خواتین کے مسائل : رمضان کے حوالے سے

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
hmmm...mere sawalon ka javab mohtaram?{(thinkg)}
mohtarma ham ramzan me dakhil ho chuke hain aur hamare office ke timings bhi change hogaye hain to thore masroof the

inshaAllah apke sawalon ke jawab ham dalail k sath denge thora sabr karen :)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot shukriya janab isko parhne k liye

hamne ek tread kal link is post k sath pehle hi laga diye the
lekin wahan likhna bhul gaye the k yahan se dalail mil jayenge
phir edit me error bata raha tha khair

abhi hamne edit kardiye hain baki aap ko us thread me mazeed maloomat hojayegi
aur ye sheikh saleh almanjad ki website hain jisme apko arabic zuban me hazaron fatawe quran aur hadees ki roshni me mil jayenge inshaAllah :)
محترم ناصر بھائی
میں نے آپ کو آپ کے اصول ہی کی طرف متوجہ کیا تھا ان مسائل پر بحث نہیں تھی۔ آپ نے لنک دے دیا کہ آپ خود دلیل دیکھ لیں۔ دلیل کی مجھے ضرورت نہیں ہے۔ لیکن دیگر دوستوں کو احساس ہوا ہوگا کہ ناصر صاحب ہم سے تو ہر بات پر قرآن اور احادیث کی دلیل مانگتے ہیں اور ںاصر صاحب خود دلیل نہیں دیتے۔
اور خاص کر آپ کو متوجہ کرنا چاہتا تھا یہاں کوئی عالم نہیں ہے اور نہ یہ فورم فتوی نویسی کا ہے ، ہر بندہ جو شئیر کرتا ہے وہ اپنی سمجھ کے مطابق کسی ویب سائٹ ہی سے شئیر کرتا ہے ہاں اگر اس میں کوئی غلطی ہو تو ہمارا فرض ہے ہم انہیں اس پر مطلع کریں ، انہیں سمجھائیں ، یا خود اپنی دلیل سے اسے بتائیں کہ یہاں غلطی ہوئی ہے، لیکن آپ اگر اس سے ہر بات پر دلیل اور وہ بھی قرآن یا حدیث سے مانگیں گے تو یقینا اس کا دل ٹوٹ جائے گا اور وہ شرمندہ ہوگا، دوسری دفعہ اچھی چیز بھی وہ شئیر نہیں کرسکے گا۔
تو میرے بھائی میں آپ کو یہی اضساس دلانا چاہتا ہوں کہ ہر بات کی دلیل قرآن و حدیث سے نہ مانگا کریں ہاں جہاں غلطی ہو وہاں ضرور بتایا کریں۔
دوسری بات ہر دلیل قرآن اور احادیث میں نہیں ہوتی۔ خود جو آپ نے ویب سائٹ دی ہے اس میں ایک حصہ فقہ پر موجود ہے، جو خود اس بات پر دلیل ہے کہ مسائل میں کچھ اجتہادی اور تحقیقی مسائل بھی ہوتے ہیں جن کا تعلق قیاس یعنی فقہ سے ہوتے ہیں۔
فقہ نام ہی اس چیز کا ہے کہ قرآن و سنت کے تمام مسائل کو ایک جگہ جمع کردیا گیا اور جہاں مزید ضرورت ہوئی اجتہاد کیا گیا۔
بہر حال آپ سمجھتے ہیں میں کیا کہنا چاہتا ہوں، دوستوں کو بھی ایسا موقع دینا چاہئے کہ وہ اپنی پوسٹ کرنے کے بعد شرمندگی محسوس نہ کرے۔ ہاں جہاں کوئی بات غلط ہو پیار اور محبت میں سمجھایا جائے تاکہ کسی کا دل نہ ٹوٹے۔
امید ہے آپ خیال رکھیں گے

 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Saviouji mujhe apse ye puchna tha k kya aurton ka masajid me jana jayez hai is hawalay se koi hadees ya koi Quran ka ref. hai?
Kya Nabi swww k zamane me aurten masjid me namaz parhti thi?
Agar haan to hawala?aur nahi to phir jayez kaise?

