Vo Aaye Hamare Ghar Mein

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Ye jo ham hijr mein deewar-o-dar ko dekhte hain,
Kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain.

[Hijr - Judaai, Saba - Hawa, Namabar - Postman / messenger]

Vo aaye hamare ghar mein khuda ki qudrat hai,
Kabhi ham unko, kabhi apne ghar ko dekhte hain.

Nazar lage na kahin unke dast-o-baazu ko,
Ye log kyun mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain.

[Dast-o-baazu - Hand and the arm, Zakhm-e-jigar - Wound of the heart]

Tere jawahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen,
Ham Auj-e-taala-e-laal-o-gauhar ko dekhte hain.

[Jawahir - Jewels as in the word Jawaharat, Tarf - Golden, Kulah - Crown, Jawahir-e-tarf-e-kulah, Golden jewels of your crown, taala - Luck, Laal-o-gauhar, Diamonds and perals]


Mirza Ghalib
 
Top