Ye Manzr Bolte Hain

  • Work-from-home

RoOMi

TM Star
Aug 11, 2009
3,937
1,809
713
Faisalabad
Its My Own...
Kafi Arsy Phly Lihka Thi..... Complt Ni Kr Saka...
Phir As Kafi Sites Me Share Bhi Ki....

Ye Baarisho’n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato’nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ye ap ki hai roomi?booooooooht khoobsorat hai
abi sajid bhai ne b share ki hai yahi
Its My Own...
Kafi Arsy Phly Lihka Thi..... Complt Ni Kr Saka...
Phir As Kafi Sites Me Share Bhi Ki....

Ye Baarisho’n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato’nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Rimjhim Barsati Barsaat Mein
Milane Jab Bhi Tum Aati Ho
Paani Ki Yeh Bondein Tum Per
Kyu Itna Sitam Mujh Per Dhati Ho

Jhulti Hai Tumhare Balo Per
Palko Per Attak Kahi Jaati Hai
Galo Ko Tumhare Chute Hue
Gale Se Lipat Si Aati Hai
Najar Humari Behakti Hai
Dil Ki Dhadkan Bad Jaati Hai
Bahot Jalta Hai Yeh Man
Bond Jab Tumahre Seene Mai Chup Jaati Hai

Tadap Kar Jalta Hai Yeh Dil
Boond Ban Jaane Ko Man Karta Hai
Barish Ki Boond Ki Tarah
Tere Seene Se Lipat Jaane Ko Dil Karta Hai
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein

Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein

Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein

Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wahhhhhhhhhhhhhh...kamal kr dia sajid bhai///aala zoak
Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein

Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein

Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein

Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
muhabbat esa darya hai
k BARISH rooth b jaye
to pani km nhi hota
 
  • Like
Reactions: *Storm*

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Ghum Ki Baarish Ne Bhi Teray Naqsh Ko Dhoya Nahi
Tu Ne Ne Mujh Ko Kho Diya, Mein Ne Tujhay Khoya Nahi

Neend Ka Halka Gulaabi Sa Khumaar Ankhon Mein Tha
Yun Laga Jaisay Woh Shab Ko Dairr Tak Soya Nahi Tha

Har Taraf Deewar O Dar Aur Unn Mein Ankhon K Hujoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab Giya Nahi

Juram ADAM Ne Kiya Aur Nasal E Adam Ko Saza
Kat-Ta Hon Zindagi Bhar Mein Ne Jo Boya Nahi

Janta Hon Aik Aisay Shakhs Ko Mein Bhi *Hans_Mukh*
Ghum Se Pathar Hogeya Lakin Kabhie Roya Nahi
 
  • Like
Reactions: *Storm* and ~Zeest~

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai

Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai

Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai

Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai

Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua

Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
 
  • Like
Reactions: *Storm*

Mantasha_Zawaar

stay away :|
TM Star
Apr 27, 2011
1,029
450
383
Lahore Pakistan
Phoolon ke shahar mein kaisi udasi chhayee hai
Kisee ka dil toota ya kisi ne kee bewafaee hai
Aadh khili kaliyo ke chehare pe muskan nahin
Hansane wale phoolon pe kaisi mayusee chayee hai
Koyel ka kahin pata nahin bulbul bhi gayab hai
Bhouron ke gungunahat kee aahat nahin aayee hai
Hawa bhi gumsum hai chand ka kahin pata nahin
Bina mausam ke ye barish kahan se aayee hai
Isq kee nagari main kabhi khushi kabhi ghum hai
Verma in masum phoolon ka kisee ne dil jalayee hai
 
Top