tm love story contest polling.

  • Work-from-home

aap k khayal main tm love story contest main kis ki kahani achi hai?

  • atif adi

    Votes: 7 16.3%
  • tariq hameed

    Votes: 11 25.6%
  • shb

    Votes: 3 7.0%
  • hans mukh

    Votes: 0 0.0%
  • meelody1000

    Votes: 0 0.0%
  • silent smile

    Votes: 2 4.7%
  • cool

    Votes: 12 27.9%
  • baberzaman

    Votes: 4 9.3%
  • prince ferry

    Votes: 4 9.3%

  • Total voters
    43
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
assalam alaikum
tm love story contest k participents aur un ki stories neeche mender jazail hain.
aap un ki kahani perhain aur jis ki kahani pasand aye use vote karain.
Laste Date is July 30th-2010 - 05:30PM(Pak)

 
ATIF ADI
ok guys heres my real love story...
----------------------------
me pakistan me karachi k area gulistan-e-joher me rehta hun
noman grand city appartement me...
humara flat top per hai
to chat bhi humare under hi hai,
un dino me apne music ko le ker bht crazy rehta tha,
me apne friends se ghira rehta tha,
jin me mere band members bhi they,

sonia (is not her real name)
humare samne wale flat me kiraedar ban ker ai thi,
she was with her family,
wo log pehle bhi kahin kareeb hi rehte the,
but mene kabhi dekha nahi tha,
na janta tha un logun ko,

ye bat takreeban 2 saal or kuch mahino pehle ki hai
wo log shift hogae the humare samne wale flat me
jis ki window mere room ki window k thek samne hai,
n humare chat me sirf ek metre ka hi gap hai,

mujhe nahi pata tha koi new kiraedar ae hain samne wale flat me,
cuz i was interested in my music n my self,
( jesa me ab bhi hun )
mujhe nahi pata hota k mere area me kya hua,
cuz me kisi ki life mujhe ki life me interfere kerna pasand nahi,

me humesha ki tarha apne room me tez n loud awaz per music laga ker practice ker raha tha,
or singing ker rha tha,
meri window humesha khuli rehti thi samne wali,
gate gate meri nazar ek girl per pari,
jo us window se mujhe dekh rahi thi,
halki si simle, hath bandi hui,
baal khule or lambe,
ankhein nari bari,
rung fair,
kad,
normal,
ek aam si larki thi,
nothing special,
(she was sonia)
to mene wese hi usey ignore ker k,
apni practice jari rakhi,
then kafi time bad jab mene phir se ja ker window me dekha to wo ja chuki th...

then raat me,
me apne,
room me sofey per leta songs sun raha tha,
to achanak window ki taraf dekha to sonia phir se khari thi,

mene dil hi me socha...kya is larki ko or koi kam nai hai,
then me dosri girls se mobile per chat kerne laga,
jab chat khatam hui to mene phir se dekha to sonia nai dikhi,
me uth ker window k pas gaya to dehka,
sonia apni bhatiji k sath khel rahi thi or dance ker rahi thi,
she was looking realy sweet,
mujhe hansi bhi a rai thi
but pata nai kya tha us lamhe me,
k me bas usey dekhta hi raha,

mere pas kaafi girls k number they,
cuz meri uni me koi esi larki nai thi,
jis se meri bat na ho,
mene bht si khobsurat larkia dekhi thin,
un me se kuch ne mujhe purpose bhi kia tha,
but un dino me,
cuz of my concerts on uni,
mujhe bht si larkia like kerti thi,
but me sirf music me hi dihan deta tha,
or girls se sirf bat hi kerta tha,

yw love wagera per belive nahi kerta tha,
but me larkio ko bht achi tarha janta tha,
or kudrati hi me sab ka dil bhi bht asani se jeet leta tha,

bar hal
na sonia bht khobsurat thi,
na hi koi esi bat thi,
but kuhc ajeeb si kashish thi,
jo mujhe us ki or khench rahi thi,

then us ne mujhe dekha to window per perda kerlia,
mene kaha ise kya hua?
then thori der bad halka sa perda hata ker mujhe dekh rai thi,
or jese hi dekha k me bhi usey dkeh hi raha hun,
to furun phir chup gai,

muje laga k wo mujhe ghalat na smajh rahi ho
to me wapis aya or apne sofey per leta sogaya,

kuch dino tak ese hi chalta raha,
mere dosto me bhi pata chala to sab kehne lage k yaar tere ghar k samne larki ai hai us ka number to le ker de de,
tujeh to de bhi degi,
me un sab ki batun per hasta,
but us ka ziker hote hi,
na jane me kyun kuch keh nai pata,
or hans ker sab ki bat taal deta,

phir ek din hum dostun me ese hi bat hi bat me shart lag gai,
k u sonia se bat ker k dikhao...
or me chalenges se kabhi piche nahi hat ta
to udher mene sab k samne apne style me kaha,
"adi ek hafta kya 4 din me us ka number le lega"

then mene us din se jab bhi wo muskura ker dekhti,
to me bhi wese hi dekhta,

wo khush hojati,
kabhi mujhe wo teddy dikhati,
kabhi rose,

mujhe pata tha k mujhe zada mehnat nahi kerni,
then ek din mene windo me us se kaha mujhe ap se bat kerni hai,chat pe ao,
us ne kaha me nai asakti bhai hai,
mene kah ame intezar ker rah hun,
ajnana,

then me gaya chat per,
to 5 min bad wo bhi apne chat per ai,
then us ne kaha kya bat hai,
mene kaha ap se dosti kerna chata hun,
to us ne kaha nahi me koi scene nai banana chati,
me number nahi dungi,
mujhe pata tha she likes me bas ese hi nakhre dikha rahi hai,
as all girls,

mene kaha jab tak ap nahi dengi number me niche nahi jaonga,
or yaha thand me hi khara rahunga,
or yaha machar bhi bht kaat rahe hain,

us ne kaha to khare raho...
then wo chali gai,
mene apna mobile nikala n dosri larki se chat shuru kerdi,
us ne 10 min bad niche wali window se dekha k me abhi tak uper hi hun,
then wo phir uper ai,
or kaha kya hai?

mene kaha ap ka number kya hai?
wo hasne lagi or kaha tum nai manoge,
mene kaha me bht zidi bhi hun,
phir us ne apna number dia,
n kaha k ab niche jao werna flu hojaega,

mene kaha ok,
or then us raat humne mobile per bht chat ki,
mene dostun ko bhi dosre din bata dia k mere pas us ka number hai,
n un se treat li.
per jab dostun ne kaha k chat perao kya hui,
to mene mana ker dia,

or ek dost ne chine ki koshish ki cell to me unse naraz hogaya,
ye pehla change tha mujhme
jo mene kabhi us waqt mehsus nai kia tha,
then humari bat hone lagi,
me sonia se pora din pori raat chat kerta rehta,

wo mujhe subah suabah pyar se utha deti,
miss cal ker ker ke
or hum raat bher tak chating kerte,

me gher me hi zada rehne laga,
or koi bhi moka nahi gawata sonia ko dekhne ka,

meri mama
samjh ne lagi thin,
unhun ne kaha ek din mujhe bula ker,
k soni kyun khari thi window per,
or tum usey kyu dkeh rahe they,
or mene hans ker tal dia k esi koi bat nahi mom,
mama ne kaha k dkeho beta,
wo log ache nahi hain,
mujhe pata chala hai,
tum un se duur raho,
jab bhi wo ae tum window band ker lia karo,

me us waqt un se kuch nai kaha
per un ki bat per bhi amal nai kia...
or humara pyar berta raha,

ek din mere ek dost ko pata chala,
k me serious ho gaya hun sonia se,
to us ne kaha,
adi wo larki thek nai,
mene use dosre larkon k sath ghumte hue dekha hai,
agey mat berh,
tujhe 1000 esi larkia miljaengi,
is k piche apni zindagi barbad mat ker,
per jese hi koi us ki burai kerta,
mere khoon khol ut ta,
me us se bat band kerdeta,
isi tarha apne bachpan k dost se bhi bat band kerdi,
sonia ne mujhe sab se alag kerdia,

wo kehti mujhe k apne dosto ko chordo,
mene chordiye,
muhale wale sab se mun pher lia mene,
jab k sab mujhe samjha te rahe bht,

ek din meri mom ko hakikat me pata chal gaya,
wo gusse me jane lagi un k gher,
tab mene apni kasam de ker unhe rok dia,
mama ne kaha k me kabhi nahi manogi,
mene kaha den me court marriage karunga,
meri mama ne kaha thek hai,
jo chahe karo,
or wo naraz ho ker chale gai pane room me,

me kisi bhi haal me sonia ko chorna nai chahta tha,
i was so deeply in
love with her,
k me apne gher walun k khilaf bhi jane k liye tayyar tha,
me yehi sochta tha k bad me sab man jaenge,
or sonia bhi yehi kehti k bad me sab man jaenge...


