel jol barta hai aur wo dosti barhaane ki chakkar me apne mobile numbers exchange hote hai aur ishq mohabbat jaisi cheezon me mubtela hojaate hai, jiska result ham sab ke saamne hai. Aisi cheezon me parege to wo apni studies per puri tarah se concentrate nahi kar paate hai aur apne kaam kaaj per bhi dhyaan nahi dete hai aur unke marks me kami aayegi ya phir fail hojaenge.
Aur Kai baar aisa hota students ko koi important calls bhi aani hoti hai aur wo time per lecture start hojata hai to wo call ke liye baar baar apna mobile nikalenge aur check karte rahenge ki call miss to nahi hogai aur is chakkar me wo apne lectures per bhi dehaan nahi de paate.

Assalam-o-Alikum

Jis Topic pe aaj Humari Debate hO rahe hay woh Modern hOnay k sath bOhat Intersting bhi hay Laken Is baat se Inkaar bhi nahi k aaj k dor ki Bohat bari zurorat ban gya hay. Balkay Cell Phone k Bhartay huye Istymal ko dekh ker yah Kehna Ghalt nahi ho ga k aaj yah humari Basic needs main se hay. Chahay ab is ka Istymal schOol, Colleges yah Universities main yah phir Daily Life main.

sO ab main kuch baat keron ge Apni Mukhlif Team k member aur meray Respected Bro safi k kuch points per..!

Jaisa k inhon nay kaha Jab students Class attend ker rahay hon tu woh sath Cell phone pe Text kernay main bhi busy hotay hain..! Laken main nay aisa bOhat kam dekha hay cuz Jab bhi schOol, College yah universities main classes ho rahe hote hain tu Teacher ki terf se pahlay se Warn ker dia Jata hay k Cell phone off yah silent pe rakhay Jain during lecture. aur 80% students is baat ko follow kertay hain kyun k woh apna lecture miss kerna nahi chahtay yah phir apni attention kise aur terf divert kerna nahi chahtay un ki pahli prefernce study hote hay na k cell phone. so Is lihaz se students ka cell phone rakhna bilkul bhi ghalat yah harmful nahi.


DosEri baat inhon nay ki K Jab se Cell Phone Collges n universities main is liye allow nahi kerna chahiye kyun k us se Larkay aur larkyan Kharb hotay hain un main Ghalt qism ki dosti aur Ishq Muhabbat Jaise batain shuro ho Jati hain. Tu mujhay in se yah pochna hay k Jab Cell Phone Educational Institutes main use nahi hOta tha tu kia Tab Larkay aur Larkyan kharab nahi hOtay thay us waqt un main Dosti yah Pyar etc jaise cheezain nahi hote thien..? Definately hote thien so Is sense main yah kehna bilkul ghalt ho ga k is cheez ko Cell phone nay Perwan Charhaia hay cuz yah totally Individual pe depend kerta hay k woh kahan, Kab aur kia adopt kerna chahay..!

Cell phone students ko allow hOna chahiye at College n university level cuz us waqt un main itne maturity achuki hote hay k woh is k pros n cons main difference ker sakain. aur students is ka better use ker k is se bOhat se Benefits hasil ker saktay hain. apni Family se In touch rah saktay hain aur Jo students apnay cities se dor hostels main reh ker apni education hasil ker rahay hain un k liye cell phone nay dori khatm ker de hay woh kise bhi waqt aur kaheen bhi apni family ko apni khairiat se agah ker saktay hain aur on other hand Family bhi apnay bachon se Cell phone k thorugh communicate ker sakti hay aur un ki Fikr aur preshani kam hO Jati hay.
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam doston humara topic yeh hai ke
school colleges mein allow hona cahiye ke nahin

to mein iske against hi rahoonga kyunke aaj kal
mobs baat karne ke liye aur entertainment ke liye zyada
use hote hain aur is baat ka proof google mein bhi
hai sirf school mob jaise koi bhi words type karein
to itne clips aate hain jaise ke schools nahin sutdios ka
zikr ho raha hai humein youngsters ko taleem ki taraf
rujooh karwane ke liye kam az kam parhaiy ke waqt
unka zehen mobs, wagheira aisi cheezon se hatana parega
aur cell phones school colleges mein le jaane ke sabab
bohot saare cheatings ke waqiyat bhi huwe hain to
wajeh se bhi phones ko colleges mein allow nahin karna chahiye
aur jaisa ke Hoor sis ne kaha ke teachers pehle hi warn kar dete
hain ke lecture se pehle cell phones off/silent karne ka,,,,,,,

to yaani teacher aisa is liye kehte hain taake bachon ka zehen study
ki taraf aaye jab woh lecture de rahe hon.....

