Rubaru Mehfil-e-sukhan With-- P@ssoin

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam

khush aamdeed @P@ssion bro,,,bohat mushkil se qaabu aaye ho aap:p
BOhat khushi hoing aapko yahan daikh k :troll
aapkaisa feel karing?
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
waalaikum assalam

khush aamdeed @P@ssion bro,,,bohat mushkil se qaabu aaye ho aap:p
BOhat khushi hoing aapko yahan daikh k :troll
aapkaisa feel karing?
Shukriyaa..
arry nahi.. Qaboo to me aaram se aa jata magar Qaboo karney waly hi mushkil ka shikar thy :p
well yeh to aap Sawalaat ke jawabaat parh kar bata sakti hen :p
jo already post kar diye hen me ne :D
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
very very warm welcome @P@ssion bro apko yahan dekh kr boht khushi ho rahi hai ..... Insha'ALLAH is pory safar main ap k sath rahengy or boht maza b ayega, best ov luck :)
Nice thread @ShiXu_MiXu :-bd
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
very very warm welcome @P@ssion bro apko yahan dekh kr boht khushi ho rahi hai ..... Insha'ALLAH is pory safar main ap k sath rahengy or boht maza b ayega, best ov luck :)
Nice thread @ShiXu_MiXu :-bd
inayat he janab ki.. aap to is dasht i siyahi me lagta he kafi door nikal chuky.. ham bi aap ki hamrahi me chand phool chun len ge..

Bahut Shukriya :)
 
  • Like
Reactions: Fanii

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Asli Naam

Haider Ali

Musannif /Shayer hen?

Jee nahi.. me sirif Critic / Naqqad hon.. achi tehreren parhney ka aur share karney ka shouz zaroor he.. magar wo bhi tab jab khud apny liye apni virtual world me us tehreer ya shair ka post martem na kar lon.. baaz dafa yeh soch kar b share karta honk e doosron ka us ke ooper moaqaf maloom ho saky.. is se seekhney aur samajny ko bahut kuch milta he.. J

Pasandeeda Musannif/ Shayer

Musanfeen me to bahut sare log aisey hen jin ko parha he .. aur achy b lagty hen.. magar .. Ashfaq Ahmad Sahab ki tehreeren Aasan lagti hen isi liye wo zyada pasand hen.. mera apna khyal yeh he ke Musannaf job hi ho.. us ko parha jana chhye.. kyunke baharhaal wo ham jaisey logon ki Zehni istehdaad se oope rki hi cheez hoty hen.. warna ham khud kyun na musannif hoty :p

Aur shayri.. hmmm koi b acha shair ho wo aap ko khud hi acha lag jata he.. but I wd say.. janab Basheer Badar.. Amjad Islam Amjad Sahab Parveen Shakir Sahiba.. Faraz Sahab Mohsin Naqvi sahib Noshi Gillani Sahiba.. aur in ke ilawa b bahut se..yeh sab Moderen day poets apney ander kheench lene ki taqat rakhty hen.. aur mere khyal me in ko aaj kal sab ne parh b rakha hota he.. Iqbaal ko parha.. Meer ko parha.. Ghalib ko b kuch kuch parha.. woe k aur level ki shayri he..

If I hv to pick 1 or 2.. Basheer Badar and Amjad Islam Amjad.. I can ready any time

Adab parney ka shouq kab se?

Well.. KAB se to pata nahi .. maga rhaan kafi shuroo se hi he.. Walida Mohterma Teacher thin.. aur kafi Ba-Zauq bhi.. Allah ne un par rehmat b ki rakhi .. aur apny waqt ke kuch Sukhan-waron se b un ki Yaad Allah rahi.. kuch Gharelo mahol b parhney parhaney wala tha to yeh Jaraseem khud se hi Sariyat kar gye muj me bhi.. so …balke yeh kahon ga ke kuch to Virasat me mily .. aur kuch Atmosphere se inhale kar liye :p

Man Pasand Tehreer /Ghazal

Bahut si hen.. tehreeren to khair bahut hen.. han ek Ghazal jo muje aaj kal pasand aa rahi he.. wohi share kar deta hon..
اک خلش کو حاصلِ عمرِ رواں رہنے دیا
جان کر ہم نے انھیں نا مہرباں رہنے دیا

آرزوِ قرب بھی بخشی دلوں کو عشق نے
فاصلہ بھی میرے ان کے درمیاں رہنے دیا

کتنی دیواروں کے سائے ہاتھ پھیلاتے رہے
عشق نے لیکن ہمیں بے خانماں رہنے دیا

اپنے اپنے حوصلے اپنی طلب کی بات ہے
چن لیا ہم نے تمھیں سارا جہاں رہنے دیا

کون اس طرزِ جفائے آسماں کی داد دے
باغ سارا پھونک ڈالا آشیاں رہنے دیا

یہ بھی کوئی جینے میں جینا، بغیر انکے ادیب
شمع گُل کر دی گئی باقی دھواں رہنے دیا


Urdu ka Lafz jo barha istemal me aaey..