wo din tha mere bhai ki mangni ka,
us din sab khush they,
me bhi,
to
us din me jab tayyar ho raha tha,
mera dost aya,
or kehne laga,
k tujhe kuhc dikhana hai,
mujhe bina batae,
wo niche le gaya or apne ek doset se milwaya,

jo mera bhi dost tha...but zada bat nai thi,
then us ne kaha,
k sonia ka number mere pas bhi hai,
wo mujhse bhi bat kerti hai,
mene kaha kya saboot,
us ne apna mobile nikala,
or sonia ka latest u-fone ka number bataya,
mene kaha tumne kahin se lia hoga,
wo tumse bat nai ker sakti,
wo mujhse bht pyar kerti hai,
tab us ne mujhe us k sms parae,
wo perte hi mere perun k niche se zamin nikal gai,
mujhe ghabrahat hone lagi,
us ne kaha ba bhi yakeen nai ata to ye dkeho,
then jab us ne sonia ki photos wo bhi,
esi wahiyat jo me kabhi soch bhi nai sakta tha,
me usi waqt ghutno per gir gay,

mere ankhun me khud hi ansun ane lage
mere dost ne mujeh uthaya or gher per chor ker gay mujhe
or kaha k apne ap ko smbhalo me tujse bad me milta hun,
ye keh ker wo chale gaya,

jab me gher me enter hua,
to sab relatives sab gher me they,
sab khush khush they,
or me esi halat me,
me apna mun chupate hue apne room me gaya,

waha bhi aapi thi meri,
or mere behnoi,

aapi ne pehchan lia aapi ne kaha kya bat hai adi,
kia hua?

me ne rotey hue kaha kuhc nahi hua im fine,
behnui ne jab dekha unhun ne kaha nai kuch bat hai,

ab aapi mujeh mana rai hain pyar ker rahi hain,
k kya bat hai kisi ne kuch kaha kya,
or mere or bhi ansun behne lage,
mene unse hath chura ker washroom me chala gaya,
waha wall se lag ker me bht roya...
me khud ko sabhalna chahta tha,
but it was too dificult,
jitne bhi ansun pochta,
utne hi ansun or bhi atey,
khud ko miror me dkeh dekh ker,
nafrat ho rahi thi khud se,
then sab gate per agae,
washroom k knock kerne lage bhia,aapi,behnoi,
me bahar nikla meri anhkhon me stll ansun the,
phir api ne mujhe peker kaha kya bat hai adi,
mene kuch nai meri tabiyat kharab hai,
kya kehta?
jis muhabbat per khud se bhi zada trust tha,
jis ki waja se mene
apne dost,
apne muhaledar,
apni family,
even apni mom,
jinhe me dunia me sab se zada chahta hun,
un k bhi khilaf ja raha tha,
wo chand pal me hi chin gai,
wo khwab sab bikher gae,
wo sapne sab toot gae,
such mano me to zindagi hi khatam hogai thi,
sab kuch be maksad,

mere behnoi ne sab ko bahar bhaga dia,
then mujse kafi pocha mene nai bataya kuch bhi,
esi behuda wahiyat bat batata bhi to kese batata,
then unhun ne mujhe tayyar kia,
aapi ne or behnoi ne,
mangni k liye,
mee apne bhai ki mangni,
jis pe mene kaha tha,
ke me ye karunga,
wo karunga,
bilkul pheeki per gai,
me even photos me nahi hun mangni ki,
me kuch der waha ruka but per jab dil nai mana to bina kisi ko batae
gher agaya,
gher a k dekha to sonia k sms n miss calls thi,
(cuz mene abhi tak usey nai batya tha)
then mene usey cal ki,
n pocha,
k meri kya ghalti thi,
kyun mere sath ese kehla?
wo shuru me to bht kehne lagi tume koi ghalat fehmi hui,
phir jab mene kaha k mene tumare wahiyat sms or photos bhi dekhi hian,
to wo chup hogai,
then kehne lagi,
k oo to tume pata chal hi gaya hai,
phir us ne ikrar kia k wo mere sath sirf khel rahi thi,
n us k ye last words ne meri dunia hi khtam kerdi thi,
"i just play with u cuz u were cute little toy"
mene ye sun ne k bad bina kuhc kahe cal kat di,
n then gher me dhundne laga knife,
room look tha
to mom k kamre se mene neend ki tablets ka
pora pakcet kha lia,
n then apne room k sare saman torne laga apne hathun se,
mujhse bht bari bari ghalti hogai thi,
mujhe khud se nafrat hogai thi,
achanak mujeh chakar jese feel hua
or ankhun k agey andhera agay
then mujhe kuch yaad nai,
dosre din morning me meri ankh khuli to
i was in hospital,
mere behnoi mujhe thek time per le ae they,
werna shayad aj me yaha nai hota,
wo mera picha kerte hue gher agae they,
to uneh me floor per para mila
mere hath zakhmmi they,
or pas hi neend ki golio ka packet dkehte hi
wo foran mujhe hospital le gae,
dostors ne vomit kerwa k sari tablets nikal di thi,

mene phir hospital me hi sab se maafi mangi,
or merimom wo to itni khafa hogai thin,
k room me bhi nai arahi thin,
bahar hi khare ro rahi thi,
then mene mom ko bula ker maafi mangi,
or wada kia k me ab ap jesa kahogi me wesa hi karunga,

meri mom ne bhai se bat ker k mujhe dubai bhej dia,
unhun ne kaha k yaha rahoge to,
or upset hogey,

ab is bat ko itna arsa hogaya,
me koshish kerta hun k bht khush rahun,
but phir bhi aksar tanhai me...
upset hojata hun...
------------------------------------------
us ne mujhe sab se china...
then mujhe akela ker k chor dia...
ese sehra me...jahan tanhai ki hi barish hai
 
 
 








 
TARIQ HAMEED
 
Here is mine love story


Note: yahan pr name farzi hain. Lekn story bilkul sachi hay.
or kahani bahot lambi thi pr yahan pr sirf khulasa diya giya hay.


Aik dafa ka ziker tha k aik larka jis ka naam Tahir tha vo 5 bhai or 2 sister thay. Tahir sab bhai behn may say bara tha. Or bahot hi sensitive or her waqt apnay bhai or behno k liye sochta tha. Vo bahot mushkil say gher ka guzara krtay thay. Chun kay vo ghr may sab say bara tha is liye ghr ka sara bhoj us pr tha. Tahir ka abu beron mulk may rehtay thay. Lekn halat ki waja say guzara bahot mushkil hota tha. Tahir nay intermediate kiya hua tha or her vaqt hr jaga job k liye apply kiya houa tha. Pr kaheen say b positive response nhi mila. Vo bahot ehsas-e-kamtri ka shikaar ho raha tha. Hata k vo khud kushi ki ghatiya herkat tak ponch giya. Unsay apnay ghr k baray m sochna chor diya or uski life bahot hi bad maza hogai. Vo apnay avara dosto k saath sara sara din ghoomta phirta.. nasha krta tha. Jis say vo apnay aapko bahot sakoon m mehsos krta tha..


Ini dino vo apnay kisi relatives k ghr giya vohan pr relatives ki aik prosan larki dekhi jo k usko bahot achai lagi.. vhi Tahir jo apni zindgi say itna tang aa chukka tha.. uski zindgi phr say aik naiye mor pr agai. Or esa lagta tha k vo phir zinda hogiya hay.. bhot hi khush khush rehnay laga.. us larki ko dekhnay k baad forn unsay ghr baat ki apni ami say kiyn k un k abu to beron mulk kaam krtay thay. To unki ami nay Tahir ki baat maan li.. or kaha beta may aap k liye us larki ka haath maangu gi. Abi Tahir nay us larki say koi baat tak na ki thee..


Tahir us larki k liye apnay relatives k haan jana shuru kr diya..Tahir dekhnay m bahot hi piyara larka tha. Vo larki ko chup chup kr dekta tha or larki us ko.. un don okay dekhnay say pata chalta tha k dono ko piyar hua hay..


Pr Tahir ko phir bhi yakeen nhi aa rha tha k pata nhi us larki ko piyar hay mujsay ya nhi.akhir kaar Tahr nay apnay relatives ko apnay ghr dawat di.. mean k kahanay pr bulaya. Or un relatives may Tahir ka aik bahot hi achaw dost tha.. tahir nay apnay dost say darkhawst ki k vo us larki k ghr valon ko bhi saath lay k rain.. hua youn k larki k ghr valay na aa skay lekn unho nay larki ko bhej diya tahir k sab relatives k saath.


Sab tahir k ghr ponch gaiye. Tahir bahot khush hua. Or tahir ki ami b tahir ko dekh kr bahot khush theen k mera beta jo itna sad rehta tha vo aaj bahot khush hay. Un sab logon nay khana khaya. Or phir chalnay ki tayari ki.. lekn Tahir ka dil nhi cha raha tha k ye sab log jain.. kiyn k Tahir ko to us larki ko dekhna tha…


Tahir or us k ghr valon k pur zor israr pr vo sab log thernay k liye raazi hogai. Raat ko sotay vaqt Tahir nay apni diary apnay room may bed pr rakh di.. or khud mehman khanay may chala giya.. vo larki jis ka naam Sakeena tha.. vo itaefaakan Tahir k room may hi sonay k liye tayar thi.. Tahir nay to apnay relatives k sath sona tha.. is k baad Tahir nay apni ami say kaha k ami mera blanket aap is larki ko dena. Ami nay kaha theek hay beta aap jao..


