Zid Hai Ke Barf Ka Ghar Banau Mai,

  • Work-from-home

shar

Newbie
Aug 2, 2014
27
14
3
frends es shar ka jawab ata ho............
Parindo ko Nahi di jati Talim Udano ki
wo khud hi tay karte hai manzil asmano ki
Rakhta Hai Jo Hosla Asman Chune ka
usko nahi hoti parwah gir jane ki
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
@shar

koshish bohat achii hay bhai....

Main shaayer tou nahin, laikin jahan tak merii ilmii maloomat aur adab-fehmi ka ta'luq hay tou main kuch arz karna chahoon ga...

Sha'arii aik aisii zaban hay jahan khayal ki wusa'at insaan ko kahin ka kahin poohancha daitii hay, aur na mumkin cheeszin bhi karnay ka khuwahishmand rehta hay... magar soch main tasalsul aur logic ka istimaal baaz auqat 'chemistry' kay formulas say bhi ziyada paicheeda ho jaatay hain =))

anyways aap ki poetry ki taraf aatay hain:


zid hai ke barf ka ghar banau mai, (Yeh misra behtar hay, baraf kay ghar IGLOO kehlaatay hain) =))
suraj sa fursh hawas sa chat bnau mai - (Yeh na-mumkin sii baat hay, koi logic nahin iss misray main)
faqat ak he kafi hai es arzoo ka ley (iss ki tashreeh karain)
phir kyo adam ko khud banau hai (yeh sha'air tou shirk ki taraf jaa raha hay)
har qadam pr jetu ya mumkin nahi, (bohat khoob)
ak haar pr phir kyo asu bahau mai (bohat khoob)



baaqi humaray mohtaram @h@!der bhai @Seap @NailaRubab etc etc apnay comments say aap ko zaroor mustafeed karain gain, khush rahyeh and welcome to TM :)
@shar aap k shayari achi hy waqi par inki baat sy sehmat hun :p inni zidden na karen aap ki zid to kisi ki jaan bhi ly skti hy humsi koi ho to khatm smjho barf thandi suraj aag bagola ghar nhi tiky ga ;) faida inni mehnat ka
phir kyo adam ko khud banau hai (yeh line smjh nhi aye aap kehna kya chahy hen :eek:
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
frends es shar ka jawab ata ho............
Parindo ko Nahi di jati Talim Udano ki
wo khud hi tay karte hai manzil asmano ki
Rakhta Hai Jo Hosla Asman Chune ka
usko nahi hoti parwah gir jane ki
:-bd
 

shar

Newbie
Aug 2, 2014
27
14
3
@shar aap k shayari achi hy waqi par inki baat sy sehmat hun :p inni zidden na karen aap ki zid to kisi ki jaan bhi ly skti hy humsi koi ho to khatm smjho barf thandi suraj aag bagola ghar nhi tiky ga ;) faida inni mehnat ka
phir kyo adam ko khud banau hai (yeh line smjh nhi aye aap kehna kya chahy hen :eek:
MARA KAHNA SIRF ETNA HAI KAY HR NAMUMKIN KAM KO PURA KRNA KA LEAY ALLAH KE MADAD ZROORE HAI. KESE ADAM
KA BS KE BAT NAHI HAI. PR SHART HAI KE INSAN KE JUSTUJU BHE HO
 
  • Like
Reactions: Seap

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
MARA KAHNA SIRF ETNA HAI KAY HR NAMUMKIN KAM KO PURA KRNA KA LEAY ALLAH KE MADAD ZROORE HAI. KESE ADAM
KA BS KE BAT NAHI HAI. PR SHART HAI KE INSAN KE JUSTUJU BHE HO
hmmm thik
 

shar

Newbie
Aug 2, 2014
27
14
3
Zid hai ke barf ka ghar banau mai,
suraj sa fursh hawas sa chat bnau mai,
Faqat ak he kafi hai es arzoo ka ley,
phir kyo adam ko khuda banau mai
Har qadam pr jetu ya mumkin to nahi,
ak haar pr phir kyo asu bahau mai
Us ko mele kushee gam mara hesa mai aya,
ya laker usnay de hatale ko kyo azmau ma.


now read it
 
Top