to cell phones ko not allow is liye karna chahiye ke jab tak student uni/college
mein hai uska zehen parhaiy ki taraf hi rahe naa ki sirf tab jab teacher lecture de

colleges mein jaane wale taqreeban students ke paas cell phones hote hain jinka
woh taqreeban apni parhaiy ke liye negative istemaal kar rahe hain kuch jaan kar
kuch anjaane mein jaise ke


cell phones se cheating ke bohot se waqiyat huwe hain

taqreeban students ka dhiyan parhaiy ke waqt
phones ke wajeh se door rehta hai agar baaqi saare
time woh phone istemaal karte rahe aur sirf lecture
ke waqt hi phone ko off kiya to woh eik ghanta
zehen pe asarandaaz hoga yaa woh 4 ghante

Uni/colleges mein hum bachon ko bheijte hi is liye hain
ke jab tak wahan rahein tab tak unka zehen parhaiy
ki taraf hi ho aur kahin nahin phir iase men mobile
jaisa aaj ki tareekh mein to one of most entertainment cheez
unke paas hogi aur sirf lecture ke liye use nahin hoga
to same work ghar mein tution teacher bhi karwa sakti/sakta hai
hum apne bachon ko colleges mein bheije hi kyun

aur is hi ke saath inka point ke pehle bhi jab galz boyz study
times mobs ko use nahin karte the tab bhi to galz and boyz mein
affairs hote the to sis hote the per ab jab se mobiles ki istemaal
mein is qadar izafa huwa hai tabhi se in kaamon mein bih huwa hai
larka larki ko uni/college mein cell phonek e saath dekhega to
yaa larki larke ko dekhegi cell phonek e saath tab hi baat ke bigarne
ka zyada khadsha hoga warna sub hi shcools colleges mein sirf
kitaabon ke saath jaayengein to sub hi simple lagengein

at the end i will like to say ke aaj ke modern dour mein mobile
kisi pc se kam nahin jo boriyat mitane ke liye aur parhaiy students
ke liye boriyat hi hai to mobile ke available hone ke saath saath bache
kabhi bhi parhaiy ki taraf nahi naa sakengein sahi se
Thats it
 

sweet maha

Newbie
Dec 12, 2011
146
79
0
28
Assalam o alaikum
Mujhe aaj is topic k khilaf baat kerne ka moqa mila hei, so hamare khayal mien collages mein is terhan cell phones allow kerna bilkul ghlalat hei, abhi pichle saal hi meine suna k bohot se students paper's k doran bhi mobile use kerte hien aur 30% nakal mobile sms aur calls k zerye se hoti hei, doosri baat jab lerke class mein aate hein to aage wo itni mushkil se class aata hei aur jab lecture k doran koi call aajai to un per khujli si tari hojati hei k ksi terhan ke hum ab is class se bhag jain, Isi terhan school's k kuch bohot khaternak cases hamare saamne aye hien, lerki aur lerka mobile phone apne saath school le aate hien aur phir isi k zerye 1 doosre se line laga lete hien phir isi terhan school se bhag jate hien apne maa baap ki izzat o aabru ka khayal kiye bagheir.
Aaj kal bache waqt se pehle hi hoshiyar banne ki koshish kerte hien and is k badle un ko bari thokrein khani perti hein, yahan mardan mein bohot se aise school hein jis me bachon ko mobiles use kerne mein koi pabandi nahi aur jab wo school aate hien to bag se book nikalne ki bajai jaib se mobile nikalte hien aur doston ko bhi apne mobile ki khoobiya bayan kerte hien, is ka matlab khud to kaam kerte nahi aur apne class mates ko bhi kaam se nikal dete hein, isi terhan wo baki lerke 1 ahsas-e-kamtari mien shikar ho jate hein.
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
Assalam o alaikum

mere friends ye tu ap sab janty ho k hr cheez ki do side hoti hein ek positive aur second negative lkn hum ko wohi dekhta hai jo hum dekhna chahty hein ab jese k meri sis sweet maha ne bola hai k school se girls boys bhag jaaty hein hum manty hein k esa hota hai lkn meri sis ye bs aty me namak k barabar esay loog hoty hein jese ap 100% me se 5% keh sakti hein aur jo mob lete hi apni zaroorat ko pura krne k liye lete hein un par tu ye ilzaam ayad krna buri baat ho gi jese k aj kal k halat se bi ap sab loog wakif hoon gy har jaga bomb blast ,choori, firing esay halat me bi parents apne bachoon ko door daraz k shehar me parhne bhejty hein ab un ko kese is ki habar ho gi k un k bachy save hein ya nae jb tak wo khud fone se itla na dein ab ek present ka hi waqiya hai lahore me achank raat ko bomb blast howa aur ye news media pr ai hamary
neighbour me jo loog thy un ka beta lahore tha hostel jb unhoon ne us k cell pr fone kya us k cell ka signal nae mill raha tha itfak se wo bi usi jaga tha jaha blast howa ab un sab ghar waloo ki halat dekhne wali bilkul nae thi sab pareshan thy lkn jb us ne fone se etla di tu un ke dam me dam aya ye sab batane ka matlab ye hai k sirf kuch girls aur boys k affair se ya bhag jaane se hum ziyada apni tawaja sirf negative point pr ly rahe hein kiyun k ap ziyada is k nuqsaan ko dekh rahe hein ab cell sirf ek telephone hi nae balke wo ek camera hai , eik calender hai eik alarm hai , eik news alert hai ....