Sb log so gaiye pr Tahir ko neend nhi I vo saari raat us larki ko sochta raha.. pata nhi kis waqt us ki aankh lag gai..


Jab sobo hui to Tahir apnay room m giya or vohan say pani diary utha li.. usmay aik pen b rakah tah.. or larki naykuch likha b tha.. or vo ye…..


Dear Tahir.. duniya may tumhary liye sirf do hi tohfay rakhay hain.. ibteda k liye dil or inteha k liye jaan… yours sakeena.


Yun unka aapas may ikrar hogiya.
Tahir nay jab ye praha to vo khushi k maray hava may urnay laga..


Tahir ko ab zindgi say bahot piyar honay laga tha… vo hazarun bars jenay ki dua krta tha..


Tahir ko army join krnay ka bahot shok tha.. usnay apply kiya hua tha.. kuch dino baad Tahir ko army say call aagai. Vo khushi khushi army m join kr liya. Or training shuru hogai.. or larki k gifts usko parcel k tor pr miltay thay.. vo bahot khush rehnay laga.. unki kabi baat nhi hui thie aaps may.. bus khayalo hi khayalo may aik dosray say baat kiya krtay thay. Phir Tahir chuti ata to zarur usko dekhnay jata.. pr vo sirf aik dosray ko dekhtay hi thay..


Aik din jab Tahir apnay relatives k ghr may giya to us larki nay usko akhir kaar mukhatib kr diya.. or boli.. aap ko sirf army m hi jana tha kiya….??? Tahir k pas koi javab nhi tha.. Ye sun kr Tahir bahot preshan hua k shayad is ko Army pasnad nhi hay. . bus Tahir k zahn may ye baat beth gai k army ki nokri nhi krni.. chahay jo bhi hojiye….


Tahir nay training khatam kri or phir posting hogai. Or door.. ghr may Tahir roz apni ami say kehta k rishta k liye jao.. ami jaati theen.. kiyn k ami ko b Tahir ki khushi chahiye.. thiee vo Tahir ko hr waqt khush dekhna chati thee..


Pr us larki k ghr valo say koi b javab na milta tha.. haan or na hi inkaar.. kuch din baad Tahir nay army say resign day diya.. or ghr agiya.. phr vohi job ki tension shuru hogai.. or ooper say uslarki ka piyar us ko bilkul andah kr raha tha.. or vo ye b janta tha k job k begher uska kaam ni hoga.. or na hi vo larki usko milskti hay.


Army chornay k baad unsay socha k kiyn na or prha jaiye.. vo phir say prhnay laga.. or phir unsay mobile khareeda.. or yehi soch kr k agr larki ko piyar hoga to zarur raabta keraigi… aik din Tahir apnay dost k pas betha tha to kisi larki ka phone aya.. or us larki nay Tahir ka poocha.. to tahir nay kaha m tahir hi baat kr raha hoon.. to us larki nay kaha nhi aap Tahir nahi ho.. do teeen baar esa hua.. akhir larki nay kaha k vo army m tha or abi chor di hay.. to Tahir nay kaha han may hi tha army m or chor di hay..
Vo larki vohi thee jis k ekhnay pr Tahr nay army chor di the…


Phir unsay Tahir ko bataya k ye may hoon sakeena.. to tahir to khushi k amary uchalnay laga unsay foran apnay dost say ijazat li.. or nehr k kinaaray beth ker apni mohbata say baat krnay laga…


Tahir nay pooocha k kesay bhool gai ho muje phone krnay may. To javab mila kay me nay apni sehili say ko apka btaya tha to unsay kaha moka hay..agr baat krlo to ye na ho k vo kisi or say piyar shuri kr day.. pr may derti thee k aap bura naa manu.. is liye phone nhi krti thee. Is tarah tahir or sakeena ka apas may raabta shuru hogiya.. sari sari raat r sara sara din chup chup kr baatain krna..


Or us larki nay shayad tahir ko bahot kuch change kir diya.. vohi tahir jo hr vaqt dosto k sath ghomta or nasha me rehta tha.. vo bilkul hi badal giya..us nay apnay sab dosto say jaan chura di.. or apni mohbat k saath hr waqt khayalo kahaylo m rhta tha.. or ye sab us larki nay hi us pr kervaya .. sab buray kaam chura diye..


Tahir k ghr to sab ko pata tha.. us k behn bhai or ami sab jantay thay.. k tahir us say piyar krta hay.. or phir tahir nay us larki ko b bata diya k m ny rishta b bhijvaya tha pr aapki tarf say koi javab nhi mila.. vo bahot khush hiu unsay kaha k inshaAllah zarur javab milayga.. tahir nay us say baahot waday kiye or unsay b bahot vaday kiye.. tahir us larki ki apni ami say b baat kervata tha.. or tahir chup chup kr us larki ko milnay jata tha.. us k ghr may.. ye sisala 8 saal tak jaari raha.. is doran tahir ko aik or job mili.. vo bahot khushh hgoiya k abi baat ban jaiyegi..


Ab tak larki k saray khandan may tahir or us larki ki baat phel chuki thee. Pr undono ko ko prva na thee kisi ki bhe.. or khas tor per larki ki sister tahir k bahot khilaaf thee. Bahot khailaaf batain krti thee. Or us larki ko tahir k khilaaf vergalati thee.. ye sab batain tahir ko vo larki phone pr hi batati thee k aaj falan nay ye baat kahee or falan nay ye baat..


Kuch dino baad tahir k abu nay usko bahir bulanay ka bandobast kr diya.. k tahir ko bahir bula liya jaiye.. to tahir k abu nay Tahir say poocha to unsay kaha theek k abu jaesa aap chao..


Tahir nay us larki ko bataya k vo bahir jaa rha ahy or shayad is waja say aap k ghr valay reshta k liye b maan jaiyen.. larki pehlay to bahot udas hui k pata nhi kiya hoga baad may vo sehm gai.. k theek hay.. Allah behter kerayga..


Tahir ka visa lag giya or vo bahir mulk apnay abu k pas chala giya.. yahan ponch kr b vo apni mohbat say raat din baat krta tha.. kuch dino baad tahir k abu ko pata chal giya k koi larki is say baat krti hay.. tahir k abu nay us say poocha to. Tahir nay sab bata diya.. to abu nay kaha beta aap fkr na kroo.. inshaAllah may aapka kaam krunga..


Kuch hi dino may tahir nay larki ky bhai k number say msg receive kiya.. k may khalid hoon or muje sab pata hay aapka or meri behn k beech job hi hay.. lehaza aap fkr na kerain.. may jahan tak hoskay ga.. inshaAllah aap dono ki help krunga.. kiyn kay muje apni sister ki khushi bahot aziz hay..



Ye dekh kr tahir ko or ziada tasali hui..


Phir achanak say larki ka number band.. or 3 month tak kuch pata nhi tha.. tahir bahot preshan rehnay lag giya.. or ghr apni ami say poocha us larki k baray may kiyn k vo tahir ki ami say b baat krti rehti thee.. to tahir ki ami nay koi b javab na diya.. bal k ye kaha k kuch pata nhi.. us larki nay tahir ki waja say apnay sab khandan may ana jana choor idya tha.. tahir nay ami say kaha k aap jao.. us k ghr or pata to kro akhir uska number kiyn band hay..


Tahir ki ami chali gain to us k ghr valon say baat kri to us k ghr valon nay kaha k vo apnay ksi reshta dar k haan gahi hui hain.. phir esa hi tahir ki ami nay tahir ko bataya to tahir or b ziada preshan k us larki nay to apna sab khandan tahir ki waja say chor diya.. lekn phir vo kiyn gai hain.. kis reshtadar k paas… ?? is baat nay tahir ko bahot shak may daal diya….


Phir aik din tahir ki apnay chotay bhai say baat hui.. to chotay bhai nay bataya k vo aghva ho chuki hay…. Bus tahir nay ye baat suni.. or pagalo ki tarha sochna or chalana shuru ker diya.. unsay apnay bhai ko b bahot bura bhala kaha.. k esi khaber mueje kiyn suna rahay ho.. ? tahir k bhai ko b pata nhi tha. Usko kisi larki nay msg kr k bataya k sakeena hamary pas hay.. mera bhai is ko lay aya or kaha k ye aaj say hamaray ghr may rehaygi.. to tahir nay bhai say poocha us larki k baray m to.. us larki nay javab diya.. k muje ye sakeena hi nay kaha hay k aap tahir k bhai ko batao plz.. ho skay vo meri madad k liye aiye. Pr majboor thay.. dono.. tahir beron mulk.. phans kr rehgiya.. or uska bhai jo bahot chota tha kuch b nhi kerskta tha….


Or is k tahir nay direct larki k ghr raabta kiya to ksi nay kuch b nhi bataya… sab mukr gaiye.. or kaha k vo khud bhaag gaieye hay… ye sun kr tahir ko esa laga jesay uski duniya us say chin gai ho.. or vo bahot mayus hogiya..


Tahir vhi jis nay apni mohbat k liye bahot kuch kiya pr mohbat usko na mili.. or vo hamesha us k liye dua krta k Allah jahan b rakhay usko khush rakhay..