sabse pehle to mazirath kha hain ke apne jo ref puche the usko yahan dene me hamne der ki

haan ji bilkul auraten agar masjid jana chahen to jaa sakti hain unko ijazat hai
khud Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ke zamane me aurten masjid jaya karti thi aur sahaba ke daur me bhi aur aaj bhi aurten masjid jaati hain Alhamdulillah

waise to iski bohot se daleelen hain lekin yahan ek hadees par iktefa karte hain kaafi hai


حدثنا علي بن عبد الله،‏‏‏‏ حدثنا سفيان،‏‏‏‏ حدثنا الزهري،‏‏‏‏ عن سالم،‏‏‏‏ عن أبيه،‏‏‏‏ عن النبي صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إذا استأذنت امرأة أحدكم إلى المسجد فلا يمنعها ‏"‏‏.‏ ہم سے علی بن عبداللہ نے بیان کیا ، کہا ہم سے سفیان ثوری نے بیان کیا ، کہا ہم سے زہری نے ، ان سے سالم نے اور ان سے ان کے والد (حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما) نے اور ان سے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے کہجب تم میں سے کسی کی بیوی مسجد میں (نماز پڑھنے کے لئے) جانے کی اجازت مانگے تو اسے نہ روکو بلکہ اجازت دے دو۔

مسجد وغیرہ میں جانے کے لئے عورت کا اپنے شوہر سے اجازت لینا ۔ ہم سے علی بن عبداللہ نے بیان کیا ، کہا ہم سے سفیان ثوری نے بیان کیا ، کہا ہم سے زہری نے ، ان سے سالم نے اور ان سے ان کے والد ( حضرت عبداللہ بن عمر ؓ ) نے اور ان سے نبی کریم ﷺ نے کہ جب تم میں سے کسی کی بیوی مسجد میں ( نماز پڑھنے کے لئے ) جانے کی اجازت مانگے تو اسے نہ روکو بلکہ اجازت دے دو ۔

کتاب النکاح باب: مسجد وغیرہ میں جانے کے لئے عورت کا اپنے شوہر سے اجازت لینا۔ حدیث نمبر : 5238

Allah hame den ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
hame ek member ka pm aaya hai jisme kuch sawal hain
wo chahti hain ke ham unke sawal yahan post karen aur unka jawab den
jo baki behno k liye bhi faide mand ho

ye rahe unke sawal

.....hmm agar pooray din roze k baad
(Maghrib k chand min pahly haiz ajayen toh phr kia woh roza durust shomar hoga ya qaza di jae???



sawal number 13:
thora explain kare
agar safeed pani bhi ayen toh woh haiz mein shumar hoga kia?
yane tab bhi roza nhi rak sakte???

sawal number 19:

es mein kaha hai khane ka zaiqa maloom karne k lie khana chahk sakte hai....aur phr thook diya jae

jab khana chakhna ho toh Obviously halaq se taste utharne k baad hi maloom hoga zaiqa.....
aise mein agar taste thora halaq se guzar jae toh aise mein kia hukum hai?

.....hmm agar pooray din roze k baad
(Maghrib k chand min pahly haiz ajayen toh phr kia woh roza durust shomar hoga ya qaza di jae???
uska roza durust nahi hoga kyun ke haiz ke aane se roza tut jaata hai aur uski qaza zaroori hai
Allah Ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne farmaya "" ke jab aurat haiz se hoti hai to namaaz nahi padhti hai aur na rozaa rakhti hai"" (sahi bukhari baab kitab ul haiz baab 6 hadees no 304)

issi tarah se muslim me Aisha ra se riwayat hai ke unhone kaha
" کان ذا یصیبنا ذلک فنؤمر بقضاء الصوم ولا نؤمر بقضاء الصلاة "
yane jab hame haiz lahaq hota to hame roze ki qaza ka hukm diya jata tha lekin namaz ki qaza ka hukm na diya jata tha ( sahi muslim kitab ul haiz baab 15 hadees 69 )

sawal number 13:
thora explain kare

agar safeed pani bhi ayen toh woh haiz mein shumar hoga kia?
yane tab bhi roza nhi rak sakte???
jee agar safed pani bhi aye to wo haiz me shumar hoga aur tab bhi roza durust nahi
aurten safed pani ke nikalne se samajhleti hai ke ab haiz khatam hone wala hai agar nahi nikle to us ke aadat ke upar qiyaas kiya jaaega ke us aurat ka haiz kis haalat main khatam hota hai