hum aj kal se is tension k zamane me agr kisi khushi me ya school ki party me ya university k k kisi function me agr koi yadgar memories save kr lein tu koi haraj nae hai agr hum mob ko alarm k tor pr use krein tu ye bi koi buri baat nae hai agr ek friend kisi ko kuch hushi dene k liye ek card send kr de chahy wo eid wish ho ya Quaid day tu ye un friend me ehsaas aur pyar bharta hai jaha par mob ka eik disadvantage hai tu waha us k 10 adventages bi hein ab agr classroom me sirf do students mob ka miss use krein tu is ka matlab hai k puri class apni study pr dehaan nae de rahi ..ye kehna tu galt ho ga na kiyun k study me dilchasbi ki bi baat hoti hai agr koi student start se hi apni study me interested na ho tu agr us k pass mob nae ho ga tu wo apna time kisi aur chez se khel kr waste kr ly ga chahy wo copy pr fazool si drawing ho ya kuch aur aur meri sis hooria pehly keh chuki hein k agr koi mature student hai tu us k elam me ye baat ho gi k usay apne mob ko kese use krna hai aur jaha tak mera hiyaal hai 3ya 5 k childern ko tu mob dya nae jata aur i think k metric level tak ek bacha kafi had tk mature ho chuka hota hai
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam faari sis:)

ji phones ke school times aur college times mein humein usage se nuqsan hi nuqsan hai
students agar is liye bhi cell phones khareedte hain ke use apne zaroorat ke mutabiq hi
istemaal karein phr bhi usme wahi sim lagti hai aur kam az kam students msging start
kar hi dete hain jo ke aam si baat ban gaiy hai aur jiski taraf zehen mutawajjah bohot
jaldi ho jaata hai aur hum ne bhi nahin kaha ke school partiez mein bhi na le jaayen
per parhaiy ke dinon mein iska istemaal bachon ke liye kaafi had tak nuqsaan dey saabit ho raha
hai as u said function tak bhale hi mehdood rakha jaye per parhaiy ke dinon mein
istemaal na karne diya jaaye thats it

. students ko parhaiy mein waise bhi azadi hai jiske sabab students mobile ka use parhaiy ke waqt
chhoti chhoti baaton per karne se kabhi gureiz nahin karengein jisse taleem mein khalal parhega

. aur bilkul doston se raabite mein rehna chahiye per sirf college ke 3-4 hours mein na use
karein phones to bohot bada faaiyda hasil ho sakta hai aur parhaiy behetter chal sakti hai jabke
cells ka us waqt istemaal karna nuqsan deyh sabit ho sakta hai

inheen dinon mein mera eik dost balke mein use na layaq dost kahoonga woh apne ccollege se suspend kiya
gaya for 15 days is hi wajeh se ke uska zehen parhaiy pe nahin rehta aur uski wajah hai ke uske paas
aisa mob hai jo mp3 mp4 supported hai aur plus sms package bhi ab aise aala entertainment cheez ke
hote huwe parhayi per uska zehen nahin ruk sakta tha

agar college ke waqt students ka rabite mein rehna zaroori hai to school ke principle ke paas cell phone hota
hai aur colleges mein to tele phones tak lage hote hain jiski marzi unka number le le aur kisi zaroori baat pe hi
contact kar lein apne ghar walon se thats it
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Main apnay bhae S_Chiragh ki is baat se agree nahi keron ge k students ko study se dor kernay main Cell phone ka hath hay..! Jab cell phone nahi hua kerta that u kia us waqt her school, college n university janay wala student pass hota tha? kia us waqt koi aisa student nahi tha Jo Ghalt activities main Involve ho? Jin students ka dhyan study ki terf na ho woh koi bhi activity adopt ker k bigar saktay hain. Us main cell phone ko kasoor war thahrana durust nahi.

Cell phone se cheating k waqiyat huye hain Laken is case main bhi yah nahi kaha Ja sakta k cheating sirf cell phone k usage se hi ho rahe hay Exam main cheating k aur bhi bohat sources use hotay hain. Computer based exam main students system se data accesses ker saktay hain, cheating k liye apni paper sheets exchange kertay hain. Jahan sakhti ki jaye during Exam wahan kise student ki Jurat nahi hote k wOh cell phone use ker sakay. So yah kasoor Nigraan team ka hua k who apni responsibility sahi tareeqay se ada nahi ker paye na k cell phone ka cuz Jin stuents nay cheating kerni hay woh koi bhi source use ker k ker saktay hain.