Aaj tak us larki ka kuch b pata nhi……. Usy zameen nigal gai ya asman……





ham ghareebon ki baat hi kiya thee..

paar thay to bhula diya hota.
duniya daari bhi farz thi tum per...
aik ansu baha diya hota...

may nay bakhshi... hay tarikiyon ka ziya..
or khud aik tajali ka mohtaaj hoon..
roshni denay valay ko b kam say kam...
aik diya chahiye apnay ghr k liye..
aiye shakeel unki mehfil say.. hay kiya mila...
or kuch berh gai dil ki mehroomiyan..
sab ki jaanib nigahiyen karam hi rahi..
ham tarastay rhay aik nazr k liye...

my bana to loon nasheeman..
kisi shakh-e-gul pr lekn
kaheen saath ashiyan k...
ye chaman b jal na jaiye..

The End.
 
 










*SHB*
 
Hi dosto meri kahani ka naam hai

Adhoori Muhabbat

Yeah kahani hai Shoaib aur Saba ke suche pyar ki yeh pyar adhoora kyon reh gaya is ke lea aap ko pori kahani sunata hon. Yeah


baat hai us waqt ki jab Shoaib 16 saal ka tha aur saba just 15 years ki. Shoaib aur saba aik he school mein perhte the aur

woh shoro he se bohat ache dost the per unhe kabhi feel nahi hua keh un ke dil mein pyar hai woh to bus itna jante ke woh ik

dosre ke bina naahi reh sakte. ager dono mein se koi aik chutti ker leta to dosra sham mein us ke ghar mein hota us ki tabeat

kharab hoti to us ke ghar waloun se zyada pareshan hota aur us ke lea sub kuch kerne ko tyar rehta tha.

Shoaib aur saba aik he class mein the lakin saba perhae mein kuch kamzoor the woh akser he disheart raha kerti the aur Shoaib

se kehti Shoaib is baar to mein fail ho jaoun gi mujhe fail hone ka der nahi per phir hamari classes bhi to alag ho jayen gi

naaa shoaib us ki masoomeat pe hansa kerta jis se woh naraz ho jati aur phir shoaib kisi na kisi tarah use mana he leta.

aur Shoaib us ki study mein her tarah ki help ke lea tyar rehta tha.

aik baar to us ne saba ke lea apna aap ko daaaooo pe laga dea tha woh english ka paper tha aur saba ki tyari achi naa the aur

teacher ne bhi kuch hard paper banaya tha per Shoaib ki tyari achi hone ki wajah se wo paper perh ke khush ho gaya per saba

ke chehre per dukh dekh ke us ki khushi pareshani mein badal gayi aur Saba us ke sath wali bench pe sir paker ke bethe the

aur Shoaib ne saba ko kaha ke apni copy mujhe de do aur saba se us ki copy li aur us ki copy mein sub answers likhne laga aur

apni copy saba ko de di. aur Saba heerani se dekh rahi the aur us ne Shoaib ko bohat mana kea per teacher ke der se ooncha

bol bhi nahi sakti the.... Shoaib ne two hours mein he Saba ki copy mein sub answer likh ke use wapis de dea. aur phir apni

copy le ke start kea per sare answer complete naaa hoe the keh teacher ne sub se copy wapis leni start ker di.... aur us se

bhi copy le li.... us din Saba ko feel hua keh Shoaib ki dosti sirf dosti nahi hai.... kuch berh ker hai aur Shoaib ko bhi

feel hua keh mein is larki ki pareshani dekh ke kyon sub kuch bhool jata hoon... aur pehli baar dono ko ehsaas hua keh shahyd

woh anjane mein ek dosre se beinteha pyar kerne lage hain.....

Saba us din ke baad se Shoaib se naraz ho gae kyon keh woh janti the keh us ke lea shoaib ne apna paper chor dea aur woh yeh

bhi janti the keh us ke ghar wale study ke mamle mein kitna strict hain. Woh nahi chahti keh Shoaib ko koi bhi kuch kahe. aur

wahan shoaib us ke lea bechain ho gaya tha keh akhir saba mujh se baat kyon nahi ker rahi aur is doran paper khatam ho gae aur aik din school se wapisi per Shoaib ne Saba ko ek letter dea keh tum mujh se baat naa kero lakin plzzzz isss perhe bagher mat pharnaa... Saba ne woh letter le lea per us ka dil bhi zooron se dharak raha tha. us ne ghar aate he apne room mein aa ke room ko lock kea aur us letter ko nikal ke perhne lagi. Us mein Shoaib ne apne dil ka sara hal likh dea tha aur akhir mein likha tha Saba mein tumhare bina nahi jee sakta mein tum se bohat pyar kerne laga hon aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon kyon ke mein tumhe pareshan nahi dekh sakta....

bus Saba phir khud ko naa rok pae us ne phone uthaya aur Shoaib ka cell milaya to woh off ja raha tha phir us ne Shoaib ke ghar ka number milaya to us ki Aapi ne uthaya to unho ne bataya ke Shoaib to abhi tuk school se wapis he nahi aayaaa hai... aur woh log bohat pareshan hain aur Mummy Papa us ke school gaye hoe hain.... kyon ke un ke ghar se school just half an hour ke walking distance pe tha aur woh dono bhi pedal he jaya kerte the akser. aur us ne Shoaib ko khud School se nikalte hoe dekha tha... aur Saba ka sir chakrane laga. Us ko kuch samajh nahi aa raha tha kya kare woh apne room se bahir aae table pe us gari ki chabbi dikhi us ne woh chabbi uthae gari nikal ke school pohanch gae wahan pe use Shoaib ke Mom aur Dad bhi khare hoe mile. Per unho ne baataya keh chookidar keh raha hai ke Shoaib to kafi deer hoe yahan se chala gaya hai aur woh apne dost Ali ke sath bike pe gaya hai.

woh log ghar wapis aae aur Shoaib ke sub ko friends ko call ki aur Ali ka number bhi nahi mil raha tha phir Shoaib ke friend se Ali ke ghar ka number lea to aur ghar pe phone kea to pata chala Ali bhi ghar nahi pohancha to aub sub ke paoun ke neeche se zameen nikal gayi. Shoaib ki ami behosh ho gae aur Saba ko to jaisa sakta ho gaya woh kuch bhi nahi bol rahi the. Shoaib ke Dad aur Ali ke Papa police station gaye aur gumshudgi ki report likhwae. aur khud bhi pore town mein dhoondne lage....phir achanak un ke ghar pe phone aaya ke School se do kilometer door un ki bike mili hai aur un ka accident ho gaya hai aur dono ko Shiffa hospital le gaye hain....

woh sub log jaldi se hospital pohanchte hain to wahan bethe shoaib ke friend Ihtesham se un ko pata chalta hai keh Ali aur Shoaib apne dost se milne ke lea ja rahe the keh un ko aik over speed car ne taker mar di Ali aur Shoaib ke bohat gehri choote aae hain.... aur woh operation theater mein hain.... thori der baad doctor se pata chalta hai keh Ali ki tabeat aub out of danger hai per Shoaib ka bachna mushkil hai kyon ke Shoaib ke sir pe bohat gehri chot aae hai... aur after an hour Doctor bahir aa ke jawab de dete hain keh shoaib aub is dunya mein nahi rahaaaa............

aur sham tuk shoaib ki lash ghar aa jati hai aur wahan ghar mein qayamat ka sa saman hota hai aur her aankh mein aansoo hote hai per wahan he saba bhi hoti jis ki aankh mein aik bhi aansoo nahi hota hai aur woh to palak jhapkae bhager shoaib ka face dekh rahi hoti aur us ko to kuch bhi yaqeen nahi aa raha hota. use to yaqeen hota to shoaib ki is baat pe keh Saba mein tumhare bagher nahi jee sakta aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon...aur mein tumhe pareshan nahi dekh sakta..... aur use to yaqeen hota hai keh aaj bhi shoaib uthe ga aur kahe ga arey yaar mein to mazak ker raha tha saba chalo hans ke dikhao.


per aisa kuch bhi nahi hota aur jab shoaib ko dafnane ke lea sub le ke jate hain to saba ko koi hosh nahi hota aur woh behosh ho jati hai aur use char din baad hosh aata hai to woh hospital mein hoti hai aur woh sub kuch kho chuki hoti apne dost ko apne pyar ko apne sathi ko jis ke sath he us ne apni sari zindagi ko socha tha bus aub us ke pass kuch nahi raha tha siwaeee yaadon ke yaaa aik
Adhooori Muhabbat ke....


Usne zindagi mein jo mera saath na diya,


shayad uski bhi koi majboori theee...




Bewafa to woh ho he nahi sakta Saba,



shayad meri mohabbat hi adhoori theeee...


"Every person isn't your friend.....only your friend is the man who knows all about you, and still likes you."


 



 



 


 










 


 ​

 
baberzaman
Kasoor kis ka saza kis ko........

Waqat ki kami ki wajah se main pori story nahe likh saka is liay ek short c summery likh de.......
Main Story writer nahe hun aur dosra masla jo k aksar pathan bhaion k sath hota hai Ka,K,Ki.......So plz ignore my mistakes..........
Yeh sache kahani hai..........................Please Pray for Them.........
and u can also suggest them after reading story........





