Coffe With Rr- Dr. Maqsood Hasni!

  • Work-from-home

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
73
kasur, pakistan
Assalaam-o-alaikum Dr. Sahab,

Main nay aap ki kayii tehreer paRhii hain, aap kay alfaaz humaray maashray kii khoob akaasi kartay hain, meray chand sawaal hain, main inn sawaal kay jawab say apni maloomat aur ilm main izaafa karna chahta hoon. Meray sawaal taweel hongain jiss kay liye pasihgii maazrat, kia karoon jab zehan kasmaskash ka shikaar hota hay tou sahii alfaaz dhoondna dushwaar ho jaata.

1. Humara maashra 'double standard' ka shikaar hay, humaray maa baap apny baitay ko kisi laRki kay ishq main mubtula honay ko 'Nadaani' keh kar taal daitay hain, aur jab kay humari behan agar kisi ko pasand karay aur apni pasandeedgi ka izhaar karay tou ussay 'khandaan ki izzat' per khatra kiyon kehtay hain?

2. Hum khudh tou Star plus or dosray channels per drama main aik laRki ko ishq main mubtula hota dekhtay hain, rape scenes, laRki ka aghwa hona, laRki ka chori chupay larkon say milna... waghaira dekhtay hain aur jab yehi amal humaray apnay ghar main hota hay tou hum kehtay hain kay 'bachay haath say nikal gaya'.... mera sawaal yeh hay kay jiss tarah ki taleem hum apnay bachoon ko dain gain humain waisa hi phal milay ga... tou humaray waaldain humain 'bad-tameez', 'bad-tehzeeb', waghaira kay alqaabaat say kiyon nawaztay hain, jab kay unhoon nay khudh humain sahii taleem say aarahasta nahin kia???

3. Hum izzat kay naam per apni beti ka qatal kardaitay hain 'Honor killing' ka naam day kar, magar yeh ganwaara nahin kartay kay apni beti ki uski pasand say shaadi karwa dain, kia yeh waqayi bohat muskil kaam hota hay?

4. Merii waalda kay intiqaal kay baad, mujh say apnay waalid ka tanha rehna nahin dekha gaya, tou main nay apnay liye ammi dhoondnay ka faisla kia, magar meray tamam baRay bhai behan iss baat per razamand na huway, yeh keh kar khandan main humari kia izzat reh jaayay gii... kia khandan ki izzat ki khaatir hum apnay walid ko akaila rehnay dain... abbu tou khudh bhi raazi nahin hain, magar meri zidd kay aagay na srif ghar waloon nay balkay abbu nay bhi ghutnay tayk diye... kia humain zaroorat nahin hay kay hum apni soch ko change karain aur kisi 'baiwa' yaa 'talaaq yaafta' ko sahara bhii dain aur apnay waali ko bhi aik 'saathi'?

5. Ishq aur Mohabbat main farq ko wazhay tour per bayan karain, main chahoon ga kay aap Quran-o-ahdith ki roshni main iss kay farq per roshni daalain... kiyonki agar Mohabbat ka wajoob ALLAH nay humaray diloon main daala hay tou itnay khoobsurat rishtay ka Quran aur Ahdith main bhi zikar hona aik laazmi fayl hay?

Baaqi saawaal main baad main poochoon ga, shukriya.
yah eak bohat bara asri masla hai jald hi fursat milte hi is mozo par baqaeda se mazmoon tehreer karoon ga aur os ko parh lain ge.
baqi aap sawal likhain apni haad tak jawab daine ki koshesh karoon ga.
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
yah eak bohat bara asri masla hai jald hi fursat milte hi is mozo par baqaeda se mazmoon tehreer karoon ga aur os ko parh lain ge.
baqi aap sawal likhain apni haad tak jawab daine ki koshesh karoon ga.
Ok Dr. Sahab.....Aap ki tehreer ka intizaar rahay ga..... agar ijaazat ho tou kuch Tafreeh waalay sawal karoon? off course tameez kay dairay main reh kar:)
 
  • Like
Reactions: dr maqsood hasni

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
Sirf apny hi jhoot arz krdyn ..
baita zindgi khab hai
lamhoon ki kani hai
tarkh likhi ja rahi hai jo sar se paoon tak jhoot par ostawar hai
jhoot son rahe hain jhoot bool rahe hain
cheez baichne ke liay qasmain kha rahe hain
mofad ki khatar ghar bahir chair se jhoot bool rahe hain
kis kis jhoot ka arz karoon
 

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum

Shukriya Sir :) here I go

1. Phool soonghnay kay liye yaa zeenat kay liye touRa jaata hay (zeenat matlab sajaawat, actually meri paRosan ka naam bhi zeenat hay, kahin woh ghalat na samajh baitay :)) ), DIL kis liye touRa jaata hay?

2. LaRkiyon kay pait main koi baat kiyon nahin rehtii, aur har baat ek dosray main tranfer kar kay yeh kehtii hain kay 'Alllah kisi ko nahin bataana' aisa kiyon?

3. Agar aap 2 ghantay kay liye 'Invisible' ho jaayain, tou aap kia karna chahain gain?

4. Iss haftay aap kay saath sab say behtreen kaam kia hua, yaa sab say behtreen news kia mili (if it is not too personal)?

5. Maa kay ansoon main, aur Biwi kay aansoo main kia farq hay?

6. Aap ki shaksiyat main sab say ziyada kia paaya jaata hay, please answer only one :)
a. Ghussa
b. Khoobsurti
c. Pyar
d. Ghuroor
e. Masoomiyat
f. Shrarat

7. Kisi kay Khayaloon main Khoya Hua Hoon
Samajhtii hay Begum kay Soya hua hoon.... :))

Kia aap ki zindagi main kabhi aisa mouqa aaya, agar nahin tou Shayeri ki 2 lines main hi jawab dain aur agar haan tou bhi shayeri ki 2 misroon main hi jawab dain :)

8. Aap kis kay bina jee nahin saktay?

9. aap kay tajurbay say batayeh kay laRkiyan khoobsurat kab lagtii hain?

10. Kia aap paani kay andar roo saktay hain?

11. Kehtay hain kay aurat mard kay pait kay rastay, uss kay dil tak rasayii kartii hay, yeh baat kahan tak sach hay?

12. Agar humain yeh pata chal jaayay kay duniya ka aakhri dinn kal hay tou aaj aap woh kaunsa kaam karain gain jo kay aap ki 'daireena khuwahish' ho.... Touba kay ilaawa :))

I guess main tou LUNCH aur DINNER dono kay liye baithh gaya, agar meray sawaalaat aap ko 'adab kay dairay say bahar lagain, tou mujhay muaaf kar dijyey ga' kiyonki main aap kay saath badtameezi ka tasawurr bhi nahin kar sakta :) khush rahyeh.

fi amaan ALLAH
 
  • Like
Reactions: dr maqsood hasni

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
Uncle g..uncle g hi rahyn..horror na bny :shifty

n BTW kher se hum khud saas hyn :cigar
masha'ALLAH kahyn /:)
sab kuch mujhy hi karna hai aap bhi kabhi kuch kar liya karain.
kichan main aap ki ammi hi baichari khapti hoon gi
soch raha hoon shadi ke baad aap ka kya bannay ga. sas baichari ko hi sab karna paray ga
Allah os baichari ki tofiqaat main azafa farma'ay
 
  • Like
Reactions: dr maqsood hasni
Top