"lab-e-sheeren"my One &only Favorite Sweet Dish(easy Recipe)!

  • Work-from-home

ShyPrincess

Iz Perfectly Imperfect :)
TM Star
Oct 29, 2012
3,488
3,520
1,313
TX
Assalam o ALaikum
main apni favorite sweet dish "lab-e-sheeren" ki recipe share kar rhi hun kuch pics k saath!
Ingredients:
Corn flour 4 tablespoon
milk 1.5 litter
sugar 11 tablespoon/ to taste
cream One packet
mango one
apple one
banana 6 or 8
grapes pta nae :p (jitne pasand hon)
strawberry ---------------
pomegranate -------------
jelly (different colored) -------------
Duration:
30 minutes (excluding Cooling time)
Method:
1.5 liter dhudh ko boil kar lain aur us may sugar daal kar thora sa boil karain ,,aik alag bowl may thora sa thanda dhundh le kar us may 4 tablespoon cornflour achi tara mix kar lain aur aahista aahista boil dhudh may daalte jaayain saath saath chamach hilati jayain,,jab apaki pasand k mutabiq thick ho jaaye to thora sa chamch hilane k baad aag band kar dain aur dhudh ko room temprature pe thanda karain,,jab ziada garam na rhe to cream add kar k achi tara mis karain (garam dhudh may cream add mat karain warna oil chor deti hay) ab saare fruits cube shape may kaat kar mix karain aur Freezer may rakh dain jab bottom may ice crystals banne lag jayain tab nikal lain aur us may cube shape may katti hui jellies daal k serve karain ,,,mazimum 30 minutes may ye yummy yummy sweet dish tyar hoti hay zarur try kariyega!
MAine jellies add nhi ki thi is baar,,aap zarur kariyega aur bhi yummy lagta hay!
GOlden Tips : :p
1. pak may q k loadshedding problem ahy to full freeze hone se pehle hi lii8 off ho jaati hay to agar aisa koi masla ho to koshish karain k Fruits add na karain jab lab-e-sheeren full freeze ho jaaye tab us may fruits add kar k mix kar lain..(q k cooling kam hone p kuch fruiots khaas kar apple paani chor daite hain jis pe lab-e-sheeren thin ho jata hay aur saari emhnat zaya :s )
2.Jin fruits se lab-e-sheeren k white color khrab hone ka imkan hay wo fruits serve karne se kuch dair pehle add karain (pomegranate,strawberry)
3.Jellies bhi serve karne se kuch dair pehle add karain q k uska color bhi nikalt hay.
4.Kuch log COndensed milk bhi use karte hain sugar add karne se pehle agar aap condensed milk use kar rhe hain tto sugar kam add karain q k us may already sugar hoti hay.
Wowww looking *yummy* {}{43r5...
Me try kerongi : ) Thankss 4 sharing Mujhe lab-e-sheeren bht pasand hai : D
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top