Kasoor kis ka saza kis ko........





Aaj se 5 saal Pehlay Younas k bary bhai ki mangni Saira ki bari behen se hoye......Dono families Main buhat acha Taluq Shoro hoa.........Ek dosray k ghar ana jana aur saab buhat khush thy..............Magar Saab se zyada Khushe Younas ko he hote the qn k Jab us ne pehle bar Saira ko daikha Us ko wo buhat Pasand aye......Wo ek seedhi saadhe magar buhat khubsorat larki the.........Younas kisi tarha Us se Baat karna chahta tha laiken kabhe itne Himmat nahe hoe.Bas Sirf Salam dua....Phir us k zehen main ek idea aya us ne apni bhabi ko batun batun main bol diya..........K wo Saira ko pasand karta hai........aur wo Saira se he shadi kary ga........Younas k ghar waly b jab younas k liay larki ki baat kartay tu yahe kehtay Khas kar Us ki Ammi k Saira se achi koi larki hu he nahe sakte Younas k liay..............Younas Dil he dil main Khush hota tha jab yeh sunta...............Phir us ne apni bhabi ko bol he dya keh ek bar Saira se baat karwain bhabi ko kisi tarha se mana liya.........Magar jab baat karny ka waqat aya tu Saira ne baat karny se inkar kar diya....younas ko buhat dhuk hoa k Us ne reject qn kiya..Per Us ki bhabi ne usay samjhaya k Fikar maat karo Tum us k sath sincere hu tu wo tumhari hai......Laiken Younas chahta tha k kisi tarha Saira ko apny dil ka Haal suna dy aur us ka Dil jeet ly....



Younas ne buhat koshesh k bad apni bhabi k through Saira ko mana he liya ek bar baat karny k lia aur us ne Saira ko apny dil ka haal suna diya.Laiken us Waqat saira ne koi jawab nahe diya aur younas intizar karta raha.....





After 6 to 7 Months



Kehtay hain na k dil ko dil se rah hote hai........Wesa he hoa...........Younas ko ek unkown number se text mila....... ( HELLO ,Call me)


Jab us ne call kiya aur jab maloom hoa k Saira hai tu hairaan b hogya aur buhat zyada khush b qn k aaj tu us ka sapna pora hu gya tha.............Phir un dono k darmayan texts aur calls ka silsila shoro hoa........aur Saira ko b Younas Acha lagny laga....Jis ka Izhar us ne akher ek den kar he liya............



Aab tu Younas ko apni zindagi bilkul Complete lagny lagi...............



After 2 Years...........



Aab Younas aur Saira tu jaisay ek dosray k liay bany hu ek lamha b ek dosray ko yaad kiay bina nahe guzartay thy........Dono Ki jori Buhat khubsorat the aur Compromising b kabhe ek dosray ko shikayat ka moqa nahe diya dono buhat khush thy qn k unhain apny khwab sach hotay dekhayi de rahy thy............ Laiken shaid un dono k kismat mai kuch aur he likha tha.........Ya shaid kisi ki nazar lag gaye unhain............




Younas k bhai aur us ki Mangetar ki kisi baat per laraye hu gaye..........aur un dono main ana ka masla agya.......baat mangni thorny taak puhunch gaye..........laiken families k chand buzargun ne sulah karwaye..........laiken 1 ,2 months baad dobara un dono ki laraye hoye aur baat yahan taak bigar gaye k larki walun ne mangni thorny ki baat ki.......laiken chand buzargun ne dobara fesala kiya aur dono atraaf khamosh hu gai.........Laiken in saab k bawajood Younas aur saira ka contact raha..........


chand mahiny guzray tu younas k bhai ko kahien se pata chala k larki k ghar waly us ki kahien aur mangni ty kar rahy hain.....tu younas k bhai ne pata karna shoro kiya aur wo baat sach nikle...



Phir Dono families ki laraye shoro hu gaye.......Aur baat Dushmani taak puhunch gaye( Ek dosry ko marny k plan banny lagy)


Aur jab is sary situation ka pata us dosry larky ko chala tu us ne mangni se inkar kar diya.....Younas k bhai ne fesala kiya k aab na is larki ko chory ga na shadi kary ga bas us k intizar main sari zindage baithe rahy ge aur agar koi b us se mangni kary ga Wo osay maar dai ga...........


Laiken Sab se bara imtihaan Younas k liay tha ek taraf us ki family ek taraf Us ka pyar wo kuch samjh nahe pa raha tha k kiya kary.........Us ne khud ko is mamly se dour he rakh.......ek den usy larki k bhai ki call aye aur usay damkhian deny laga aur us k bhai ko marny ki baat ki.....Akher wo b khon ka rishta hai tu younas ko ghussa aya aur us ne b reaction dekha diya jab Saira ko is baat ka pata chala tu wo buhat pareshan hoye aur younas ko call ki aur dono ki laraye hu gaye..........Phir kafi Arsa taak dono ka ek dosry se contact na raha..........Laiken jab insan k dil main koi bas jai phir usy kabhi bholaya nahe ja sakta........Saira apny dil k hatun majbore hoye aur us ne dobara Younas se contact shoro kiya....



aaj b dono families k darmayn koi ana jana nahe.jaisay koi risha he na tha....Haan sirf ek rishta aaj b hai wo hai Younas aur saira k Muhabbat ka rishta..........Aaj b wo is intizaar mai bethy hain k ek den aye ga jab saab kuch theek hu jai ga aur wo dono hamesha k liay ek hu jain gai............................................... .................


Laiken Aisa qn hota hai k ghalti koi aur kary aur saza kisi aur ko milay.....Younas aur Saira ka kiya kasur tha k koi ghalti kiay bina aise saza mile ????


Aur agar halaat aisy he rahy jaisay aaj hain tu kiya wo ise tarha khamosh bethy intizaar he kartay rahain gai?


 






 


 



 
hans mukh
here is my own love story, have a look please, it does not matter i win or lose the contest

Assalam O Alaikum To All My Friendz
Mera Naam Mahi Hai Or Aap Log To Mujhe Jaante Hi Hain, Aaj Main Ap Sab Ke Liye Ek Story Le Ker Aye Hon Ek Love Story..


Rehan KSA Ke Capital Riyadh Main Job Karte Hain Aur Saal Main Ek Ya Do Baar Apne Ghar Lahore Aate Rehte Hain Vacations Per

Yeh Aj Se Taqreeban 9 Saal Pehle Ki Baat Hai Jab Woh Riyadh Se Lahore Vacations Pe Aye Hoye The Kyun Ke Unki Sis Ki Shaadi Thi Aur Ussi Din Hi Rehan Ki Pehli Mulaqat Diya Se Hoi Jo Rehan Ki Elder Sis Ki Friend Thi Or Unki Sis Ke Saath Hi Job Karti Thi Lahore Ke Ek Hi Hospital Main.Kehte Hain Ke Kuch Chehre Pehli Nazar Main Hi Dil Ko Bha Jaate Hain Rehan Ko Bhi Pehli Nazar Main Woh Chehra Dil Ko Bohot Manoos Sa Laga..
Phir Jab Sis Ki Shaadi Ke Baad Or Vacations Khatam HOne Ke Bad Rehan Wapis Ryadh Chale Gaye To Uske Takreeban 6 Month Baad Hi Diya Ko Bhi Ajayd General Hospital In Haram (Makkah Al Mukarrama) Main Job Ki Offer Ho Gaye Or Diya Bhi KSA Agaye JOb Ke Liye.

Yeh Takreeban 2003 Ki Baat Hai Jab Rehan Bhai Dobara Vacations Pe Lahore Aye To Unki Sister Ne Diya Ko Dene Ke Liye Kuch Gifts Dye Rehan Ko.Lekin Problem To Yeh Thi Ke Diya Makkah Main Rehti Thi Or Rehan Ryadh Main Or Na Hi Rehan Ke Pas Diya Ka Koi Contact Number Tha Bas Us Hospital Ka Name Hi Maloom Tha Jahan Diya Job Karti Thi Woh Bhi Sister Ke Reference Se Kyun Ke Us Waqt Tak Rehan To Diya Ko Nahi Jaante The Na Or Na Hi Diya Se Kabhi Baat Hoi Thi Rehan ki
Ab Ryadh Se Makkah Koi Gift Pohonchana Itna Asaan To Nahi Tha Kyun Ke Riyadh Se Makkah Tak Ka Distance Takreeban 1000 KM Tha Or Aisi Sorat Main Jab Aap Kisi Aisi Girl Ko Gifts Dene Jaa Rahe Ho Jo Apko Jaanti Bhi Nahi Thi
Yehi Baat Rehan Ko Thora Pareshan Kar Rahi Thi Lekin Bari Sister Ki Khatir Yeh Kaam Karna To Tha Na So Rehan Ne Woh Saare Gifts Le Lye Or Promise Bhi Karlya Ke Yeh Gifts Unki Friends Ko Mil Jain Gay..
Or Phir Rehan Wapis Riyadh Apni Job Pe Agaye Or Saath Saath Diya Ka Contact Number Lene Ki Bhi Koshish Karne Lage Ta Ke Woh Jo Amanaten Unke Paas Rakhi Hoi Thi Woh Diya Ko Luta Ker Apne Farz Se Subukdosh Ho Jain
So Rehan Ne Saudi Telecom Main Call Kar Ke Diya Ke Hospital Ka Contacts Number Hasil Kya Or Hospital Main Call Ki Jo Ke Kisi Operator Ne Receive Ki Or Phir AkhirKaar Phone Pe Diya Ki Awaz Suni,
Rehan Ne Pehle Unse Apna Tarruf Karwaya Ke Main Apki Friend Ka Bhai Hon Aur Unho Ne Apke Lye Kuch Gifts Dye The Mujhe Jo Main Bohot Jald Ap Tak Pohoncha Dunga Aur Uske Saath Hi Rehan Ne Diya Se Unka Contacts Number Bhi Le Lya Ta Ke Baad Main Koi Problem Na Ho Jai.