Bhae jaisa k aap nay bar bar kaha Cell phone ki waja se students ka mind uljh jata hay. Tu kia aap yah keh saktay hain k duniya main zehan ko uljhany wali cheez sirf cell phone hay..? Is ki waja us personal problem bhi ho sakti hay. So aap is cheez ka blame cell phone ko nahi day saktay cuz students agr us ka use free time main keran Jo k mostly kertay bhi hain tu students ka cell phone rakhna aur use kerna qatan bura nahi.

Jab bhi koi student college aur university level pe jata hay tu us ka social network n Friend circle automatically bhar jata hay aur woh bohat se logo se communicate ker raha hota hay. Jo k directly n face to face hota hay. Aur is communication main bhi woh bohat se ghalt activities main involve ho jata hay Cell phone use na kertay huye bhi so aap yah nahi keh saktay k Jo stuents ghalat activities adopt kertay hain woh cell phone ki waja se hay. Kaun se cheez ache yah buri hay yah us cheez k tareeqa-e-Istymal pe depend kerta hay jo usay acha yah bura bana saktay hain. Aak student Jo sari raat Internet yah TV k agay guzaar day aur study pe tawajo na day woh ager college yah university cell phone lay jaye tu kia aap yah kahen gay k yah cell phone rakhnay ki waja se fail hua..? Obviously nahi.

Aur study sirf un students k liye Boriat hote hay Jin ki niyat perhay Ki na ho aur aisay students k sath kuch bhi kero un ka dhyan study main nahi lagta. Jab k woh students Jo apna future banana chahtay hain apni families ko support kerna chahtay hain un k liye study naimat hay. Aur woh us k liye kise bhi cheez ko ignor ker saktay hain chahay woh cell phone ka usage ho yah kuch aur.
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Agree with some points of you chiragh bro but let me add my views about it...
aap ne kaha k aapke layeq dost ko collage se suspend kiya just because he was found with cell phone, well unke ghalti yaha pe yeh hain k unhone shayed collage ka rule thora hain for having cell phone with him so yaha pe we are not saying k school ya collage ka rule thor ker insan k pass cell phone hune chahye but our claim is about to change this rule, so jub tuk yeh rule hain we have to follow but now we are talking about changing this rule of not allowing but not going against this rule.. I hope my point is clear to you...
Now comming to topic... hooria sis already mention ker chuke hain and I dont think so k hame vohi baate pir se repeat kerne ki need hain k mature students kabhi cell phones ko aapnay padhaye mei intrruption ki reason banne nai deti, if they mean to study so voh loug her haal mei study karenge per ager koi padhaye ka interested na ho so unke paas cell phone ho ya na ho vaise bhi lecture k dauran vo loug physically to class mei attend hongi but mentally their minds will be flying in day dreaming... so thats a fact and yeh aam taur pe mostly students mei dekha chahta hain jho baad mei kahenge k padhaye tu huti rahegi and pir exams mei once for all padhenge... so itne khurafati soch mei cell phone ka huna buss ek aur excuse hoga for disturbing them in studies but fact tu yahi hain k jho asel mei padhna chahte hain so they never let anything to disturb their peace of mind...

now comming to your 2nd answer k school mei cell phones hote hain why shouldn't we use them...
well Educational offices mei zyadater landline phones use huti hain as far as I know ager school ya collage k koi teacher bhi us phone ko mostly use kerte rahenge for their personal use: like calling at home or talking with a friend then un logo se bhi eska bill liya jata hain ya pir unke salary se kuch amount kaat diye jaate hain kio k uska monthly bill ager koi use bhi na kare 500 tuk huti hain and use kare then I dont know k kitna zyada hoga tu kafi aise students hute hain jenhe apanay family ko apnay bare mei min...min ka khaber dena compulsory hota hain so aise kafi saray students honge tu yeh sub ager daily aker school k staff room pe gher mei call kerne ki apeal karenge then educationl office tu PCO ban jayega and apart from this kuch students ko khud principles ya teachers se bhi kabhi masla paida hojata hain so us haal mei voh loug kaise collage k office se kessi ko inform kersakte hain, aajkal kafi complications hain jessay insan khud personally handle kare tu behter hain so eslie personal use k lie cell phone ka hona is not a bad idea yeh tu pir bande pe depend kerta hain k voh usay kes kaam k lie use kerta hain good or bad...
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALEKUM DOSTO

SECOND ROUND K SECND TOPIC PER SBKI SPEAHES dekh ker bht acha lga..{(thx)}
FIST OF ALL SORRY FOR THE LATE..
MOVE ON to THE TOPIC...

jesa k hamne topic doya gya hy k kya school,collages ,uni k students k liye cell phone hona chahiye ya nhi..

