Coffe With Rr- Dr. Maqsood Hasni!

  • Work-from-home

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
73
kasur, pakistan
Baita mein filmain nahain daikhta is liay mein oon ke bare kuch ziyada nahain janta
agar aap insani tarikh ke bare logoon ki baat kar rahe hain to her koee bare kamal par nazar aata hai haan taqleed ke moamla main fav. Hazoor Karim ki zaat garami hai
 

HorrorReturns

Banned
Mar 27, 2013
6,009
1,093
163
Baita mein filmain nahain daikhta is liay mein oon ke bare kuch ziyada nahain janta
agar aap insani tarikh ke bare logoon ki baat kar rahe hain to her koee bare kamal par nazar aata hai haan taqleed ke moamla main fav. Hazoor Karim ki zaat garami hai
uncle waisay ap khud hi aik film hain ap par aik banao ga mein.. agr zindagi ne fursat di... waisay kisi ko abi tak shak nahi howa
 

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
73
kasur, pakistan
Assalaam-O-alaikum

Shukriya Sir :) here I go

1. Phool soonghnay kay liye yaa zeenat kay liye touRa jaata hay (zeenat matlab sajaawat, actually meri paRosan ka naam bhi zeenat hay, kahin woh ghalat na samajh baitay :)) ), DIL kis liye touRa jaata hay?

2. LaRkiyon kay pait main koi baat kiyon nahin rehtii, aur har baat ek dosray main tranfer kar kay yeh kehtii hain kay 'Alllah kisi ko nahin bataana' aisa kiyon?

3. Agar aap 2 ghantay kay liye 'Invisible' ho jaayain, tou aap kia karna chahain gain?

4. Iss haftay aap kay saath sab say behtreen kaam kia hua, yaa sab say behtreen news kia mili (if it is not too personal)?

5. Maa kay ansoon main, aur Biwi kay aansoo main kia farq hay?

6. Aap ki shaksiyat main sab say ziyada kia paaya jaata hay, please answer only one :)
a. Ghussa
b. Khoobsurti
c. Pyar
d. Ghuroor
e. Masoomiyat
f. Shrarat

7. Kisi kay Khayaloon main Khoya Hua Hoon
Samajhtii hay Begum kay Soya hua hoon.... :))
Kia aap ki zindagi main kabhi aisa mouqa aaya, agar nahin tou Shayeri ki 2 lines main hi jawab dain aur agar haan tou bhi shayeri ki 2 misroon main hi jawab dain :)
8. Aap kis kay bina jee nahin saktay?
9. aap kay tajurbay say batayeh kay laRkiyan khoobsurat kab lagtii hain?
10. Kia aap paani kay andar roo saktay hain?
rotay waqt admi pani main hi to doba hota hai

11. Kehtay hain kay aurat mard kay pait kay rastay, uss kay dil tak rasayii kartii hay, yeh baat kahan tak sach hay?

12. Agar humain yeh pata chal jaayay kay duniya ka aakhri dinn kal hay tou aaj aap woh kaunsa kaam karain gain jo kay aap ki 'daireena khuwahish' ho.... Touba kay ilaawa :))

I guess main tou LUNCH aur DINNER dono kay liye baithh gaya, agar meray sawaalaat aap ko 'adab kay dairay say bahar lagain, tou mujhay muaaf kar dijyey ga' kiyonki main aap kay saath badtameezi ka tasawurr bhi nahin kar sakta :) khush rahyeh.

fi amaan ALLAH

 


DIL kis liye touRa jaata hay?
jab koee baat hamari marzi aur mansha ke motabiq nahain hoti to hum ossay dil toot janay ka naam de daite hain
halaat ke sabab inkar ko bhi dil totna keh daite hain
waqti nakami ki surat main bhi dil tota hai


2. LaRkiyon kay pait main koi baat kiyon nahin rehtii, aur har baat ek dosray main tranfer kar kay yeh kehtii hain kay 'Alllah kisi ko nahin bataana' aisa kiyon?
yah oon ki fitrat main dakhil hai.
mard hazrat bhi kab baat ko hazam karte hain
admi khud apni baat hazam nahain karta kisi se apna raz kayoon keh daita hai
is hawala se mai mazmoon ....mohavra pait se hona ke haqiqi maeni.....ho sakay to zaroor parh lain

3. Agar aap 2 ghantay kay liye 'Invisible' ho jaayain, tou aap kia karna chahain gain?
aklapa mehsous karoon ga.
bare baroon ke asli cehray daikhna chaoon ga

4. Iss haftay aap kay saath sab say behtreen kaam kia hua, yaa sab say behtreen news kia mili (if it is not too personal)?
aap dostoon se khul kar batain karne ka moqa mila

5. Maa kay ansoon main, aur Biwi kay aansoo main kia farq hay?
wahaan ould ke liay mohabat ho gi yahaan paise batorne ki gharaz ho gi.
nazar'andaz karne ka gila ho ga
kisi shak ne garift main le liya ho ga
maan behan ya bhai se hans hans kar batain karte daikh liya ho ga

6. Aap ki shaksiyat main sab say ziyada kia paaya jaata hay, please answer only one
piyar

Kia aap ki zindagi main kabhi aisa mouqa aaya, agar nahin tou Shayeri ki 2 lines main hi jawab dain aur agar haan tou bhi shayeri ki 2 misroon main hi jawab dain
woh janti hain kuch na'ch soch raha hoon ga ya kisi afsanay ka polat otar raha ho ga

8. Aap kis kay bina jee nahin saktay?
yah sab kehnay ki batain hoti hain, haqiqat ka in se koee ta'alaq wasta nahain hota

9. aap kay tajurbay say batayeh kay laRkiyan khoobsurat kab lagtii hain?
choti choti masoom si sharartain karte waqt
farmaesh ke liay baap se zid karte waqt

10. Kia aap paani kay andar roo saktay hain?
rotay waqt admi pani main hi to doba hota hai

11. Kehtay hain kay aurat mard kay pait kay rastay, uss kay dil tak rasayii kartii hay, yeh baat kahan tak sach hay?
bilkul darust kahawat hai

12. Agar humain yeh pata chal jaayay kay duniya ka aakhri dinn kal hay tou aaj aap woh kaunsa kaam karain gain jo kay aap ki 'daireena khuwahish' ho.... Touba kay ilaawa
bachoon ki her khaesh jis tara bhi momkin ho puri kar doon
Allah ki tofeeq se os raat kooe bhoka na soay

I guess main tou LUNCH aur DINNER dono kay liye baithh gaya, agar meray sawaalaat aap ko 'adab kay dairay say bahar lagain, tou mujhay muaaf kar dijyey ga' kiyonki main aap kay saath badtameezi ka tasawurr bhi nahin kar sakta
nahain nahain baita, bohat khoob
shukarriy
Allah aap ko asanioon main rakhe
 
Top