Phir Aik Din RehanApne Dost Ke Saath Makkah Aye Aur Pehli Dafa Diya Itne Qareeb Se Dekha Aur Sister Ke Diye Hoye Gifts Usko De Dye Aur Wapis Riyadh Agaye Lekin Kehte Haina Ke Muhabbat Pehli Nazar Main Hi Ho Jaati Hai.. Diya Ki Mulaqat Ne Thora To Asar Kya Tha Rehan Ke Dil Main Lekin Rehan Us Time Us Ehsaas Ko Samjh Na Sake..

Phir Us Duraan Rehan Ka Diya Se Rabta Zyada Tar Cell Per Hi Hota Tha Kyun Ke Rehan Or Dya Ek Hi Country Se Belong Karte The Or Aksar Hi Rehan Ke Sister Ko Dya Ko Gifts Dene Hote The Or Ussi Tarha Diya Ko Bhi Rehan Ki Sis Ko Kuch B Send Karna HOta To Uske Lye Rehan Ko Hi Batana Parta Yeh Silsila Isi Tarha Chalta Raha Or Rehan Or Diya Ki Bohot Achi Jaan Pehchan Ho Gaye Ya Aap Usse Friendship Ka Name Bhi De Sakte Hain

Kyun Ke Diya Makkah Main Akeli Thi Isliye Usko Koi Bhi Problm Hoti Ya Kuch Bhi Help Chaye Hoti To Woh Rehan Ko Call Kardeti Or Usko Bata Deti,Or Rehan Bhi Uski Har Problm Main Uski Help Karta Tha

Phir Aik Din Diya Ne Apni Ammi Ko Hajj Pe Bulane Ki Khuwahish Zahir Ki Aur Rehan Ko Kuch Paise Arrange Karne Ko Bhi Kaha Jo Rehan Ne Foren Hi Kar Dye Aur Unke Sponser Ka Cheque Bhi Diya Ko Dilwa Dya. Ittifaq Se Rehan Ne Bhi Ussi Saal Haj Kya Tha But Diya Or Unki Ammi Se Mulaqat Nahi Ho Saki Lekin Hajj Ke Baad Haram Main Rehan Us Se Aur Us Ki Ammi Se Mila.

Ab Rehan Or Diya Ke Talluqaat Itne Barh Chuke The Ke Woh Dono Apni Problems Aik Dosre Se Discuss Karte The Aur Phir Us Duran Phir Rehan Ki Vacations Agayee Aur Diya Ko Bhi Chutti Per Jana Tha. Lekin Rehan Riyadh Main The Aur Diya Makkah Main Thi Islye Reservation Ki Problem Thi Lekin Rehan Ne Reservation Kuch Aisi Banai Ke Diya Makkah Se Ryadh Aye Aur Phir Riyadh Se Rehan Or Diya Ne Ek Saath Lahore Tak Safar Kiya Aur Lahore Pohonch Kar Diya Apne Ghar Chali Gaye Or Rehan Apne Ghar Lekin Us Arse Ke Duran Rehan Or Diya Main Kabhi Aisi Baat Nahi HOi Ke Hum Dono Ek Dosre Ko Chahte Hain..

Or Phir Kuch Dino Baad Rehan Or Diya Vacations Se Wapis Agaye Lekin Aye Woh Dono Akele Akele The Kyun Ke Rehan Ki Vacations 30 Days Ke Liye Thi Jab Ke Diya Ki Vacations 55 Days Ke Liye Thi Islye Rehan Ko Pehle Aana Para. Lekin Us Arse Ke Duran Rehan Ko Uski Kami Ka Shiddat Se Ehsaas Hoa Or Pehli Baar Rehan Ko Aisa Mehsoos Hoa Ke Woh Diya Ko Chahne Lage Hain Kyun Ke Un Dono Ke Talluqat Apas Main Kuch Is Tarha Ho Gaye The Ke Woh Dono Rozana Phone Dair Tak Baaten Karte Rehte The Lekin Ab Jab Ke Woh Akaile The To Bohot Miss Kar Rahe The Diya Ko LekIn Diya Ke Wapis Ane Per Rehan Apne Jazbaat Ka Izhaar Bhi Na Kar Sake

Aur Phir Jab Diya Wapis Agaye Or Aate Diya Ne Rehan Ko Makkah Se Phone Kya Ke Woh Pohonch Gayee Hai.
Phir Pehle Ki Tarha Dono Ke Shab O Roz Guzarne Lage Or Rehan Yaktarfa Muhabbat Ki Aag Main Musalsal Jalte Rahe Rehan ROzana Soochte The Ke Aaj Diya Se Apni Feelings Ka Izhaar Kardunga Lekin Na Jane Konsi Baat Unhe Rok Deti Thi Ke Woh Diya Se Kabi Izhaar Hi Nahi Kar Paate The
Phir Kuch Yun Hoa Ke Raat Ke 02:00 Rehan Ne Diya Ko Call Ki Or Diya Se Apni Khuwahish Ka Izhaar Kardya Or Un Se Shaadi Karne Ki Khuwahish Zahir Kardi
Pehle To Diya Ko Rehan Ki Baat Sun Ker Shock Laga Kyun Ke Diya Ne Rehan Ke Bare Main Kabhi Us Tarha Se Soocha Hi Nahi Tha Lekin Usne Rehan Se Kaha Ke Mujhe Kuch Time Do Soochne Ke Lye Lekin Phir Ussi Raat Rehan Ke Pas Bhi Ek Call Aye Jo Green Signal Ki Thi Matlab Diya Ne Haan Kardi Thi
Phir Kuch Yun Hoa Ke Rehan Ke Dil Ko Sukoon Mil Gaya Aur Rehan Ko Zindagi Khobsorat Lagne Lagi Harr Cheez Haseen Lagne Lagi

Lekin Kahani Yahin Khatam Nahi HO Jaati Kehte Haina Muhabbat Karne Walen Kabhi Asaani Se Nhi Mil Paate Yehi Haal Rehan Or Diya Ka Tha Kyun Ke Rehan Ko Diya Se Pyaar To Hogaya Tha Lekin Wahan Pak Main Rehan Ke Parents Rehan Ke Liye Uski Cousin Ko Mang Chuke The Lekin Is Se Bhi Bari Jo Hairan Kun Baat Thi Rehan Ke Ghar Walon Ke Liye Bhi Aur Sab Parhne Walon Ke Liye Bhi Woh Baat Yeh Thi Ke Diya Divorced Thi...


Or Yahan Diya Bhi Kaafi Pareshan Thi Coz Anjane Main Hi Sahi Piyaar To Woh B Karne Lagi Thi Na Rehan Se Or Rehan Se Izhar e Muhabbat Karne Ke Bad Yeh Mumkin Nahi Tha Dono Ke Liye Ke Woh Ek Dosre Ke Bina Reh Saken..

Or Idher Rehan Ke Ghar Wale Razi Nahi Ho Rahe The Kyun Ke Woh Log Yeh Chahte The Ke Rehan Ki Shadi Ussi Taya Ki Larki Ke Sath Ho Jai Kyun Ke Ek Tarf To Rehan Ki Wajah Se Unke Taya Ki Narazgi Ka Khatra Tha To Dosri Tarf Rehan Ko Jis Larki Se Muhabbat Hoi Thi Woh Devorced Thi Isi Wajah Se Rehan Ke Ghar Wale Razi Nahi Ho Rahe The

Lekin Kehte Haina Niyyat Saaf Ho To Manzil Asaan Ho Jaati Hai Jab Rehan Ki Cousin Ko Rehan Ke Pyar Ka Pata Chala To Us Ne Khud Hi Rehan Se Shadi Karne Se Inkar Kardya Or Ghar Main Bhi Yehi Kaha Ke Jab Woh Pyaar Kisi Aur Se Karta Hai To Uski Shadi Mujhse Zabardasti Bhi Kardi Jaigi To Uske Dil Se Us Larki Ke Lye Pyar Khatam To Nahi Ho Jai Ga Na Agar Rehan Kahin Or Shadi Karna Chahta Hai To Usko Wahin Karne Den Shadi Aur BilAkhir Rehan Ki Cousin Ki Zidd Ki Wajah Se Yeh Rishta To Khatam Ho Gaya Lekin Ab Rehan Ke Liye Sab Se Bara Kaam Ghar Walon Ko Diya Ke Lye Razamand Karna Tha..