CELL PHONE..techonoligy me sb se ziyada use hona wali ejadpn me se aik hy ..dekha jaye to ajkla barey b aur bache me es ejad se conntd hian ...na sirf schools collages,aur uni k students k pass balke ajkla to bht se bachon k pas be cell phone ka junoon sawar hogya hy..
mere qabil doston ki team brightstars ne kafi achi achi exmaples di hain ..me agree with that ,,speciay me will pick one point from them..k her baat k do pehloo hotey hian aik acha aur aik bura,,
so agr hm en dono k hisab lageyn to kitne percent acha aur kitne percent bura asar hota hy ..so mere dosto cell phone se kam fayeda aur nukasan ziyada paye jaenge ..jesa k ajlkal ke mahool ..js per cell phone ka kafi asar par raha hy,,
school,collages,uni k students lecturr ka liye kam aur cell phone per ziyada bazi nazar ayenge..ye kya kam asar hy unki study per..hm jis insititutes me jatey hian waja ..our study ,,so agr study se hatker agr ksi cheez me bzi rehne lagey to study ka kya hoga..natejja bura result,,,parents ki daant,,aur carrer per b aik khas asar,,well dosto me manti hoon ajakl cell phone aik ehme estaamal bnachuka hy ..specialy for those jo ghar se bahir jatye hian aur door door tak jinse baat honi hoti hy,,well i mean to say es use me dekha jaye to fayeida kam magr nuqsan ziyada milge ..coz studentss k liye cell phone nahi balke unke lectures aur study phele aati hy..so this is my point:)
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
so asma sis ap ki baat se main bilkul agree nae hoon cell fone k itne faidy hein k nuqsan hume is ki nisbat buhat kaam nazar aty hein ab ap student girls ki baat kr rahi hein ab frz krein koi larki college me apne kisi relative k sath jaati hai agr ALLAH na kry college me koi hadsa wagera ho jaye tu agr us k pass mob ho ga tu wo asani se apne ghar inform kr saky gi main yahaan un larkiyoon aur lakroon ki baat nae kr rahi jo time waste krne k lye mob use krtiy hein main un lrkiyoon ki baat kr rahi hoon jin k lye ye ejaad kisi muzjy se kaam nae agr mob pass na ho tu agr off time jald ho jaye tu wait kro beshak pura college chala jaye aur main eik aur point pr baat kru gi k ap logo ne kaha k college k telephone ya principal k office se call kr sakty hein tu har school k kuch rule hoty hein hr college me ye facilities available nae hoti agr hoti bi hein tu un k rules hoty hein k is time se is time taak ap office fone use nae kr sakty lkn pareshan hone aur idar udhar bhagne se k fone office se krna hai lkn wo abhi band hai ya kuch problem hein fone me eik insaan k pass cell ho ta k wo use kr saky zaroorat k waqt aur pareshani se bach jaye eik aur baat jab koi student class me cell use kr raha ho ga pehli baat tu wo mature ho ga dosri baat usay ye pata ho ga agr main ne abhi ye fone use kya study k doran tu teacher punosh kry gi kiyun k main ne rules toory hein usay apni izat ka bi ehsaas ho ga k sab class k samne usay punish ho gi is lye wo soch samjh kr use kry ga
 

sweet maha

Newbie
Dec 12, 2011
146
79
0
28
G hum faari sis ki baat ki izzat kerte hein but un ki baat khas clear nahi hei jesa k wo keh rahi hein, kabhi kabhi ager college mien hadsa ho jai. to faari sis ager aap college ya school & university jati hein to aap k wahan friends bhi honge aur ye bhi mumkin hei k koi aise friends bhi hon jo aap k ilake k hon, to wo aap ko jald phoncha dein ge, aur 2nd option k school colleges wale itne sakht dil nahi hote k wo aap ka khayal na rakhein, wo aap ko kisi kism ki takleef ki wajah se jald treatment dein ge, aur school colleges mein aap k relatives yani father ya uncle ka phone no. bhi derj hota hei wo un ko phone ker k relatives ko bula lein ge.
Aur pehle zamane mein bhi school & colleges the tab to kabhi ye problem nahi hui.
2nd baat k principal kabhi student ko urgent baat kerne se nahi rok sakta us k office se aap kabhi bhi phone ker sakte hein ager aap ko principel na phone kerne de to us pe case bhi hosakta hei ager aap ko koi nuksaan phoncha to
.
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Maha sis aap ki baat Apni Jagha theek hay K Educational Institutues main Telephone ki Fcaility mojod hote hay laken aisa kitnay Institutes main hay...? aap ki baat sirf un Kuch Ginti k Institutes ki had tak mani Ja skati hay Jin ka standard acha hay aur Jahan students ko aise facilities provide ki Jati hain. Mager Pakistan k 70% students aise Facilities se mehrom hotay hain jab k yah unka haq hay. Kyun k un main se Mostly Fone Dead paray hotay hain yah phir Bill pay na kernay ki waja se band ker diye Jatay han...! College and university level pe Firday k din kuch classes after Jumma Break hote hain so us doran unhain band ker dia Jata hay so tamam male students Namaz-e-Jumma perhnay ja chukay hotay hain..! baqi bad main girls hote hain mostly aur Tamam Offices ko Lock laga hota hay jis main woh room bhi hota hay Jahan telephone ki facility hay..! sO aisay main ager kise girl ko koi hadsa paish ajaye yah phir koi ghar main emergncy ho jaye tu woh apnay ghar walon ko kaise inform ker sakti hay yah us k ghar walay usay kaise inform ker saktay hain..? aur main yah baat Jus suppose nahi ker rahe main nay aise cases dekhay hain jahan un rooms ko Lock laga hota hay yah phri Concerned person apni seat pe mojod nahi hota aur bina us ki permission aap telephone use nahi ker saktay. sO aisay main rabtay ka zariya sirf aur sirf Cell phone hi hay Jo aak helpless person ki help ker sakta hay Jus like a Frend n well wisher. Aur woh Jus aak sasta tareen sms ker k bhi apna msg doseron tak pohncha sakta hay.

