Tm's Poet Of Month-february 2013 Results

  • Work-from-home

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
thx @DuFFer ha read to nae ki,but u ki pehlay wali poetry k bad i know k u nay yaqenan u nay behtareen he likka hoga..manay pehlay b kaha ta u bht acha likktay ho
 
  • Like
Reactions: DuFFer

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
thx @DuFFer ha read to nae ki,but u ki pehlay wali poetry k bad i know k u nay yaqenan u nay behtareen he likka hoga..manay pehlay b kaha ta u bht acha likktay ho
array pagl just u ke read na krne ki wajah hi se to main chiragh bro se keh kr woh poetry isi thread main award ke sath hi post krwai hai ap first page kro @Tooba Khan[DOUBLEPOST=1362122288][/DOUBLEPOST]
Congrats @DuFFer bro. : )
thank you so much maheennn
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Assalaamu alaikum TM doston here I am with the results of
TM's poet February first of all batana chaahunga aap subki shirkat
bohot achhi lagi mazeed kuch lougon ke shirkat ki kami bhi mehsoos huwi
aap subki nazamen ghazalen bakamaal raheen MASHA'ALLAH
aap lougon ke shirkat ne muqabile ko char chand laga diye
lekin staff ke shayar pasand memberaan ko winner ke taur per
eik shakhs chunna tha so staff ne subke shayari ko parakhte huwe
bataur e Winner Fahad @DuFFer brother ko choose kiya
Duffer brother ki wo shayari jiski wajah se inhein ye award mila
~~~~~~~~
Dil Pochta Hai Ay Musalman Bata
Tere Lahu Ka Ab Woh Ubaal Kahan
Jab Raggon Main Laaway Ki Surat
Lahu Tumhaara Dourta Tha
Jab Teri Shuja'at Ka Qissa
Dushman Ki Zuban pe Hota Tha
Sarr Dharr Se Alag Gir Jaata Tha
Per Zulm Ke Aagay Na Jhukta Tha
Or Tanha Saf e Dushman Main Ghus Ker
Tu Allah Hu Akbar Kehta Tha
Kaise Imaan Se Alag Hoa Jihaad
Or Kho Gaya josh O Jalaal Kahan
Dil Pochta Hai Ay Musalman Bata
Tere Lahu Ka AB Woh Ubaal Kahan
Kisi Aankh Se Koi Aanso Kya Gira
Phaans Tere Dil Main Thi Chubi
Jab Tees Kisi Ke Bhi Thi Uthi
Takleef Thi Tere Chehre Se Jhalki
Jab Saat Samandar Paar Bhi KOi
Kisi Zulm Ki Aag Main Jalta Tha
Ho Ke Lazzaton Se Be Parwahh Tu
Allah Ki Raah Main Nikalta Tha
Kaise Lahu Ko Tu Ne Kya Safaid
Dil Main Uthte Ab WOh Wabaal Kahan
Dil Pochta Hai Ay Musalman Bata
Tere Lahu Ka Ab Woh Ubaal Kahan
Haan Aj Bhi Tere Sheher Pe Chaya
Wehshaton Ka Saaya Hai
Haan Aaj Bhi Koi Ghar Se Nikla
Wapis Na Lout Ke Aaya Hai
Haan Aaj Bhi Mamta Ki Cheekhon Ne
Asmaan Ko Hilaya Hai
Haan Aaj Bhi Do Nannhe Haaton Ne
Apne Baba Ko Dafnaya Hai
Laathi Ke Bina Na Chal Sakte Burhe Ne
Jawan Laashe Ko Uthaya Hai
Haan Aj Bhi Ek Behen Ne Aanchal Main
Kitne Aansoun Ko Chupayaa Hai
Or Aaj Bhi Tu Ne Karwat Leti
Gherat Ko Behlaya Hai
Kaise Ho Gaya Tu Itna Behas
Dil Main Chubte Ab Sawal Kahan
Dil Pochta Hai Ay Musalman Bata
Tere Lahu Ka Ab Woh Ubaal Kahan
~~~~~~~~

and a big thanks to @Sabah sister for making a super duper award
Winner of TM's poet Feb 2013 Duffer
Heartiest CongratS to Fahad bhai keep it up and
Best of luck to all participiants for next contests
Bikul he deserves to win..:)
mubarak ho fahadd..:)@DuFFer
 
  • Like
Reactions: DuFFer

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
sorry @DuFFer actually me ap ko wish krna tha tab open tha lkn light chali gai​
wowww beautiful sab se acha u ne wish kya thank u so much faari u ko yad hai jb maine poetry share ki thi to u ne kaha tha ke lagta hai yeh award tum hi le uro ge nd see muje hi mil gaya na
 
Top