بَاب إِقْبَالِ الْمَحِيضِ وَإِدْبَارِهِ وَكُنَّ نِسَاءٌ يَبْعَثْنَ إِلَى عَائِشَةَ بِالدُّرَجَةِ فِيهَا الْكُرْسُفُ فِيهِ الصُّفْرَةُ فَتَقُولُ لَا تَعْجَلْنَ حَتَّى تَرَيْنَ الْقَصَّةَ الْبَيْضَاءَ تُرِيدُ بِذَلِكَ الطُّهْرَ مِنْ الْحَيْضَةِ
Ayesha radiyallaho anha ki loundi kahti hain ke hazrat aayesha se pucha karte the to hazrat Aayesha ka jawab tha ke jaldi na karo yahan tak ke sufed paani na dekhlo

ye hadees imaam bukhari ki nahi hai balke unhon ne yaqeen ke saath kaha hai


sawal number 19:

es mein kaha hai khane ka zaiqa maloom karne k lie khana chahk sakte hai....aur phr thook diya jae


jab khana chakhna ho toh Obviously halaq se taste utharne k baad hi maloom hoga zaiqa.....
aise mein agar taste thora halaq se guzar jae toh aise mein kia hukum hai?

pakate waqt chakhne ki ijazat hai aur zaikha maloom karne k liye halaq me jaana zaroori nahi zuban ko lagate hi iska pata chal jata hai aur wo bhi ye jab shak ho tabhi aurten ya jo bhi pakwan kar raha ho usko chakhta hai warna roz ki to aadat hoti hai andaze se pakane ki

haan agar halaq me utar jaye to phir roza toot jata hai hame iska khayal rakhna chahiye


imaam bukhari ne hazarat ibne abbas ka qoul naql kiya hai koi mushkil nahi zaaiqa chakhne main (wallahu alaam)

 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513



sabse pehle to mazirath kha hain ke apne jo ref puche the usko yahan dene me hamne der ki

haan ji bilkul auraten agar masjid jana chahen to jaa sakti hain unko ijazat hai
khud Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ke zamane me aurten masjid jaya karti thi aur sahaba ke daur me bhi aur aaj bhi aurten masjid jaati hain Alhamdulillah

waise to iski bohot se daleelen hain lekin yahan ek hadees par iktefa karte hain kaafi hai


حدثنا علي بن عبد الله،‏‏‏‏ حدثنا سفيان،‏‏‏‏ حدثنا الزهري،‏‏‏‏ عن سالم،‏‏‏‏ عن أبيه،‏‏‏‏ عن النبي صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إذا استأذنت امرأة أحدكم إلى المسجد فلا يمنعها ‏"‏‏.‏ ہم سے علی بن عبداللہ نے بیان کیا ، کہا ہم سے سفیان ثوری نے بیان کیا ، کہا ہم سے زہری نے ، ان سے سالم نے اور ان سے ان کے والد (حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما) نے اور ان سے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے کہجب تم میں سے کسی کی بیوی مسجد میں (نماز پڑھنے کے لئے) جانے کی اجازت مانگے تو اسے نہ روکو بلکہ اجازت دے دو۔

مسجد وغیرہ میں جانے کے لئے عورت کا اپنے شوہر سے اجازت لینا ۔ ہم سے علی بن عبداللہ نے بیان کیا ، کہا ہم سے سفیان ثوری نے بیان کیا ، کہا ہم سے زہری نے ، ان سے سالم نے اور ان سے ان کے والد ( حضرت عبداللہ بن عمر ؓ ) نے اور ان سے نبی کریم ﷺ نے کہ جب تم میں سے کسی کی بیوی مسجد میں ( نماز پڑھنے کے لئے ) جانے کی اجازت مانگے تو اسے نہ روکو بلکہ اجازت دے دو ۔