University leavel pe bohat se students aisay bhi hotay hain Jo Part Time Job ker rahay hotay hain aur bohat se aise bhi Jo married hon. Aur aisay students apni zurorat k liye cell phone use kertay hain na k tafreeh yah time wasting k liye. aur un main itne maturity hote hay k woh sirf apny Future main hi dobay paye Jatya hain un k pass itne Fursat hi nahi hote aur na un k halaat Ejazat detay hain k woh cell phone ko Tafreeh k liye use ker sakain. Aak Job holder student ager kise waja se Job se late ho raha hay tu wOh apny collgues n boss ko inform ker sakta hay bajaye is k woh office late pohnhcy aur usay Boss ki dant khana paray aur issi terah who apnay Teachers and frends ko bhi apni activities k baray main agah ker sakta hay jis se us ka impression kharab nahi hota. Married students specialy females ka matter aam students se bohat hat ker hota hay so agr un k pass cell phone ho ga tu woh apni family se intouch rehti hain. Because un ki aur bhi responsibilities hote hain sirf study nahi. So cell phone is source of help for them to communicate with their families n Concerned pErsons..!




 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Ji mein Maha sis ki baat ko aage barhate huwe kehna chahunga Hoor sis se

ke agar kuch institue mein hai kuch mein nahin to students ke cells phone laane pe

pabandi ke saath saath tamaam institute mein iska intezaam karwana koi badi baat nahin

aur jumme ki namaz ke waqt cell phones bhi to off hi kar diye jaate hain ryte.???

aur phones ke saath aisa is liye kiya ja raha hai colleges mein kyunke unki sahi value
students unhein nahin de paa rahe sub hi ke paas cell phones hain to staff ko tele phone
rakhne ki kya zaroorat??

pehle students ka mobile rakhna band ho jaayega phir sub phones ke paaband ho jaayengein

aur jab sub cell phones colleges mein le jaana chorh dengein to wahan ke phones ki need mehsoos
hogi to phir zahir si baat hai ke colleges mein telephones ko off nahin rakha jaayega

aur agar mobiles se parhaiy per bura asar nahin parta to students ko mobile douran e lecturte bhi

istemaal ki ijazat hoti yaa kaam karte waqt bhi

jahaan tak mob saath hone ka fawaiyd hain woh fawaiyd students ko college ke telephone se bhi mil sakte
hain per jo iske nuqsanaat hain unka harjaana koi nahin bhar sakta so mobs ko colleges mein studnets ke liye
non allow karna chahiye

to agar aisa neik saada shareef mehnati student college ka phone use kare to kya problem hogi.???

aur chalein agar college se baahir aane per bhi kahin kisi se contact karna huwa to aaj kal har jageh

PCO,s ki line lagi huwi hai, aur phir aisi married females jinka family ke saath touch mein rehna zaroori

hai aur har waqt cell phone ka istemaal bhi to woh zahir si baat ke douran e lecture bhi apna cell phone

off nahin rakh saktin to college ke 4 ghante bhi mobile se ghar walon ke saath intouch rahegi to college

raha khali naam ka ryte???

bohot se aise married studnets hain jo parhte hain colleges mein aur cell phones nahin rakhte aur colege ke
tele phones se apne ghar walon se baat kar letin hain kyunke 4 ghante mein 10 mins ki call kaafi hoti hai

i think ghar walon se intouch rehne ke liye aur kisi emergency call ki surat mein staff use laazmi inform karega

mobile ke shool colleges aur unis mein istemaal se bohot se nuqasanaat ka saamna ho raha hai humein

end mein kehna chahunga ke hum bila wajeh study institute mein mobile ko pani zaroorat samajh rahe hain

jab ke aisa bilkul bhi nahin hai aaj bhi aise bohot se students hain jinke paas mobile nahin yaa phir woh
school college aur unis mein nahin le jaate per unka bhi kaam ban jaata hai is surat mein principle ke paas

unke ehbaab ka number hota hai yaa phir kisi aise shaqhs ke paas jo wahan har waqt active rehta ho

yeh naiy naiy technologiez humari zaroorat mein shumaar nahin hote humare kaash matlab khwahishaat mein
hota hai shumaar aur khaaskar mobs aaj ki tareekh mein time pass ke liye hota hai aur parhaiy ke waqt
time pass never allowed hai naa

