Poetry by topic (DIL)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
wah kya bat hai khwahish...very nice selection ...best of luck dear...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Mudat Beet Gayi,Humare Honth Hai Aaj Bhi Sile Hue
Kal Hi Bichade The,Par Laga Jaise Sadiya Beet Gayi Hai Mile Hue

Jab Milta Hoon Unse To Sochta Hoon Apne Dil Ki Baat Keh Doon
Par Jab Bhi Lab Khule,Dono Taraf Se Sirf Shikayate Aur Gile Hue

Ek Umang Si Thi Dil Mein Ke Woh Hume Kabhi Gale Lagayenge
Aaj Gale Lagaya Bhi To Usne Alwida Kehne Ke Liye,
Khoob Inaam Hai Hume Mohabbat Mein Mile Hue

Kya Kahoon Apni Kismat Ke Baare Mein,Main "Khwaish"
Kaanto Se Bhar Gaye The Pair Mere
Yeh Dekh Kar Pucha Har Shaks Ne,
Yeh Kaanto Ke Zakhm Pairo Par Kaise?
Jab Ki Teri Raahon Mein The Sirf Phool Hi Khile Hue

"Khwaish" Ki Aankhon Mein Eh Dost
Kabhi Utar Kar Dekhna Zara
Toote Hue Sapne,Bikhre Hue Khwaishe,
Tadapte Hue Aansu Hi Milenge Tujhe,
In Aankhon Mein Dard Ke Saath Mile Hue

Aur Kuch Na Keh Sakoonga Main Tujhe Eh Dost
Aaj Likhte Hue Kalam Ne Bhi Mujhe Thaam Kar Kaha
"Na Likh Ab Khwaish Apne Dard Ki Dastaan
Dekh Tere Ashko Se Aaj Kaagaz Bhi Geele Hue"
zabardust sharing DL...:)

per aapne 2 poetries share kar di hain jabke yaha 1 sharing hi allow hai to aap mujhe bata den ke kaun si poetry aapko rakhni hai take main doosri wali delete kar doon...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Woh Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare
Main Tujhko Bhol Ker Zinda Rahun Khuda Na Kare

Rahe Ga Saath Tera Piyaar Zindagi Ban Ker
Yeh Or Baat Hai Meri Zindagi Wafa Na Kare

Yeh Theek Hai Nahi Marta Koi Judaii Main
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Juda Na Kare

Suna Hai Usko Muhabbat Duain Deti Hai
Jo Dil Pe Chout To Khaye Magar Gila Na Kare

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai Usse
Qateel Jaan Se Jai Per Iltijaa Na Karee..
very nice sharing Fahad...best of luck...:)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Thankoooooooooooooooooooooooo{(haha}){(haha}){(haha})
Kya zamana agaya hai....Farmaiyeshen kar kar k tareefen karwao logon se...{(doh)}{(wacko)}
 
Status
Not open for further replies.
Top