Poetry by topic....

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Mana teri nazar main tera pyaar hum nahe,
kaise kahen k tere talabgaar hum nahe,
khud ko jala k khak kar dala,mita diya,
lo ab tumhari raah main dewaar hum nahe,
jis ko sanwara humne tamannaon k khoon se,
gulshan main us bahar k hakdar hum nahe
very nice sharing uzma... :) bohat hi achi koshish kari hai aapne... :)
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Waah bohot hi umdaah siso bohot khoob

---------- Post added at 01:20 AM ---------- Previous post was at 01:18 AM ----------

kya hi umdaah topic hai is baar bhi hum bhi kuch umdaah share
karne ki koshish karengein insha'ALLAH aur really last contest
bhi mazedaar raha tha Thanks for every thing Amreen siso
thank uuuuuuuu saif... :)

mujhe is bar bhi aapki poetry ka intezar rahega...:)
 
Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
har naye topic ke liye naya thread lagta to zyada behtar hota :)
her bar new thread lagati to threads ki bheer ho jati nasir bhai...phir dhoondhne me pareshani hoti ke is week ka toic kaun sa hai isliye ek thread se kam chala liya... :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

her bar new thread lagati to threads ki bheer ho jati nasir bhai...phir dhoondhne me pareshani hoti ke is week ka toic kaun sa hai isliye ek thread se kam chala liya... :)

behna aap ek naya thread lagayen aur us thread ko ek hafte k liye sticky karden simple :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Roshan Kahin Bahaar Ke Imkaan Hue To Hain
Gulshan Main Chaak Chand Garebaan Hue To Hain

Ab Bhi Khizaan Ka Raaj Hai Lekin Kahin Kahin
Goshe Rah-E-Chaman Main Gazal-Khvaan Hue To Hain

Thahri Hui Hai Shab Ki Siyaahi Vahin Magar
Kuch Kuch Sahar Ke Rang Par-Afshaan Hue To Hain

In Main Lahu Jala Ho Hamara Ke Jaan-O-Dil
Mehafil Main Kuch Chiraag Farozaan Hue To Hain

Haan Kaj Karo Kulaah Ke Sab Kuch Luta Ke Ham
Ab Be-Niyaaz-E-Gardish-E-Dauraan Hue To Hain

Ahal-E-Qafas Ki Subah-E-Chaman Main Khulegi Aankh
Baad-E-Saba Se Wada-E-Paimaan Hue To Hain

Hai Dasht Ab Abhi Dasht Magar Khoon-E-Paa Se “Faiz”
Sairaab Chand Khaar-E-Mugelaan Hue To Hain
 
  • Like
Reactions: Amreen and ~Bahaar~

Masha Allah kya bat hai nasir bhai...man gaye aapke zauq ko bohat khoob....:)
 
Status
Not open for further replies.
Top