Tm Khandan-e-mughliya!

  • Work-from-home

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
haha wallah aap hargiz b pareshan mat hoiye aap k dandan mubarak andar nhi jayain gey to hum unhe bahir nikalwa dain gey :D
hahaha had e adab ap kia chahti hain k is saal malika e khubsurti laqab ap ko mil jay:p
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313

Fantasy

~ The Rebel
Hot Shot
Sep 13, 2011
48,910
11,270
1,313
TM khandan-e-Mughliya

Assalam o ALaikum TM motaram afrad-e-khana
TM khandan-e-mughliya may aap ko khush aamdeed kaha jata hay!:Mshout

Is makhsus mehfil may har shab-o-roz TM k moaziz ,ba-zauq ,ilm-o-adab aur fehm-o-frasat ki dolat se mala maal afraad apni Tehzeeb-o-tamaddun k johar dikhayain gey...aap samajh to gey hi hon gey k hum kis kis ki baat kar rhe hain ;;):p
is mehfil ki khaas baat ye hay k koi b yahan mughliya aur lakhnoyi urdu k ilawa koi b lab-o-lehja istamal karne ki jasarat nhi kar sakta,...

aaiye aur apne makhsus lab-o-lehje may aik dusre se hum kalam hoiyee..
iS khandan-e-mughliya Mehfil ki sarparasti k liye hum madu karna chahain gey jnab mohtaram @Asheer sahab jo apne khaas lakhnaoyi shayrana andaz aur adab gehra lgao rakhne ki badolat TM k har gali kooche may door se pehchane jaate hain :p


Is k saath hi TM ki 2 haseen dosheezaon se b hum guzarish karain gey k wo apni makhsus adbi aur munfarid silahiton ko baroye kaar laate huye is mehfil ki sarparasti ak aizaz hasil karain @Bela aur @Dua_E_Sehar

Is adbi mehfil k makhsus rang aur taqadus ko brqarar rakhne k liye hmare sipahi hama waqt hama tan gosh hain agar kisi ne mehfil k rang may bhang daalne ki koshsih ki to un k sar filfor tan se juda kar diye jayain gey...sipahioo hoshyaar @Abidi :p @Fanii :D

Aayain phir aaghaz karte hain
:Mwrite



@tag_tm​
walaikumusslaam... wallah humaen aap ka ye andaz bht bhaya :angelic hum zaror is gosha e TM mae tashreef awari farma ker ise waqar bakhshen gy :penguin
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
wallah.... @Hoorain
aapne to yeh mehfil sajaa ke iss khandan-e-mughliya ki ronaq ko char chand laga diye haen
hum yaqeeni taur pe khush hue haen or aapko yaqeen dilaate haen keh iss mehfil ke taqaddus ko barqarar rakhte hue in-sha-Allah apna hissa bhee dalne ki bharpur si koshish karenge...
 
Top