Thats it,
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
mera jwab :)

Ji mein Maha sis ki baat ko aage barhate huwe kehna chahunga Hoor sis se

ke agar kuch institue mein hai kuch mein nahin to students ke cells phone laane pe

pabandi ke saath saath tamaam institute mein iska intezaam karwana koi badi baat nahin

aur jumme ki namaz ke waqt cell phones bhi to off hi kar diye jaate hain ryte.???

aur phones ke saath aisa is liye kiya ja raha hai colleges mein kyunke unki sahi value
students unhein nahin de paa rahe sub hi ke paas cell phones hain to staff ko tele phone
rakhne ki kya zaroorat??

pehle students ka mobile rakhna band ho jaayega phir sub phones ke paaband ho jaayengein

aur jab sub cell phones colleges mein le jaana chorh dengein to wahan ke phones ki need mehsoos
hogi to phir zahir si baat hai ke colleges mein telephones ko off nahin rakha jaayega

aur agar mobiles se parhaiy per bura asar nahin parta to students ko mobile douran e lecturte bhi

istemaal ki ijazat hoti yaa kaam karte waqt bhi

jahaan tak mob saath hone ka fawaiyd hain woh fawaiyd students ko college ke telephone se bhi mil sakte
hain per jo iske nuqsanaat hain unka harjaana koi nahin bhar sakta so mobs ko colleges mein studnets ke liye
non allow karna chahiye

to agar aisa neik saada shareef mehnati student college ka phone use kare to kya problem hogi.???

aur chalein agar college se baahir aane per bhi kahin kisi se contact karna huwa to aaj kal har jageh

PCO,s ki line lagi huwi hai, aur phir aisi married females jinka family ke saath touch mein rehna zaroori

hai aur har waqt cell phone ka istemaal bhi to woh zahir si baat ke douran e lecture bhi apna cell phone

off nahin rakh saktin to college ke 4 ghante bhi mobile se ghar walon ke saath intouch rahegi to college

raha khali naam ka ryte???

bohot se aise married studnets hain jo parhte hain colleges mein aur cell phones nahin rakhte aur colege ke
tele phones se apne ghar walon se baat kar letin hain kyunke 4 ghante mein 10 mins ki call kaafi hoti hai

i think ghar walon se intouch rehne ke liye aur kisi emergency call ki surat mein staff use laazmi inform karega

mobile ke shool colleges aur unis mein istemaal se bohot se nuqasanaat ka saamna ho raha hai humein

end mein kehna chahunga ke hum bila wajeh study institute mein mobile ko pani zaroorat samajh rahe hain

jab ke aisa bilkul bhi nahin hai aaj bhi aise bohot se students hain jinke paas mobile nahin yaa phir woh
school college aur unis mein nahin le jaate per unka bhi kaam ban jaata hai is surat mein principle ke paas

unke ehbaab ka number hota hai yaa phir kisi aise shaqhs ke paas jo wahan har waqt active rehta ho

yeh naiy naiy technologiez humari zaroorat mein shumaar nahin hote humare kaash matlab khwahishaat mein
hota hai shumaar aur khaaskar mobs aaj ki tareekh mein time pass ke liye hota hai aur parhaiy ke waqt
time pass never allowed hai naa

Thats it,




 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
tu s chiragh bro ap k kehne ka matlab hai k ek mob na rakhein ja kr ek lambi line me lag jaein pco se phone krne k liye beshak kisi ko inform krna itna zaroori ho k ek mint bi waste krna bura sabit ho ya us line me wait krty krty apna waqt waste kr lein lkn eik adad mob na rakhein mere bhai kuch loog esay bi hoty hein jo part time job krty hein agr kabhi late ho jaein tu ghar inform krna hota hai k aj mujhy ane me time ho jaye ga phir ye msg dene k liye pehly ye dekhein k koi pco open hai ya nae kiyun k ghar inform krna hai agr pco na open ho tu ???????? aur maha ne kaha k
kabhi kabhi ager college mien hadsa ho jai. to faari sis ager aap college ya school & university jati hein to aap k wahan friends bhi honge aur ye bhi mumkin hei k koi aise friends bhi hon jo aap k ilake k hon, to wo aap ko jald phoncha dein ge
tu maha ap samjhti ho k agr koi esa hadsa ho jaye tu college me ya university me waha k principal allow krein gy k ye larki ki friend is ko ghar punhcha de i think maha college ki har larki ki
Responsibility college waloon pr hoti hai tu wo kisi ko bi allow nae krty k koi kisi ko us k ghar puhncha de aur sab se zaroori baat jb ap college me off time k bad ghar ki taraf wapas aty hein tu agr ap ki vehicle harab ho jaein chahy wo bas ho .bike ho tu ap usi waqt ghar waloon ko bata sakty ho k hum is jaga hein ap hume ly jaein ya hume time lagy ga ghar waly bi etminaan me rehty hein
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Saif Bhae main aap ki baat ka hi Jawab dena ChahOn ge..! sab se pahlay tu yah kahon ge aap nay Jo batain ki woh apni Jagha sahi Laken ager yah baatain kise story yah script ki had tak rakhi Jain tu shyed wahan zyda fit aaen cuz realities are another thing Jahan woh bhi sab kuch hota hay Jo Insan imagine nahi kerta aur aisa kabhe bhi Kaheen bhi kise k bhi sath hO sakta hay This's Life n Life has Bitter relities so aap ki baat se tu aisay Lagta hay aak smOoth way main story chali aur Happy Ending hO gie..! Laken Repcted brOther Haqeeqi Life main aisa Happy End bOhat kam hOta hay..!