Lekin Yahan Bhi Allah Ne Rehan Ki Help Ki Or Rehan Ki Elder Sis Jo Diya Ki Bohot Achi Friend Bhi Thi Or Diya Ko Achi Tarha Se Jaanti Bhi Thi Islye Ammi Or Abbu Ko Diya Ke Lye Razamand Karne Lagin Lekin Rehan Ke Abbu Yehi Keh Rahe The Ke Woh Divorced Hai Khandan Wale Kiya Kahenge Or Muashra Mazaq Urai Ga Hum Logon Ka Lekin Rehan Ki Sis Ne Unko Samjhaya Ke Rehan Baligh Hai Acha Bura Janta Hai Or IsLaam Bhi Divorced Se Shadi Karne Se Mana Nahi Karta To Kiya Problem Hai Phir Agar Rehan Ek Devorced Larki Se Shadi Karna Chah Raha Hai Main Diya Ko Achi Tarha Jaanti Hon Woh Is Ghar Ko Bohot Ache Se Sanbhalegi Or Ap Dono Ka Bohot Khayal Rakhe Gi Lekin Agar Ap Log Hi Zidd Per Rahe To Woh Bhi Apka Hi Khon Hai Kahin Woh Bhi Zidd Main Aker Koi Ghalt Qadam Na Utha Le

Parents Ke Liye Apni Ulaad Ki Khushi Se Barh Kar Kuch Bhi Nahi HOta So Rehan Ki Sis Or Rehan Ke Samjhane Per Diya Ko APni Bahu Banane Per Razi Ho Gaye Or Aaj Rehan Or Diya Ki Shadi Ko Takreeban 9 Saal Ka Arsa Guzar Chuka Hai Or Unka Ek Baby Bhi Hai Jiska Name Sarim Hai

Rehan Ke Parents Diya Se Bohot Khush Hain Kyun Ke Diya Ne Ghar Aker Unke Liye Unki Bari Beti Or Rehan Ki Bari Sis Ki Jagah Le Li Hai Or Woh Bohot Khayal Rakhti Hai Rehan Ka Or Rehan Ke Ammi Abbu Ka Or Un Dono Ka Baby Ab 4rth Class Main Study Karta Hain Or Apne Dada Dadi Ki Ankhon Ka Tara Hai Woh Sab Ab Boht Khushaal Zindagi Guzaar Rahe Hain Or Meri Dua Hai Ke Allah Un Dono Ko Hamesha Khush Rakhe Kyun Duniya Main Aise Log Bohot Kam Hote Hain Jo Kisi Se Pyaar Kare Or Us Piyaar Ko Nibhain Bhi..

Meri Dua Hai Ke Allah Rehan Bhai Or Diya Bhabi Ko Hamesha Aise Hi Khush Rakhen Or Dono Hamesha Aise Hi Hanste Muskurate Rahen
Ameen
 
 
 
 
 


 
prince ferry

This is the story i have written in my previous grade


A Priceless Gift


Growing up in a third world country; Pakistan, life taught me many hardships and difficulties. We were not so fortunate like many western teenagers or first world countries’ kids to have an excellent standard of education, health and living. Similar to 75% of the country’s population which relies on agriculture for a living, my dad was a farmer. It was a small village; everyone knew each other very well, to the extent that they fully knew about someone’s relatives and their occupations. Most of the people were very friendly, helpful, and great companions of each other in grief or in happiness. They were of one family in different houses.​


Mahmood was my childhood friend. We lived on the same street not far from each other’s houses. Although, he was from a lower caste my father never restricted my friendship with him. His parents had to work very hard in the field to earn everyday necessities. His parents loved him more than anything in this world. He was the only child and very well cared for despite having financial difficulties. He used to go to the same school as me, unlike many other lower caste students. His parent’s hope was to see their intelligent and hardworking son become a doctor. Nobody could compete with Mahmood in his punctuality, organization and behavior; he also had a great sense of humor. On the other hand, he lacked one thing - not appreciating and listening to his caring parents. He was a prince in his home. Mom cooked his favorite dishes everyday. She also gave him nicely washed and ironed clothes to wear everyday. His parents also provided him with the best stationary tools to use.​


A lot of the time, he would stay out late, and that was annoying to his parents. I remember one time when we were standing under a street light with some other friends and his mother called him "Mahmood, please come home now". The way he answered vibrates in my head to this day, "Ahh mom, come on 5 more minutes". His five minutes were typically longer than five centuries. Time always seemed to pass quickly, when he was telling us jokes. And when I think back I think, "Why not - as a seventeen year old, very loved and cared for boy, he didn’t have much to worry about, but his parents". He could make the earth laugh, make the sky giggle, and make the stars smile. How could you tell, that why it was hard for such an intelligent guy to not realize, what his parents were suffering through. At many points of our friendship, I pointed out to him, "Mahmood, you need to give first priority to your parents. They are the ones who are sacrificing their days and nights, so you could live a better life". He would reply in a careless tone, "Oh, don’t worry man, I know they love me, I will handle them". He was right, but at the same time, he was wrong. It’s true that his parents loved him so much and they gave him endless freedom and choice, but he should not have abused that freedom and care.​




At some point in our lives, we don’t realize how precious someone in our company or something in our possession is. We only admire what is in others’ baskets. As he reached 18, bad luck knocked at his door. He fell in love with a girl from our village. It was not bad that he was in love, but the worst part was that the girl was from a higher caste society. Getting married to her or attaining her would be almost impossible, like a sun landing on earth without causing any damage. Like always, his parents provided him everything in his life. He asked and urged them to get him the girl of his love. He started love and went too far with it, which meant that living without her would mean a dead Mahmood. He started demanding the girl from his parents, like not a big deal. Eventually, his parents lost in front of their only son and went to ask the girl’s parents, from the upper class family, to marry their son. Expectedly, the higher caste insulted his parents so much that they ordered their servants to throw his parents out of the house. His poor parents could do nothing, but cried for their fate.​



At the next meeting, Mahmood asked the girl to run away from her house with him, but she refused. She said we would have to move on and he would have to forget her. It was not a simple thing for him. He sat quietly with burning eyes and started smoking too much to overcome his grief. The next morning I heard voices, crying and people running towards Mahmood’s house. I quickly ran, without my shoes, to his house and entered to find the dead body of my best friend. Early that morning, he had laid down on the train tracks and took his own life. When I think about him, I still cry and miss the old memories and wish I could have made a difference. That day I learned and my heart spoke to me that no matter how important things are to you, no matter how badly you want them, one must remember your parents are the most rewarding and priceless gift to you in this world. So treat them with obedience and respect and to follow their expectations because they will never choose that is not beneficial for you. In fact, they are the only one who loves you more than anyone else in this world.​


 ​


 ​


 ​


 ​


 ​


 ​


 ​


 ​

 
cool
Junaid : ek sada sa larka dunia se la taluq apni dunia main gum, jab wo three class main pohncha to os ki dosti ek apni class fellow Nabila se hoi jo osi ki trha sidhi sadhi thi dosti kia bs ek taluq jo ek class main ek sath prhnay ki waja se bna, janay aisi kia kahish thi dono main k jis din un main se koi ek choti pr hotta to dusray ka din bechayni k alam main guzrta, bs esi trha time guzrta gaya or un ki judai ka time aa gaya Q-K un ka school 5th tak tha un ab sab ne school change krna tha to Nabila or Junaid k parents ne mukhtlif schools ka intkhab kia or unh dono juda ho gaye pr Junaid ne Nabila k school ka ptta laga liya or kismat un k sath thi Junaid ko adhay ghanta pehle choti ho jati thi wo sidha Nabila k school k samnay ja kr khra ho jata jab wo school se niklti to wo os ko dekhta jab Nabila ka dihaan knhi or hota or Nabila os ko tab dekhti jab Junaid ka dihaan kanhi or hotta unhi 1 saal guzar gaya or qismat un pr mehrbaan hoi un dono k ghr k qreeb ek new school open hoa or dono k parents ne school greeb honay ki waja se un ko os school main dakhil krwa diya unh ek baar phir wo milay jab unho ne first day ek dosray ko ek class main dekha to un ki khushi dekhnay k qabil thi, ab un main dosti ho gai ek dusray se cheyr char shrartay ye sahyed un k zindgi k khubsoort din thay pr shayed qismat ko ye manzoor na tha or ek baar phir judai , Nabila k papa ka transfer Lahore k qreeb PATTOKI ho gaya, or wo wnha chli gai ab to dono pr jaise qayamat toot pri ho pr majboor , unhi 4 saal guzray or Junaid k papa ne FSC ki or C.A k liye ek collage main admissions liya , ajj b os k dil main Nabila k liye itni he jagha thi jitni k ajj se 4 sall pehle, ghnto os ki yaad main gum rehta ab os ko mehsoos ho raha tha k os ko pyar ho gaya hai or udhr Nabila ne FSC kr li wo chul bali nath khat larki bs ab katabi kira bn gai thi or din main Junaid ko yaad krti or raat main os k sapnay.

