pal pal chalna parta hai
har rang mai dhalna parta hai
har mor pe thokar lagti hai
har hal mai chalna parta hai
is dil ko samjhane ki khtir
bs khud se larna parta hai
khabi khud ko khona parta hai
khabi chup ky rona parta hai
khabi nend na aay pholon par
khabi khanto pe sona parta hai
khabi mar kar jeena parta hai
khabi jee ky marna parta hai
khabi khushian bhi to aayn ge
is ehsas pe jeena parta hai...