Ab aap k aak aur point pe baat keron ge Jaisa aap nay kaha k Jin Institutes main telephone ki facilty nahi wahan is ka arrange kia Jaye..! Bhae This’s Pakistan nOt Europe or America Yahan tu bohat se Institutes main students ko peenay ka saaf pani nahi milta aap aise facilities ki baat kertay hain. Aisa arrange ho sakta hay is main koi aise bari baat nahi Laken ager aisa ho bhi tu kitnay Institues main ho ga..? Cell phone ki need phir bhi apni Jagha hi rahay ge.

Doseri baat aap nay Jumma Break se related ki k during Jumma Prayer cell phone off ho ga. Tu aap nay shyed meri baat pe ghor nahi kia cuz main nay yah point female students k liye likha tha Jo College yah universty main reh Jati hain cuz wOh masjid ja ker namaz ada nahi ker saktin. Aur yahan bhi ager aap dekhain tu mulki halaat ko dekhtay huye cell phone ki Importance se inkaar nahi ker saktay Pakistan main kitnay Bomb Blast during Jumma Prayer huye hain wahan bhi bohat se students hotay hain tu aise situation main aak student apna cell phone use ker k apni khairiat ki itlah apnay ghar walon ko day sakta hay aur aise situation main kise ko itne fursat nahi hote aur na hi zehan kaam kerta hay k wOh logo pe depend keray yah phri pahlay bhaag ker college yah university jaye aur wahan se ghar Inform keray.

Aur aisay kitnay students hain jo local Canvance pe atay hain. Un k pass apni cnavance yah university ki tarsport service nahi hote. And the Factor is they Cant afford aur in other case wOh bohat dor se atay hain. Ghar se niklnay se lay ker ghar wapis anay tak aak aise students ko bohat se prolems face kerna prti hain Jo Local Canvance pe ata ho aur kafe dor se aata ho. Jaise k aaj kal CNG ka na milna aak major problem hay aab aak student apna university or college time pora ker k ghar janay k liye nikala hay Bus Stop pe pohnch ker usay pata chalta hay k kise waja se strike hay yah phir CNG avialable nahi so usay yahan se canvance nahi mill sakti. Tu wOh us waqt road pe helpless khara hay usay yah bhi fikr hay k us k ghar walay preshan hon gay der hony ki waja se aur Parents ko yah bhi k shyed un ke beta/beti kise museebat main na hon. ab wOh 10,15 yah 20 min ka distance tay ker k kia wapis college yah university is liye jaye ga k wahan ka telephone use ker k ghar italah day…? Jis ka pahlay hi Time waste ho raha hay Jo already aak tension main hay aur jisay yah jeldi hay k wOh ghar jeld aur khairiat se pohnchay wOh ab road se wapis aker college ka phone tu use kernay se raha. sO student sirf us waqat tak student nahi Jab tak wOh college man 4,5 hours hay aur telephone ki facility bhi wOh us specific waqt tak hi use ker sakta hay jab tak wOh apnay Institute main hay College aur university se bahir bhi wOh student hay aur usay wahan bhi contact ki zurorat hay bohat se logo se Jo k sirf aur sirf cell phone se hi possible hay. Jo aak dost ki terah aur aak helper ki terah museebat main us k kaam asakta hay.

PCO’s ki baat ki hay aap nay Bhae Laken PCO’s bhi her 10 Qadam k fasalay pe nahi hotay woh bhi door ho saktay hain Its depends on location n surrondings. Aur sometimes kuch aisay students bhi hotay hain jin k pass pocket money bohat kam ho aur unhon nay Bus ka karia bhi dena ho. So aise situation main aak cheap sms or Call us k liye kise blessing se kam nahi. Jis se woh apna kaam chala sakta hay aur kise se help lay sakta hay. So aaj students k liye cell phone necessery hay cuz sab students ghalt use nahi kertay. Bohat se students ki yah basic need hay cuz unhian bOhat se problems ka samna kerna parta hay aur cell phone nay bohat had tak aak un ki kuch problems ka azala kia hay. So students ko educational institutes main cell phone allow hona chahiye but kuch aisay rules banaye jain k woh us ka sahi use keran aur us k nuqsanaat se bach sakain.
 
Status
Not open for further replies.
Top