Urdu ka to …. Kuch keh nahi sakta.. Akser Angrezi ke hi alfaaz zyada istemaal me rehty hen :p

Urdu Zuban ka koi Naim Al Badal aur Waja..

Mere khyal me Zuban koi b ho Achi hoti he.. agar aap Adab ki baat Karen to Duniya ki sab zubano ne Adab apney ander apni values rakhty hen.. aur Language to bas Izhaar ka ek waseela he.. yeh baat zaroor he ke Zuban Zuban Dano ki pehchan hoti he.. magar Ehl-Zuban koi b hon.. un kok apni zuban se mohabbat karty hi dekha he..

Urdu ke ilawa kis zuban me Uboor hasil he..

Je eUboor to muje Urdu par b hasil nahi.. doosron ka kya kahon.. haan magar jin zubano me kuch Samajh Boojh rakhta hon un me Urdu Punjabi (even I m not a Punjabi by any chance ) Angrezi Arabi kuch kuch Pushto thodi bahut French .. baki do chaar huroof aur b kuch zubano ke janta hon kyunke wasta parta rehta he un Nationals se.. J

Urdu ka pasandeeda jumla / Shair

Aaj kal jo mera pasandeeda jumla he wo meri signature me nazar aa raha he :p

Aur us ke ilawa .. jo muje hamesha yaad rehta he..

“Allah ki Rehmat Bahana Dhoondti he, Qabliyat nahi dekhti.. “

Aur shair.. hmmmm wo b bahut hen.. abi yehi yaad aa rah ahe..

Ghamon ko maile dupattay main jazb kr lena,
Ye hoslay to faqat hen ghareeb Maaon ke…

Zindagi Khuli Kitaab he..

I m sorry I wont agree.. Zindagi sab kuch hos akti he.. Khuli kitaab nahi.. Zindagi Dost, Dushman, Ustaad, Munsif, Qanoon, Zalim, Mazloom.. and what not .. sab kuch ho sakti he magar koi Khuli kitaab nahi he.. aap agar apni baat Karen to Khud seekhney ke liye zindagi ko baratna padta he.. jaisey kehty hen ke apney marney ke baghair jannat nahi milti.. wese hi Xperience ke bina Zindagi se kuch nahi milta..

Aur agar baat doosron ki ki jaey.. to har bandey ki apni zindagi, apnu Osool, apne Secrets, apni teachings hoti hen.. so agar koi yeh kahey ke Us ki zindagi ya Kisi ki zindagi ek khuli kitaab he.. to I m sorry .. I wdnt agree..

Umeed he zyada off track nahi gya hon ga me.. kyunke Job ke ilawa interview dene ka koi khas Tajruba nahi he mere pas :p
aala,,,,pehli sheet k sawalo k jawab parh kar hi andazza ho rha hy k aapko is interview may bohat pehle aa jana chahiye tha ;p
par khair dair aayd darust aayd

shaer bohat acha hay :-bd
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
aala,,,,pehli sheet k sawalo k jawab parh kar hi andazza ho rha hy k aapko is interview may bohat pehle aa jana chahiye tha ;p
par khair dair aayd darust aayd

shaer bohat acha hay :-bd
hain... to yeh sirf Pehli thi kyaa??? aur kitni aani hen abi aisee?? :p

der aayad darust aayad ka to pata nahi .. haan baharhaal yeh zaroor he ke ham to Dast Ba Dast Aayad :p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hain... to yeh sirf Pehli thi kyaa??? aur kitni aani hen abi aisee?? :p

der aayad darust aayad ka to pata nahi .. haan baharhaal yeh zaroor he ke ham to Dast Ba Dast Aayad :p
haha ji bilkul aap fikar hi na karain baqi sheets line may laggi hain:p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
@P@ssion bro kuch sawal meri taraf se

1.sab se pehle aapko konsi tehreer/poetry ne bohat mutasir kiya?
2. Aisa alfaz ya shaer jo aksar mind may ya zuban par aate hain?
3. bohat khushi may konsa shaer parhne ko dil karta hay?
5. favourite writer kon hain?
6. Adeebon may se kis se milne k khwahishmand hain?
7. Kis shayer ki shayri pukhta nhi hay is k bawajud wo famous hain?
8. sab se ziada deep shayri kiski hay iqbal k ilawa?
9. aap k khayal se sab se ziada satayi konsa mashoor shayer likhta hay?
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
@P@ssion bro kuch sawal meri taraf se

1.sab se pehle aapko konsi tehreer/poetry ne bohat mutasir kiya?
2. Aisa alfaz ya shaer jo aksar mind may ya zuban par aate hain?
3. bohat khushi may konsa shaer parhne ko dil karta hay?
5. favourite writer kon hain?
6. Adeebon may se kis se milne k khwahishmand hain?
7. Kis shayer ki shayri pukhta nhi hay is k bawajud wo famous hain?
8. sab se ziada deep shayri kiski hay iqbal k ilawa?
9. aap k khayal se sab se ziada satayi konsa mashoor shayer likhta hay?
Jawab Ikhtasaar se chhye ya Akhtasaran Tafseel ke sath :p
 
Top