 
 
 
 
 
 
 ​

Ajj ka din Junaid k liye boht important tha Q-K ye es k collage ka first day tha wo excited b tha or confuse bhe. inhi socho main wo collage ponhcha , jab wo class k andr enter hoa to os ko apni ankhon pr yaqeen nahi ho raha tha , nazara he kuch aisa tha os k samnay kursi pr Glasses lagay masoon se chray wali jis k khyalon ne os ka kabhi sath nahi chora Nabila bethi thi, wo wnhi freeze ho gaya or unhi Nabila ki nazar Junaid pr pari to dono unh kho gaye jaise un ko kisi jadoogar ne pathr kr diya ho , ye un ko b nahi ptta tha k 4 saal baad unho ne ek dusray ko pehchana kaise, shayed dil ki nazar se, unhi din guzrtay gaye pr dono main himat na hoi ek dusray se baat krnay ki, phir ek din Junaid ko Nabila ka cell number knhi se mil gaya or Junaid ne Nabila ko msg kia or unho un main rabta shuru hoa pr face to face ab bhi wo baat na kr saktay thay , or 2 sall guzar gaye pr dono main himat paida na hoi iqraar krnay ki, pr ek din Junaid ne himat ki or Nabila ko propose kia, or Nabila shyed esi k intzaar main thi, unho dono main muhabbat ka silsla shuru hoa, pr shayed wo ye nahi jantay thay k un ka milaap boht he mushkil tha, wo to bs pyar ki dhon main gum thay, Nabila k papa ne os ka rishta os k chacha zaad se tay kr diya pr Nabila es baat se baykhbar thi os ko nahi ptta tha os pr kia qaiyamat totnay wali hai, Nabila k papa ne Nabila or os k chacha zaad ki sagai k liye din muntkhib kia jab ye baat Nabila or Junaid ko ptta chali to dono ki ankhno se ansu ph gaye wo ek dusray se baat b na kr sakay ab Nabila ek traf papa ki izat ek traf pyar jaye to jaye knha bs ab to Allah ki traf se he kisi mojzay ka intzar tha, dono Allah k agay din raat girgratay unhi dino main Junaid ne apnay parents se baat ki un ne wahi purna point uthaya k wo or zaat k hain un ki zuban or hai etc, pr Junaid un ka aklota betha tha unho ne os ki baat maan li pr un ko Junaid ne Nabila ki sagai k bare main b btaya, Junaid k parents ne Nabila k parents k pass janay ka faisla kia or osi din shaam ko wo Nabila k ghr pohnchay or un se rishta k liye request ki pr unho ne saaf inkaar kr diya unho ne betay ki khatir Nabila k parents ki boht min'ntain ki pr wo nahi man'nay Nabila k papa ne kaha main apnay bhai ko zuban day chuka hoon , Junaid k parents wapis aa gaye jab Junaid ko ptta chala k Nabila k parents ne inkar kr diya hai wo behosh ho gaya jab ose hosh aya to ose sakht bukhar tha zuban pr Nabila ka naam tha or ankhon se ansu nikal rahay thay os ko kuch samjh nahi aa raha tha kray to karay kia, raat ko Nabila se os ka rabta hoa os ka b ro ro k bura hall tha ose ne apni Mamma se baat ki pr os ki Mamma ne akaha tumhare papa nahi manay gay, Nabila ko Allah ne himat atta frmai os ne Junaid ko b tasli di k Allah pr bhrosa rakahy or Allah se dua kray wo koi na koi hall nikal day ga,
kal Nabila ki sagai thi Junaid Allah k agay gir gra raha tha phir wo utha or Nabila k chacha k ghr pohncha Nabila k chacha se mila or un ko sari baat btai, ptta nahi os ki ankhon main itnay ansu knha se aa gay thay bachay ki tarha bilak bilak k ro raha tha or apna pyar maag raha tha, Nabila k chacha ne os ko bura bhla kh kr ghr se nikal diya, os ne sari baat Nabila ko btai, or ghr ki traf bhra os k qadam sath nahi day rahay thay os k ek jannay wale ne os ko ghr pohanchay os ka rag pila ho gaya tha os ne 2 din se khana na khaya tha, raat os ne ro ro kr guzari ajj Nabila ki sagai thi, Junaid bistar pr pra tha os ko kisi cheez ka koi hosh na tha os k parents ki ankhain anson se bhari thi or os k liye dua go thay, phir achanak un k door dastak hoi os k papa ne door open kia to samanay kia daykhtay hain k Nabila os k parents or os k chacha g khray hain, wo sab andar dakhil howay Nabila ko dekha kr Junaid ki sari bemari door ho gai, Nabila k papa ne junaid k papa se kaha k hum Nabila ka app k betay se rishta krnay ain hai, jab junaid or os k parents ne ye suna to heraan ho gaye k ye namomkin momkin kaise ho gaya, wo hayrani se Nabila or os ki family ko tak rahay thay, tab Nabila k chacha ne btaya k kal raat jab junaid humare ghr se gaya os se kuch dair baad Nabila ka phone aya wo roye ja rahi thi jab Nabila k chacha ne waja pochi to Nabila ne sab kuch bta diya, os k baad Nabila k chacha ne apnay betay se baat ki to os ne kaha k Nabila jis ko chahti hai os ki shadi wnhi ho gi or sagai k din os k Chacha apni family k sath Nabila k ghr aye or apnay bhai ko Nabila ka rishta Junaid k sath krnay k liye razi kia, or junaid k ghr aa gaye



2 din baad Junaid or Nabila ki saqai ho gai, or 1 saal baad un dono ki shadi hoi, unha do sacha pyar krnay wale ek ho gaye.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
 
 
 
 
 
 



 
silent smile
 
 

 
 
 
 
 
 
 
 






 
 
 
melody1000
Hello TS..hope my story is not too late..i wasnt sure if its was US time or asia time for last date...here goes.....​

Bob Richards, the former pole-vault champion, shares a moving story about a skinny young boy who loved football with all his heart. Practice after practice, he eagerly gave everything he had. But being half the size of the other boys, he got absolutely nowhere. At all the games, this hopeful athlete sat on the bench and hardly ever played. This teenager lived alone with his father, and the two of them had a very special relationship.
Even though the son was always on the bench, his father was always in the stands cheering. He never missed a game. This young man was still the smallest of the class when he entered high school. But his father continued to encourage him but also made it very clear that he did not have to play football if he didn't want to. But the young man loved football and decided to hang in there. He was determined to try his best at every practice, and perhaps he'd get to play when he became a senior.
All through high school he never missed a practice nor a game but remained a bench-warmer all four years. His faithful father was always in the stands, always with words of encouragement for him.
When the young man went to college, he decided to try out for the football team as a "walk-on." Everyone was sure he could never make the cut, but he did. The coach admitted that he kept him on the roster because he always puts his heart and soul to every practice, and at the same time, provided the other members with the spirit and hustle they badly needed.
The news that he had survived the cut thrilled him so much that he rushed to the nearest phone and called his father. His father shared his excitement and was sent season tickets for all the college games. This persistent young athlete never missed practice during his four years at college, but he never got to play in a game.
It was the end of his senior football season, and as he trotted onto the practice field shortly before the big playoff game, the coach met him with a telegram. The young man read the telegram and he became deathly silent.
Swallowing hard, he mumbled to the coach, "My father died this morning. Is it all right if I miss practice today?" The coach put his arm gently around his shoulder and said, "Take the rest of the week off, son. And don't even plan to come back to the game on Saturday."
Saturday arrived, and the game was not going well. In the third quarter, when the team was ten points behind, a silent young man quietly slipped into the empty locker room and put on his football gear. As he ran onto the sidelines, the coach and his players were astounded to see their faithful teammate back so soon. "Coach, please let me play. I've just got to play today," said the young man. The coach pretended not to hear him. There was no way he wanted is worst player in this close playoff game.
But the young man persisted, and finally feeling sorry for the kid, the coach gave in. "All right," he said. "You can go in." Before long, the coach, the players and everyone in the stands could not believe their eyes. This little unknown, who had never played before was doing everything right. The opposing team could not stop him. He ran, he passed, blocked, and tackled like a star.
His team began to triumph. The score was soon tied. In the closing seconds of the game, this kid intercepted a pass and ran all the way for the winning touchdown. The fans broke loose. His teammates hoisted him onto their shoulders. Such cheering you never heard. Finally, after the stands had emptied and the team had showered and left the locker room, the coach noticed that this young man was sitting quietly in the corner all alone. The coach came to him and said, "Kid, I can't believe it. You were fantastic! Tell me what got into you? How did you do it?"
He looked at the coach, with tears in his eyes, and said, "Well, you knew my dad died, but did you know that my dad was blind?" The young man swallowed hard and forced a smile, "Dad came to all my games, but today was the first time he could see me play, and I wanted to show him I could do it!"
 


rules:
500 se kam posts wale members ka vote accept nahi hoga.
koi bhi member khud ko vote nahi ker sakta.


 

*Maryam*

*"T"* I desErve ThE BeSt n thE BeSt is YOU *"T"*
Super Star
Feb 12, 2010
7,334
3,408
913
Riyadh KSA
uff inni dukhi dukhi kahaniyn sad hi kr diya ap sab ny...:(:( May Allah Bless All Of You
anyways voted....
 
Status
Not open for further replies.
Top