کتاب النکاح باب: مسجد وغیرہ میں جانے کے لئے عورت کا اپنے شوہر سے اجازت لینا۔ حدیث نمبر : 5238

Allah hame den ki sahi samajh aata farmaye Aameen
mujhe sahi muslim ka Hawala mil sakta hai?
Kyun k uske alawa deegar kitaben ya ahadees Fabricated hain apki nazar me?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


mujhe sahi muslim ka Hawala mil sakta hai?
Kyun k uske alawa deegar kitaben ya ahadees Fabricated hain apki nazar me?
acha aise hamne kab kaha mohtarma ?

aur ek baat ap zahen me rakhlen hamari nazar me kya sahi hai ya kya galat ye deen nahi hai
balke jo cheez Quran aur sahi ahadees se sabit hai wo deen hai

hamne jahan bhi kuch kaha hai to wo hamari zati rai nahi hai balke mohadiseen ikram ke tahqeeq ke sath uski sanad bayan hoti hai

waise ap batayen hamne kahan kaha hai ke sahi muslim ke elawa baki sab fabricated hain
aur kya apko ye hadees kaafi nahi jo ke sahi bukhari ki hai aur wazeh alfaz hain isme ?
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
kal hame ek bahen ne pm kiya tha jisme kuch sawal puche hain
aur yahan jawab dene ke liye kaha hai hame

ye rahe sawal aur unka mukhtasar jawab :)

pehla sawal ye k kabi kabi khane pakate waqt jab hum roze ki halat main hoti hain toh hamen ehsaas b nai hota aur normal routine ki tarah salan ki mirchi ya nimak check karne k liye hum thora sa munh main le jaate hain aur fir nigal b lete hain but hamen patah nai chalta k hum roze main hain toh kya is se roza toot jaata hai????
agar insan bhul kar kuch kha pee le to isko apna roza jaari rakhna hai kyun ke ye isne bhul kar kiya aur aise me iska roza nahi toot ta iski daleel is hadees me hai

Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ka farman hai jo rozadar bhul kar kha le ya peele wah apna roza poora kare, use Allah taala ne khilaya wa pilaya hai" (bukhari,muslim)

aur farmaya-" ramzanul mubarak me jo shakhs bhool kar iftar kare us par qaza hai na kaffara" (darul qutni)

doosra sawal k ramzan main bot se log aam taur pe sawal karte hain k kya aapka roza hai? aur kabi kabi aisa hota hai k insaan kisi wajah se roze main nahin hota aur usey ye batate hue b sharmindagi hoti hai k us ka roza nahin toh wo jhoot ka sahara lete hain k haan hum roze main hain
toh aap batayieh k kya logon se sawal karna k aap roze main hain aur logon ko jhoot batana k hamara roza hai jab k hamara roza nahin hota asal main toh kya yeh sab sahi hai????? is k ilawa b auraton k makhsoos masail hote hain jis ki wajah se unhain jawab dena mushkil hota hai toh kya yeh sab sahi tareeqa hai k kisi b muslim especially aurat se sawal karen k aap roze main hain ya nahin?
pehli cheez to ye sawal hi be maine hai kyun k ramazan ke roze har musalman par farz hain to koi ye sawal phir kare ke kya aap roze se hain koi maine nahi rakhta aise sawal hame nahi karna chahiye

bilkul aurton ke makhsoos apne masail hote hain jinki wajhe se wo roze nahi rakhsakte aise me agar koi unse puchlen to kya karen to aap se koi aisa sawal kare to khamosh rahen ya phir sirf Alhamdulillah kehden isme koi harj nahi lekin jhoot nahi keh sakte ke roze se hain

teesra sawal k jab hum wazoo banate hain toh is k baad haath munh towel se poonchte hue ya care k bawjood b agar hamare baal ya sir ka koi b hissa nanga ho jaye toh kya wazooo toot jaata hai????
sar khula rehnse wazoo toot jata hai aisi koi hadees nahi hai agar apse aise kisi ne kaha hai to unse ref mange aap hamare ilm me to aisa kuch nahi hai isse wazoo nahi toot ta ( wallahu aalam )

Allah hame deen ko samajhne aur us par amal karne ki taufeeq de Aameen
 
Top